Dragon Candlestick Pattern ky baty ma Information
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Dragon Candlestick Pattern ky baty ma Information
    Dragon Pattern ka Introduction

    Dear forum members Assalam o alaikum Dear Pakistan's Forex forum members and seniors! Umeed kerta hun aap sab khairiat se honge or forex market se acha profit earn ker rahe honge, dosto pichli post mein main ne aap ke sath Dragon pattern ko share kiya tha or us ke sath trading kerne ka bhi tariqa samjha dia tha ab mein aap ke sath us pattern ke ek structure ke bare mein btane laga hun ke hum us mein trading ke sath uska structure kis tarah se create ker sakte hain.

    Structure of Bullish Dragon Pattern

    Mein aap ko shuru se bata hun Dragon pattern ek pattern hai jo market ke girne se banta hai, jo hamein buy ki entry lene ka signal deta hai, or market ke uper ek or pattern hai jo hamein sell ki entry lene ka signal de hai. Ye "W" ke size ke bottom ki tarah lagta hai iski structure ko mazeed tafseel se dekhte hain....

    Bearish Dragon Pattern ky Sath Trading


    Bearish Market mein Dragon Pattern ek point se banna shuru hota hai jise Head kehte hain, ye pattern ki current level se thora down level tak ki pehli movement hoti hai. Bohut jald hi price musalsal down aate hoye upward ko move kerti hai tab wo point pattern ke left paw mein change hojata hai. jessa ke hum is graph mein dekh sakte h

    Bullish Dragon Pattern ky Sath Trading

    Price upward ki taraf bounce kerti hai lekin fail hojati hai break kerne mein, ye unchayi Back of the pattern kehlati hai. Price apni correctional level se cross nahi kerni chahye ager hamare pattern mein kuch irregular ho raha hai tab humein ise left ker dena chahye. Classical tor per agar dekha jaye to traders ko ye guess kerne ki zaroorat nahi ke choti kahan bani hai kion ke ye Dragon pattern or double bottom ke darmiyan difference ho sakta hai. jessa hum is chart mein dekh sakte hain...

    Technical Points and Analysis Guide

    Jald hi price second paw se grow kerna shuru ho jaye gi tab hum use keh sakte hain ke Dragon pattern complete ho chuka hai. Left paw ke bare mein different opinions hain, kuch trader kehte hain ke pattern us waqt behter kaam kerta hai jab right paw se down hota hai or kuch kehte hain ke right paw se thora uper postion munasib hoti hai .


    Conclusion

    Dear forum members Right paw se uper ki taraf movement ko Tail kehte hain, wahan traders ko profit lene ke liye points talash kerne honge. Ye tha hamara aaj ka structure of bullish Dragon pattern jo ke boht dilchasp hai , Umeed kerta hun is post se aap ko useful information mili ho gi . Thanks for reading Allah Hafiz.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Dragon Candlestick Pattern ky baty ma Information

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Dragonfly Doji Candlestick


    Dragonfly doji candlestick aik long lower tail k sath bagher real body ki candle stick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik hi point ya price par hona chaheye. Ye candle dekhne main small real body wali candles ki tarah lagti hai, lekin small real body wali candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai. Dragonfly doji candlestick ki aik long lower tail is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change nahi hoti hai bulke jo candlestick dragonfly doji banti hai us k tail ki reversal trend shoro hoti hai. Dragonfly doji candlestick main candle ka open, close aur high same point par hota hai. Candle market aur prices k ziada lower area main hone ki waja se ye bullish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai.

    Click image for larger version

Name:	images (48).jpeg
Views:	10
Size:	19.3 کلوبائٹ
ID:	12452312

    Candles Formation


    Dragonfly doji candlestick candle prices k bottom main kam supply aur ziada demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k upward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-02-03T172615.910.png
Views:	24
Size:	3.2 کلوبائٹ
ID:	12452313

    Dragonfly [COLOR="#006400]Doji Candle:[/COLOR] Dragonfly doji candlestick agar prices k bottom main banti hai, to iss candle ki open aur close price same aik hi line main hoti hai, ye candle aik bearish candle hi tasawar ki jati hai, low price trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k upper side par koi wick ya shadow nahi hota, jab k lower side par aik lamba saya banta hai.

    Explanation

    Dragonfly doji candlestick price chart par aksar top ya bottom prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath downward fall karne k baad wapis apne upper open price par ja kar close hoti hai. Ye candle aik long lower shadow k sath hoti hai. Candle k upper side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jaye hai. Candle ki real body na hone ki waja se ye candle ka koi khas color bhi nahi hota hai, jiss se candle bottom prices par banne wali hammer candle se mushabehat rakhti hai, jab k top price par banne wali gravestone doji candle k opposite direction main banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (7).png
Views:	47
Size:	10.8 کلوبائٹ
ID:	12452311

    Trading

    Dragonfly doji candlestick prices k bottom main ziada bearish pressure parne par banti hai, jiss se aik candle bagher real body ki candle k lower side par aik lamba saya hota hai. Ye candle aik strong bullish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad buy ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bullish real body main hona zarori hai, jab k bearish candle banne se ye candle trading k leye invalid ho jati hai. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya candle k shadow k lower side par jo k prices k leye support level hoti hai, se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (100).png
Views:	12
Size:	12.5 کلوبائٹ
ID:	12452310
    • #3 Collapse

      Re: Dragon Candlestick Pattern ky baty ma Information

      nuqsaan per qaboo panay ka tareeqa

      kisi bhi shobay main nuqsaan kisi nah kisi wajah se hota hai ager hum un wajohaat se bachchen to nuqsaan se bach sakte hain forex trading main rissk managment ki kami ki wajahse nuqsaan hotay hain aik naya tijarti aconur main paisa laganay ke liye tayyar shakhs ke paas bohat se ikhtiyarat hotay hain aik yeh ke un ka sara paisa ya aik chhota sa hissa daal diya jaye koi sahih ya ghalat jawab nahi hai kyukay yeh sab zaati pasand hunar mahaarat aur wasail per aata hai yeh note karna zaroori hai ke har sarmaya kaari khatraat ke sath aati hai is sorat e haal main tajir ki tamam raqam zaya honay ka imkaan hai mutadid asason main tijarat aik aur imkaan hai jo bohat ziyada paisa kama sakte hai lekin us ke liye aala satah ki mahaarat ki zaroorat hai kuch logon ko maloomat ki kami apni mehnat se kamaai gayi raqam ke zaya honay ke khauf dhoka dahi ka shuba aur paisay ka na kafi intizam deegar awamil ke sath forex market main sarmaya kaari karna khofnaak lagta hai online investment plate forms ki berhti hui maqboliat ke sath bohat se log sarmaya kaari ki duniya main sab se pahlay kodtay hain is baat ki mukammal samajh ke baighair ke woh kaisay kaam karte hain

      apne tajzia par bharosa karen

      khareedna ya bechna sirf is wajah se ke har koi yeh kar raha hai forex market main koi bhi sab se wazeh ghaltion mein se aik hai sarmaya karon ya taajiron ko yeh samjhna chahiye ke un ke maali ahdaaf dosray jaisay nahi hain yeh ghabrahat ka baais ho sakta hai kyukay bohat se log apne asasay beech dete hain lekin baaz auqaat yeh sirf aik marhala hota hai kisi ke forex trading ke andaaz ko mustahkam honay ki zaroorat nahi hai aur mumkina tor per ho ga traders qaleel mudti qeemat ki sargarmi se mayoos ho kar scailper ban sakte hain aur woh azadi haasil kar sakte hain jo event par mabni tiajarti nuqta nazar ki bunyadi baton ke baray main mazeed samjhna chantay hain



      Click image for larger version

Name:	llllllll.png
Views:	1
Size:	140.6 کلوبائٹ
ID:	12452325
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Dragon Candlestick Pattern ky baty ma Information

        The Dragon Candlestick Pattern is a technical analysis pattern that can occur in forex trading. It is considered to be a reversal pattern and is made up of four individual candlesticks that combine to create a visual representation of a dragon.The Dragon Candlestick Pattern is typically seen as a bullish signal, as it suggests that the price may be about to reverse and move higher. The pattern is made up of a long black candlestick, followed by a shorter black candlestick that opens and closes within the real body of the first candlestick. The third candlestick is a long white candlestick that completely engulfs the second candlestick, while the fourth and final candlestick is another long white candlestick that closes above the high of the third candlestick.Traders who use the Dragon Candlestick Pattern typically look for this pattern to occur after a downtrend, as it can suggest that the trend is about to reverse and move higher. However, as with any technical analysis pattern, it is important to use additional tools and indicators to confirm the signal and make informed trading decisions.

        اب آن لائن

        Working...
        X