gold par trade subse bara risk
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    gold par trade subse bara risk
    salam to all fellow traders,

    mene ye dekha hai k new trader jab market me atay hain to wo gold ki chamak dekh kr wo subse pehle start he apnay demo ka gold par krte hain jo unki ye subse bari ghalti hoti hai q k forex trading me a kr agar hum gold par trading krna sekhnegay to hum sekh ni payngay balkay hum panic ka shikar he rehte hain q k gold ki movement ka kuch pata ni hota hai or eski movement bht zada tez hoti hai jiski waja se hume zada tar loss he milta hai es lia hume chahe k hum currency pairs par trading karen or un par practice karen or sekhen forex trading ko jab hum currency pairs par expert ban jaye to phir hum slow slow gold ki taraf jaye q k gold par trading krna subse zada mushkil hoti hai dosto.

    ap sub kia kehngay es k baray me
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    g han bro ap ki post bahut ashy hy main ap ki bat se agree hon ke gold ki trade bahut risky hoty hy ,new traders jub logon ko profit bnaty daikhty hn to foran gold ki trade main lug jaty hn ,new traders ko start main gold ki trade ni kerny chay ,gold ki market ko predict kerna bahut hi mushkil aur hard ,suddenly market move kerty hy aur sainkdon account wash ho jaty hn,gold main trade ke liy experience chay aur second healthy deposit bh
    Signature removed by moderator
    • #3 Collapse

      G han gold per trade bahot bara risk bhi hai aur bahot zyada earnings hasil kerny ky liay best option bhi hai ky short time main bahot zyada earnings sirf gold per trade sy hasil ho sakti hai ky yahan per daily basis per market ki bahot zyada movement hoti hai agar ap achy analysis ker ky trade open kerain tou gold best option hai forex market main trading ky liay
      • #4 Collapse

        Sir ji ap ki bat 100% sahi hy kiyoun k gold bohut ziyada qemti hy is ki qemat currencys pairs sy ziyada hy is ki movement currencys pairs sy ziyada hy is liye isy smajhna thora mushkil hy aur new trader jo dairect gold par sekhty hain is liye un ko trading sekhny mein kuch ziyada waqt lagta hy to har trader ko sub sy pehly currency pairs sey sikhna start karna chahiye naky gold sey chalo karna chahiye
        :1f63b:​BE HAPPY
        • #5 Collapse

          اصل پيغام ارسال کردہ از: Muhammad Ali 4043 پيغام ديکھيے
          salam to all fellow traders,

          mene ye dekha hai k new trader jab market me atay hain to wo gold ki chamak dekh kr wo subse pehle start he apnay demo ka gold par krte hain jo unki ye subse bari ghalti hoti hai q k forex trading me a kr agar hum gold par trading krna sekhnegay to hum sekh ni payngay balkay hum panic ka shikar he rehte hain q k gold ki movement ka kuch pata ni hota hai or eski movement bht zada tez hoti hai jiski waja se hume zada tar loss he milta hai es lia hume chahe k hum currency pairs par trading karen or un par practice karen or sekhen forex trading ko jab hum currency pairs par expert ban jaye to phir hum slow slow gold ki taraf jaye q k gold par trading krna subse zada mushkil hoti hai dosto.

          ap sub kia kehngay es k baray me
          jee bhai aap ki bat thek hai new trader gold pr is luy trading krty k gold man zuada profit hota hai but woh yah nahi janty jis trah is man profit zuada hota hai os sy zuada loss ka chance bahi hota hai is luy loss sy bachny k luy aap ko gold sy Bach kr trading krni chaye
          • #6 Collapse

            Dear aap ki baat theek hai gold per trading risk hai aur forex mein risk tou lena parta hai aur iss waqt gold sub se zayada profitable trading metal hai aur iss ki movement market mein tezz hai lakin agar aao gold kay achay se analysis kar kay trade lagain tou yeh aap ko bahut faida deta hai
            • #7 Collapse

              g han ap ki baat bilkul theek hain gold me trade karna bohat zada risky ha is me account wash honay ka b dar rehta ha or gold baaz okat kam time me itni taizi se movement deta ha kay samjnay ka b time nehi hota ha phr jald bazi me b mistake hoti hain new trader ko sub se pehlay na gold me practice karni chahiey or na gold me real me trading karni chahiey jub tak kay un ko market ka exprience nehi a jata ha
              • #8 Collapse

                gold ki market bhot jaldi move karti hy aur spread zyada hony ki waja se loss aur profit bhi bara hota hy.agar apne lot size zyada slect kar li aur apka ballance kam hy to jaldi account jaldi wash ho jata hy eslye gold pe trade lagaty time ahteyat se kaam lain.
                • #9 Collapse

                  Brother aap ki baat bilkul theek hai gold per trading bahut risky kaam hai kyun kay gold ki market ki movement bahut tezz hoti hai aur aur aap ko iss per zayada mehnat aur analysis karnay ki zaroorat hoti hai
                  • #10 Collapse

                    G han gold py earning bht bra risk hy bht ziada loss bhi ho skta hy or faida b q k gold k markeet bht achi hy Jo log km wqt me ziada earning krna chahey hen unheen gold use krna chahey
                    • #11 Collapse

                      Ji janab apne boht achi baat ki hai and I am also 100% agree hun janab gold waqui main boht kaam hai gold main kabhi bhi new traders ko trade nahi karni chahye and gold main trading wohi log kar sakte hain jo is k loss ko bardasht kar sakta ho and wohi log gold ki trade kar sakte hain jo ke boht bar investment karte hain forex main aur loss se Un ko fark nahi parta is liye gold ki trade boht hi risk ka kaam hai
                      • #12 Collapse

                        bhai trading kay busiess main risk to hota hi ha.cahay wo gold ki trade ho ya phir kisi bi currency pair main.wasay main kud gold main trade nahi kerta hoon kue kay gold ki market ko samajna asan nahi hay.is liya main nay jab say is business ko strat kiya ha main to currency pair mian hi apni trading ko ker raha hoon
                        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                        • #13 Collapse

                          Agar ap k pas experience kam hai or ap k account me balance b kam hai to phir bohat bara risk hai gold trading lekin agar ap k pas experience or zeyada balance dono hai to ap gold trading kar sakty hai lekin risk phir b hoga.

                          اب آن لائن

                          Working...
                          X