Information of trends and support / resistance with "Stoller Average Range Channel"
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Information of trends and support / resistance with "Stoller Average Range Channel"
    Dear friends, forex market main traders mukhtalif indicators ko apnay technical analysis kay liay use kartay hain, jab hamain in indicators ki mukhtalif calculations aur in kay signals say different market situations ki samajh aye to ham market main apni trade ko safe rakh sakain aur trading say earning kar sakain, Indicators main say aik stoller average range channel bhi hay,

    Details of stoller average range channel ki appearence:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230118_0939_18_1290.jpg
Views:	1
Size:	17.8 کلوبائٹ
ID:	12581939


    Stoller Average Range Channel bands ko Manning Stoller nay develop kia, isko STARC Bands bhi kaha jata hay, is main two bands hotay hain jo kisi pairs ki prices kay Simple Moving Average kay above aur below apply liay jatay hain, in main say upper band Average True Range ki value ko add kar kay create kia jata hay aur lower band SMA ki value main say is ATR ki value ko subtract kar kay create kartay hain, yeh aisay bands hotay hain jo kisi pair ya commodity ki price ki moving average kay above aur below apply kay jatay hain, lihaza jo channel is say banta hay us say trader buy aur sell ki trade open karnay main indication milti hay, market lower band kay pass hoti hay to trader ko buy ki trade ko open karna chaiay aur jab price upper band kay pass hoti hain to trader ko sell ki trade ko open karni chaiay, iski madad say trader achi trade ko open karnay main kamiab ho jatay hain,

    Information about market trends with STARC Bands:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230118_0939_18_2871.jpg
Views:	1
Size:	17.1 کلوبائٹ
ID:	12581940

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230118_0939_18_4933.jpg
Views:	1
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12581941


    STARC Bands say hamain tab hi faida ho sakta hay jab ham isko use karnay ka acha knowledge hasil kar sakain aur hamary pas itna experience ho kay ham mukhtalif markets situations main iskay signals ko confirm kar sakain, isky false signals say bach sakain, Upper aur lower bands say jo channel banta hay woh traders ko buy ya sell ki trades open karnay kay liay indications provide kartay hain, overall uptrend main upper band kay kareeb selling aur lower band kay kareeb buying aik best option consider kia ja sakta ha, STARC Bands hamain ranging aur trending markets main trade karnay kay liay achi informations provide kartay hain, jab bands break out hotay hain to yeh market main trend change honay ka signal samjhay jatay hain, agr uptrend main prices lower band say break ho kay below ati hain to yeh uptrend kay khatam honay ka signal hota hay,

    Guidance of support and resistance levels by STARC Bands:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230118_0939_18_3872.jpg
Views:	1
Size:	12.6 کلوبائٹ
ID:	12581942

    STARC Bands say ham tab hi favourable trading kar saktay hain jab ham is indicator say milnay walay signals ki afadiat aur confirmation kay liay dusray indicator kay sath combinely use karain, STARC bands envelope channels ki tarah traders ko potential support aur resistance levels ki guidance bhi provide kartay hain, upper band pairs ki prices kay resistance level ko zahir kartay hain aur lower bands support level ki information daitay rehtay hain, Is ka aik disadvantage yeh hota hay kay prices extended time period kay liay bands kay sath sath move karti rehti hain jis say achi nazar anay wali trades next moment loss ka shikar ho sakti hain, STARC Bands aur Bollinger Bands main kafi similarity hoti hay kiun kay yeh bhi SMA kay around bands create kartay hain, Stoller Average Range Channel ki jab ap completely study kar rahay hotay hain to is main apko two different types kay levels ko completely study karna hota hay jin ko support level aur resistance level ka naam dia jata hay

اب آن لائن

Working...
X