Assalam o alaikum dear members.Umeed hai aap sub khariat sey hongay or aap sub kay rozay achay guzar rahey hongay.Mai aaj jis mozu pay baat kerna chahta hu wo yehi hai kay kia hum weekend waley din matlab jab trading market close hoti hai tou next opening ya monday ki apni trading ki planning ker saktay hai.Mairay khayal mai tou shayad aisa mumkin nahi hai.Kiyu kay trading ki planning tou tabh he ho sakti hai jab hum market ki movements ko daikh rahey ho or humey trends ka pata chal raha ho.
Weekends pay market close hoti hai or hum kisi bhi tareekay sey ye undaza 2 din ya aik din pehlay nahi laga saktay kay monday ko jab market oen hogi or trading shuru hogi to kia hoga. Jaha tak mujhay samajh i hai hum agar trading ki planning sessions ko daikhtay huay sessionwise he ker lia karey to he faida mand hai.Week ends pay hum apnay accounts ko he daikh saktay hai or agar koi trade open hain tou unkay barey mai he soch saktay hai kay kisay kab kaha close kerna behtar rahey ga. Aap ka iss barey mai kia khayal hai kay monday ki trading ki planning hum saturday sunday ko ker saktay hai?

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим