What is Broadening pattern in forex?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Broadening pattern in forex?
    INTRODUCTION
    Dear buddies asalamo alykum kesay hain ap sab umeed hay ap sab tek hon gay aur aap ka trading week bhi acha ja rha ho ga.yeh pattern*aur indicator humari trading main bht important role play karty hain.yeh humain profit delany main buht madad karty hain. hum agar in ki learning nai krain gay aur in ko fazool samjyn gay to kbi bhi kamyabi humary kadam ni choomy gi aaj hum jis topic per bat krain gay wo hai broadening pattern in forex.trading me yeh Broadening pattern bannay main chart par buhot arsa leta hai jo k trend reversal pattern main shumar hota hai broadening pattern main price different gap Kay dauran 4 say 5 dafa trend line ko touch karti hai lekin akhir main yeh kisi dusri side par chali jati hai technical analysts is pattern kay bary main kehtay hain k pattern yah to bahot ziyada high price aur yah buhot ziyada kam price waly area main paya jata hai yeah pattern bullish area main market kay top trend ko touch karny kay bad bearish trend main change ho jata hai jab k bearish area main down trend ko line Kafi dafa oper say 6 say touch karny kay bad main change ho jata hai yeh pattern market main maloom karna thora mushkil hota hai Kyun k yeh buhot asani say ni banta hai.



    Click image for larger version

Name:	images (5).jpeg
Views:	5
Size:	33.4 کلوبائٹ
ID:	12601177


    UNDERSTANDING BULLISH AND BEARISH BRODENING PATTERN IN FOREX
    Bullish Broadening pattern trend reversal pattern hai jo kay bearish market kay end main banta hai jab bhi price low price area main trade kar rahi hoti hai to wo bearish trend kay support level say down janey kay bad koshish karti hai but har dafa sirf trend line ko hi touch kar k price wapis ho jati hai price ki yeh wapasi bullish trend ka sabab banti hai.trading main bearish Broadening pattern main price Bullish trend reversal ho kar ati hai yeh pattern ziyada tar Bullish trend kay last main banta hai jab bhi price high price area main trade kar rahi ho to yeh bullish trend line kay resistance level ko touch karny kay bad Wapis hoti hai price aik to bullish trend line ko sahi tarikay say follow nahin kar rahi party dusri taraf woh market main pahley jati hai but akhir main Bearish side say break out ho jati hai.broadening Chart bullish aur bearish broadening pattern per mushtamail hai yeh aik trend reversal pattern hai jis par ap sell aur buy ki entry Lay saktey hain is ki information aap ko darja zail tarah say mil rahi hoti hai.pattern main long term traders is main bullish kay long-term trade ko enter kary ga aur is main traders buy ki long-term trade ko bhi enter kar sakay ga.jab is pattern main market upper aur lower trend line main move kary gi aur move karty huway market kesay trend line ko break kary gi to is main long-term ki trade ko enter kiya jaye ga. Agar market bullish main move hotay huway upper trend line ko break kary gi to is main long-term kay liye buy ki trade ko enter kiya jaye ga aur is ka stop loss is upper trend line par rakha jaye ga. aur jab market break karay gi lower trend line ko to traders is main long-term kay liye sell ki trade ko enter karay ga aur is ka stop loss lower trend line par place karay ga.



    Click image for larger version

Name:	images (6).jpeg
Views:	1
Size:	21.2 کلوبائٹ
ID:	12601178
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    BROADENING PATTERN IN FOREX TRADING INTRODUCTION Broadening Pattern ya Phelaanay Wala Namuna ek technical analysis concept hai jise forex trading mein istemal kia jata hai. Is mein chart par aik pattern hota hai jisme keemat mein izafah hota hai aur range mein baraavat hoti hai.Yeh pattern ek chart par aise dikhta hai jisme keemat mein mazeed izafah hota hai aur support aur resistance ki range mein baraavat hoti hai. Isme chart ki lines wide ho jati hain.Neeche ki line jo keemat mein izafah ko support karti hai.Upar ki line jo keemat mein izafah ko control karti hai. WORKING Traders is pattern ko dekhte hain taake woh samajh sake ke maal ya currency ka market kis tarah move kar raha hai.Broadening Pattern ko dekhte hue traders apne trading strategies ko adjust karte hain.Broadening Pattern market mein uncertainty ko darust karti hai, aur traders ko indicate karti hai ke market mein volatility barh sakti hai.Yeh pattern mukhtalif time frames par nazara aata hai, jese ke short-term ya long-term.Market ki mubashrat ke asrat is pattern ki sahi tajaweezat ko mushkil bana sakti hain. CHALLENGES Is pattern ko sahi taur par interpret karna challenging ho sakta hai, aur false signals ka bhi khatra rehta hai.Market ki mubashrat ke asrat is pattern ki sahi tajaweezat ko mushkil bana sakti hain.Agar ek currency pair ka chart ek broadening pattern dikhata hai, to yeh hosakta hai ke market mein uncertainty hai aur prices mein unpredictable izafah ho sakta hai.Hamesha apne analysis ke liye dosray technical indicators ka istemal karein aur market trends ko dhang se samjhein taake aap apne trading decisions ko behtar bana sakein.

    اب آن لائن

    Working...
    X