Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Her saal mai 52 weeks ya haftay hotay hain aur 52nd week bohat lamba shumaar kia Jata hai haalakay iss mai bhi 7 days he hotay hain laikin ye khatam honay mai nahi aata hai. Agar daikha jaey tou saal kay aakhri haftay mai bohat kuch aisa hota hai jo kisi bhi business pay bohat saara negative ya positive pressure aur stress build kerta Hai. Saal kay aakhri week mai Pakistan mai chuttiyaa he chuttiyaa chalti hain. Schools ki chutiyaa, mosam ki shiddat, Quaid day/Christmas, new year aur Bank holiday bhi hoti hai. Ye sub kuch traders kay liye bhi aik impact rakhta hai kiyu kay trader bhi aik social life rakhta hai.
Internationally bhi year kay last week mai Christmas aur new year asiay day hain jinn kay saath Pura week he chutti chutti mai Jata hai aur saath saath states aur companies apni annual reports out ker rahi hoti hain jinn ka bohat asar trading market pay araha hota hai. Jaisay kay iss waqt bhi her roz mukhtalif quarterly aur annually financial reports arahi hai jinn ka impact trading market pay directly nazar araha hai. Us dollar pay pressure, brexit ki wajah say euro aur gbp pay pressure, gold aur crude oil pay pressure hai aur barh raha hai.
Traders ko saal ka last week bohat soch samajh kay kaam kerna chaiye kiyu kay big companies long term mai trading kerti hain jiss wajah say unhain koi aisa nuqsaan nahi horaha hota laikin hum jaisay smaal aur individual traders kay liye aik ghalat trade bhi sub kuch khatam ker sakti hai. 52nd week mai sirf market watch he behtar rehti hai takay experience mai izafa ho sakey.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим