Hammer and Hanging Man say kia murad hay?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Hammer and Hanging Man say kia murad hay?
    Forex trading main basic three types kay charts patterns use hotay hain jen main say aik bar chart dosra line chart and tesra candle stick chart pattern hay candle stick charts ki agar bat ki jay to es ki many types trading main use hoti hain en main say aik hammer and hanging bhi hay kia ap es baray main bata saktay hain k hammer and hanging man say kia murad hay?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Hammer and Hanging Man say kia murad hay?

    Dear agar ap ne candle stick k pattern ko dekha ho to ap ko pata ho ga k ais mai jo pattern resisatnce par banty hai aun k name aro jo pattern support level par banty hai aun name change hai aisy hi agar hum baat kary hammer aor hanging man ki to ye aik jaisi hi candle hoti hai agar ye canlde support level par jaye to ais ko hammer kehty hai aor ais k baad hum buy ki trade lagaty hai magar jab ye pattern resisatnce par bany to aus ko hum hanging man pattern kehty hai aor ais k baad hum sell ki trade lagaty hai ais mai ye faida hota hai k ais mai stop loss resisatnce level se thora sa oper hota hai aor take profit support level par hota hai aisy patterns mai risk reward zayda hota hai aor hum aus par zayada profit bana sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	Hammer &amp; Hanging.png
Views:	1
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12323636
    • #3 Collapse

      Re: Hammer and Hanging Man say kia murad hay?

      Candle stick pattern main her candle ka koi na koi name hota hai tou in main hammer candle aur hanging man candle aik hi terha ki candle ko kehty hain lekin dono ko direction sirf different hoti hai ky aik resistance per banti hai aur aik support per lekin dono ka view aur shape bilkul aik jesy hi hoty hain jab market up trend main move ker rehi ho aur same candle complete ho jaey tou usko ham hanging man candle kehty hain ky yahan sy phir sell ki trade open ker leni chahiay kyun ky yeh market ky down trend main jany ki clear indication hoti hai lekin jab market down trend main chal rehi ho tou same pattern ki candle complete ho jaey tou usy ham hammer kehty hain aur jab bhi hammer candle banti hai tou hamain buy ki trade open kerni chahiay kyun ky yeh support per banti hai aur yeh trend change ki clear indication hoti hai ky market down trend sy change ho ker ab up trend start ker rehi hai tou hamain buy ki trade open ker leny sy acha profit hasil ho sakta hai
      • #4 Collapse

        Re: Hammer and Hanging Man say kia murad hay?

        Hammer and Hanging Man Pattern:

        Click image for larger version

Name:	hammer and hanging.jpg
Views:	1
Size:	12.7 کلوبائٹ
ID:	12323646

        Hammer and hanging man Candlestick pattern aik bohot hi use full pattern hey aur yeh jab bhi market mein hamen dikhai de to hamen aik confirm trade is mein mil sakti hey jis mein hamara jo Stop Loss ka factor hota hey woh bohot hi kam hota hey aur Yeh Market ko bohot hi ziada Uper le jata hey ya nichey le jata hey jis mein hamen Little Stop Loss and Large Take profit ka advantage mil jata hey, Hanging Man and Hammer ki jo shakal hoti hey woh basically aisey hoti he jesa keh koi Aadmi latak raha ho aur isko market mein hum bohot hi asani ke sath identify kar lete hein yehi wajha he keh bohot sarey traders in Candlestick ke intazar mein kitne din laga lete hein aur phir yeh jese hi market mein enter hotey hein to inka khoob istaqbal kiya jata hey aur inko ziada se ziada buy sell kiya jata hey .
        https://t.me/pump_upp
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          Re: Hammer and Hanging Man say kia murad hay?

          Hammer and Hanging man

          Hammer aur hanging man candlestick chart pattern me market reversal trend ki identification karty hey aur market trend reversal ka indicate/signal dety hey, Hammer downtrend me banta hay jo key bullish reversal trend ko appear (zahir) karta hay, jab key hanging uptrend me hi appear (zahir) hota hay aur ye bearish trend ka indicate deta hay, Hammer aur hanging man candles same ho sakty hey magar different trend ko show karny ki waja se me fark deka ja sakta hay, koshish karni chaye key ham hammer ko be find kar saken aur hanging man candle ko be.
          Click image for larger version

Name:	grade2-hammer-hanging-man-example.png
Views:	11
Size:	31.8 کلوبائٹ
ID:	12325120

          اب آن لائن

          Working...
          X