Bullish Harami Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Harami Candlestick Pattern
    Bullish Harami Candlestick Pattern

    Bullish harami aik taizi ka reversal pattern hai jo neechay ke trend mein hota hai, jo ulta rujhan ki mumkina tabdeeli ka ishara deta hai. Bullish harami do mom btyon par mushtamil hai, jis mein pehli aik lambi bearish candle hai aur doosri choti bullish candle jo ke pehli candle ke body mein perfect tor par mojood hai. Yeh pattern is baat ki nishandahi karta hai ke reechh control kho rahay hain aur bail apni girift mein anay lagey hain, jis se rujhan mein mumkina ulat phair ho sakti hai. Naam" Harami" Japani lafz" Haamla" Se aaya hai, aur pattern ko aksar is liye kaha jata hai kyunkay doosri mom batii pehli mom batii ke jism mein" Mushtamil" Dikhayi deti hai.

    Click image for larger version

Name:	1665392989304.jpeg
Views:	29
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12589142

    Bullish Harami Candlestick Pattern Formation

    Bullish harami pattern bananay ke liye, pehli candlestick aik lambi surkh ya kaali mom batii honi chahiye jo neechay ke rujhan mein hoti hai. Doosri mom batii aik choti sabz ya safaid mom batii honi chahiye jo pehli mom batii ke jism mein mojood ho. Yeh note karna zaroori hai ke doosri mom batii ko pehli mom batii ke asli jism ke andar mojood hona zaroori nahi hai, balkay pehli mom batii ke saaye mein bhi shaamil kya ja sakta hai. Bullish harami pattern ko aik ulat pattern samjha jata hai kyunkay yeh is waqt hota hai jab reechh qaboo mein hotay hain, lekin bail is par qabza karna shuru kar dete hain. Choti sabz ya safaid mom batii taaqat mein tabdeeli ki numindagi karti hai, jis mein bail control le rahay hain aur qeematon ko buland kar rahay hain.

    Click image for larger version

Name:	11.png
Views:	14
Size:	11.8 کلوبائٹ
ID:	12589143

    Confirming the Bullish Harami Pattern

    Bullish harami pattern ki tasdeeq karne ke liye, tajir aam tor par izafi signals aur isharay talaash karte hain, jaisay :

    Volume
    Bullish harami pattern ki tashkeel ke douran hajam mein numaya izafah batata hai ke bail control kar rahay hain aur rujhan ke ulat jane ka qawi imkaan hai.

    Break out
    Doosri candle ki oonchai se oopar ka break out ulat jane ki tasdeeq karta hai aur is baat ki nishandahi karta hai ke rujhan waqai ulta badal gaya hai.

    Support and resistances
    Tajir bullish harami pattern ki tasdeeq ke liye support aur rizstns level bhi talaash kar satke hain. Agar bullish harami ki tashkeel ke baad qeematein aik ahem muzahmati satah se oopar toot jati hain, to yeh mazeed ulat jane ki tasdeeq karta hai.

    Click image for larger version

Name:	bullish-harami-pattern_body_BullishHaramiCross.png
Views:	22
Size:	2.3 کلوبائٹ
ID:	12589144

    Bullish Harami Pattern Trading Strategy

    Bullish harami pattern ko aksar taweel tijarat ke liye mumkina entry point ke tor par istemaal kya jata hai. Jab bullish harami pattern bantaa hai aur qeematein doosri mom batii ki oonchai se oopar toot jati hain to tajir aik lambi position mein daakhil hotay nazar aa satke hain. Stap las ke orders doosri candle ke kam se neechay rakhay ja satke hain, jabkay hadaf ki qeemat aik ahem muzahmati satah par set ki ja sakti hai. Yeh note karna zaroori hai ke bullish harami pattern rujhan ko tabdeel karne ki zamanat nahi hai aur usay dosray signals aur isharay ke sath istemaal kya jana chahiye. Mazeed bar-aan, bullish harami pattern ki bunyaad par tijarat karte waqt taajiron ke paas hamesha aik achi terhan se tay shuda rissk management plan hona chahiye.

    Click image for larger version

Name:	bullish-harami-pattern_body_GBPUSDforexexample.png.full.png
Views:	29
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12589145

    Conclusion

    Bullish harami aik taizi ka reversal pattern hai jo neechay se oopar tak rujhan mein mumkina tabdeeli ka ishara deta hai. Yeh namona is waqt hota hai jab aik choti si sabz ya safaid mom batii aik lambi surkh ya kaali mom batii ke jism mein hoti hai, jo is baat ki nishandahi karti hai ke bail bears se control haasil karna shuru kar rahay hain. Bullish harami pattern ki tasdeeq karne ke liye, tajir aam tor par izafi signals talaash karte hain, jaisay ke hajam mein izafah, doosri mom batii ki oonchai se oopar break out, ya ahem muzahmati satah se oopar ka waqfa. Bullish harami pattern ko taweel tijarat ke liye mumkina entry point ke tor par istemaal kya ja sakta hai, lekin taajiron ko hamesha ahtyat brtni chahiye aur khatray ke intizam ka aik achi terhan se tay shuda mansoobah rakhna chahiye.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bullish Harami Candlestick Pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Candlestick Pattern


    Bullish harami candlestick pattern bearish market main ooper ki janib mumkina trend reversal ki numaindagi karta hai. Technical analysis mein, iss candlestick pattern ko inside day pattern k tawar par bhi jana jata hai. Pattern aik bearish trend ke sath shuru hota hai jis ka ekhtataam do bullish candlestick par hota hai. Pattern ki pehli candle aik bari real body candlestick hoti hai, jab k baad wali candle aik small real body wali candle hoti hai, jiss ki pori body bari candlestick k real body k vertical range mein ban jati hai. Ye pattern iss baat ki nishandahi karta hai ke mojooda down-trend kamzor ho raha hai. Pattern price chart par banne wale dosre kuch candles se bhi mumaselat rakhta hai, jo same trend reversal ka sabab banta hai.

    Click image for larger version

Name:	harami-bull-1024.jpg
Views:	13
Size:	56.6 کلوبائٹ
ID:	12460253

    Candles Formation


    Bullish harami pattern two days candles par mushtamil ek bullish trend reversal pattern hai, aur downtrend k baad main bhi bannta hai. Pattern main shamil dono candles different formate k yani bearish aur bullish candles hoti hai, jo prices k mumkin trend reversal ka sabab banti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	16.png
Views:	5
Size:	13.0 کلوبائٹ
ID:	12460254

    1. First Candle: Bullish harami pattern main pehle din ki candle aik long real body wali black/red hotee hai, jo prices k downtrend ki turjumani kartti hai. Ye candle normal size aur bearish trend k mutabiq banti hai. Pattern main candle ki real body lazmi honi chaheye, jis main open price close price k ooper hota hai.

    2. Second Candle: Bullish harami pattern main dosre din ki candle aik bullish candle banti hai, jo k prices k bearish trend ka ikhtetaam kartti hai, dosre din ki candle pehle din ki candle k real body k andar open aur close hoti hai. Ye candle small size main aur pehli candle k inside banne se bearish trend ko khatam karke new bullish trend ka aghaz karti hai.

    Explanation

    Bullish harami candlestick pattern bearish trend k dowran high demand position par uss waqat banti hai, jab market trend main aik bari tabdeeli karne wala ho. Pattern k mutabiq jab bhi sellers market main mazeed dilchaspi lena band kar dete hen, to market ka current control buyers k hathon main chala jata hai. Pattern do candles se mel kar banta hai, jiss main pehli bearish candle dosri bullish candle se size main bohut bari hoti hai. Pehli candle prices ko nechay ki taraf push karti hai, jab k dosri candle high demand ki waja se strong real body main nahi banti hai, jiss candle ka open aur close dono pehli candle k inside main a jate hen. Pattern ki dosri candle small real body ka hone ki waja se bullish trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (5).png
Views:	40
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12460252

    Trading

    Bullish harami candlestick pattern trading k leye ziada maozon uss waqat hota hai, jab bhi prices aik bearish trend ya low prices area main hon. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo real body main bullish candle honi chaheye aur dosri candle k top par close honi chaheye. Lekin pattern k baad bearish candle banne se ya bullish candle ka dosri candle k bottom par close hone se ye pattern invalid ho jayega, jo trading k leye kar-amad nahi rehta hai. Pattern ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern ka Stop Loss prices k sab se lower position ya pehli candle k close price se two pips below set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	17.png
Views:	4
Size:	18.1 کلوبائٹ
ID:	12460255
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Bullish Harami Candlestick Pattern


      Assalamualaikum!



      Dear Friend main umeed krta hon k ap sab log khariat sy hon gy dosto aj main ap k liay bhot he important our knowledge wala topic ly kr aya hon aj main jis candle per
      Btane wala hon vo market mn trend reversal candle hoti h ye market mn chalty huay trend ko change karti h is ka nam Japan k logo ny rkha h aik lady per rakha jo
      pregnant lady hoti h ous per rkha ye candle 2 candle sy mil kr banti h Harami candle market mn bilkul pregnant lady ko trha dekhai deti aj main apko mokamal details
      our tafseel sy btaun ga k ye market mn kidr banti h our is k bane sy market mn kia hota h.


      What is Bullish Harami Candlestick Pattern?

      Bullish Harami Candlestick ka he aik pattern h is ka nam Japan k logo ny aik laddy k pregnant per rakha h Harami aik japani lafz h our ye candle bilkul ous trha
      dekhai deti h ye pattern 2 candle sy mil kr banta is ki first candle long bearish hoti our is k bad second candle bullish hoti h jis ki body small our oper neechy ki
      shadow b hoti h is ka matlb ye h market mn downtrend sy uptrend hone wala h is ka aik confirmation deti h ye aik small body wali candle hoti is candle ka mtlb
      ye h k ye uptrend ko peda krny wala h mtlb k uptrend bane wala matlb market bullish hony wali mtlb uptrend mn jane wali h ap is ko picture mn dekh sakty hn.
      Click image for larger version

Name:	BullishHaramiSample.png
Views:	6
Size:	5.4 کلوبائٹ
ID:	12460274

      Bullish Harami Candlestick Pattern in Forex trading


      Bullish harami candle stick pattern k bane k liay zarori h k market downtrend mn chal rahi ho q k bullish harami hamesha downtrend mn banta h ye aik trend

      reversal pattern h is k bany sy market ki moment mn changing ati h ye pattern 2 candle sy mil kr banta h is ki first candle bearish hoti our dosri aik small
      body wali candle hoti h jo k bullish hoti h is k bane sy market mn change ata h bullish harami candle stick ki jo pehli candle hoti h vo aik large bearish hoti
      is ka nam mother hota our jo second candle bullish hoti vo aik small body hi ko bachy ka nam dia jata h dosto aik bat ka dehan rakhna h k ye pattern hamesha
      aik lambi girawat k bad banta h ye aik trend reversal pattern h is sy k bane sy hm ko confirmation milti h is k oper ap entry ly sakty hn our is k neechy ap
      stop loss lga sakty hn is sy apko aik lambi trade krny ko milti h jis sy ap aik acha profit hasil kar sakty hn dosto main umeed krta hon k aj jo kuch mainy apko
      btaya vo ap k liay bhot helpful hoga.

      Thanks 😊

      اب آن لائن

      Working...
      X