Dear Pakistan forex forum members aj hum is baat per thori c discuss kerty hain ky hum apny balance ko kaisy manage kerein.
Akser ye ye new members ky sath hota hai ky un ko first month posts kerny ky baad bonus to mill jata hai.
Lakin kam experience aur kam knowledge ki wajah se 90% new trader ka account wash ho jata hai. Koi aisi rah nikali jaye jis se hum apny balance ko bhi bacha sakein aur ager ho saky to thora bahut profit bhi hasil ker sakein. Kuch tips hain jo mery zehn mein hain. Wo thora discuss ker lety hain.
LOT SIZE KO KAM RAKHEIN.
New members ko jab bonus milny wala hota hai to un ky ander josh aur jazba hota hai trade ker ky profit kamany ka.
Jis ki wajah se wo jald se jald aur ziyada se ziyada profit ky chaker mein bari lot laga deta hai. Kam experience hony ki wajah se loss ka chance bhi ziyada hota hai. To agr loss howa to account wash ho jata hai.
New trader ko choti lot se trading start kerni chaye.
JALDBAZI SE KAAM LENA
Ye masla bhi akser new trader ky sath hi hota hai. Us ko trade kerny ka shoq hota hai. Aur is liye wo jaldbazi kerta hai. Jis ka nuksaan ye hota hai ky wo market ko sahi analyse nahi ker pata aur trade ghalat malat laga dets hai.
Trader ko hsly se kaam lena chaye. Aur jab sahi time ho trade lagany ka to tab trade lagain. Chaye un ko aik week tak hi wait na kerna pery.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим