Piercing Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Piercing Line Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Piercing Line Pattern


    Piercing line pattern k aghaz main market ain normal bearish trend main downward movement kar rahi hoti hai. Lekin trend k akher main aik bullish candle pechle din ki candle se nechay gap main open ho kar ussi ki real body main darmeyan se above par close hoti hai. Ye pattern two days candles ka hota hai, jiss main pehli bearish candle hoti hai aur uss k baad agli din ki candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle se nechay gap main open hoti hai, lekin close bearish candle main taqreeban midpoint se ziada par hoti hai. Ye pattern same to same dekhne belt-hold pattern jaisa dekhta hai lekin iss me dosri candle k lower side par bhi wick ho sakti hai. Ye pattern high price par banne wala dark cloud cover pattern ka opposite hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (22).png
Views:	21
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12597731

    Candles Formation


    Piercing line pattern market main prices par bearish ka asarat ko khatam karne ki koshash karte hen, jo k do candles ka aik trend reversal pattern hai. Pattern main candles k opening prices aik dosre k opposite direction main hote hen, lekin dosri candle k closing price pehli candle k adhay hise ko overlap kar jate hen, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (6).jpeg
Views:	10
Size:	24.4 کلوبائٹ
ID:	12597732

    1. First Candle: Bullish meeting line pattern main shamil pehli candle bearish hoti hai, q k ye pattern aik bearish trend k akher main banta hai, to ye candle color main black ya red hoti hai. Ye candle aik strong real body main honi chaheye.

    2. Second Candle: Bullish meeting line pattern ki dosri candle bullish candle banti hai. Ye candle pehli candle se nechay gap main open ho kar ussi k midpoint se above close ho jati hai. Pattern ki ye candle aik white ya green color main hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.

    Explaination

    Bearish trend main banne wala Piercing line pattern aik bullish trend reversal pattern hai jiss se market main prices apne current trend ko change karne ka muqa melta hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai. Jo dekhne main Belt-Hold Line Pattern se mushabehat rakhta hai. Pattern ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss se sabeqa bearish trend ki akasi bhi hoti hai aur prices k downtrend ka bhi ishara melta hai. Bearish candle ko aik strong bullish candle follow karti hai, jo k open to nechay gap main hoti hai, lekin close pehli candle ki real body main hoti hai aur wo bhi darmeyan se above hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	3-1.png
Views:	4
Size:	21.6 کلوبائٹ
ID:	12597730

    Trading

    Piercing line pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k sabeqa downtrend ki alamat hoti hai. Jab k pattern ki dosri candle aik strong bullish candle hoti hai, jo open to pehli candle k lower par hoti hai, lekin close pehli candle k midpoint se above area par hoti hai. Pattern ki pehli candle k closing price aur dosre candle k opening point k darmeyan gap banta hai, lekin wo mehsos iss waja se nahi hota, q k bullish candle ki real body uss gap ko cover karti hai. Pattern par trading k leye zarori hai, k dosri bullish candle k baad aik aur real body wali white candle honi chaheye, jo pehli candle k midpoint se above close ho jaye. Stop Loss pattern k sab se lowest point ya bullish candle k opening point se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	4.png
Views:	4
Size:	18.9 کلوبائٹ
ID:	12597729

اب آن لائن

Working...
X