What is a bearish harami?
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is a bearish harami?
    What is a bearish harami?

















    A bearish harami is a two bar Japanese candlestick pattern that suggests prices may soon reverse to the downside. The pattern consists of a long white candle followed by a small black candle. The opening and closing prices of the second candle must be contained within the body of the first candle.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is a bearish harami?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Harami Candlestick Pattern


    Bearish harami candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bullish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se high area ya bullish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main buyers prices ko aik khas level tak ooper push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bearish harami pattern bhi shamil hai.

    Click image for larger version

Name:	images (11).png
Views:	19
Size:	8.2 کلوبائٹ
ID:	12452915

    Candles Formation


    Bearish harami candlestick pattern prices k uptrend ya higher par low demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (12).png
Views:	8
Size:	4.9 کلوبائٹ
ID:	12452916

    1. First Candle: Bearish harami candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices ko uptrend ya bullish trend ki akasi karti hai. Ye candle bullish trend ko mazeed ooper ki taraf push karti hai, aur market main high demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish harami candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se size main kam hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka high aur low pehli candle k open aur close k darmeyan main hoti hai. Ye candle bullish trend k khatme ka bahis banti hai.

    Explanation

    Bearish harami candlestick pattern prices main bullish trend k dowran ban kar prices ko mazeed ooper jane se rok leti hai. Ye candle aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish ya upward trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, aur ye candle pehli candle ki nisbat real body main kam bhi hoti hai aur ye pehli candle ki real body ki inside main bhi banti hai, jiss se prices ka mazeed up-rise ruk jata hai. Ye pattern dekhne main same to same descending hawk pattern jaisa kagta hai, lekin dosri candle ka bearish banne se pattern main tabdeeli waqea ho jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (10).png
Views:	11
Size:	9.0 کلوبائٹ
ID:	12452914

    Trading

    Bearish harami candlestick pattern prices k top main banne ki waja se aik bearish signal genrate karta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bearish candle honi chaheye, aur dosri candle k bottom par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value overbought zone main honi chaheye. Pattern k baad bullish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se higher ya pehli candle k close price se two pips above par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (13).png
Views:	5
Size:	28.3 کلوبائٹ
ID:	12452913

    اب آن لائن

    Working...
    X