Assalamu Alaikum Dosto!
Forex Price Chart
Forex trading charts future markets mein technical analysis ke liye zaroori hen, q k yeh market k past ka mutalea ki bunyaad faraham karte hen. Yeh prices ki movements ko visual andaaz mein dekhnay aur trade karne ka aik zareya hen, jis par analyst mukhtalif qisam k indicators k istemal karte howe market ki current situation k mutabiq apne planing tarteeb deta hai.
Traders mukhtalif timeframes aur mukhtalif visual andaaz mein dikhane k liye chart tarteeb dete hen. Trading ke liye traders ke muntakhib karda timeframe par munhasir hai, k wo mukhtalif timeframes ko dikhane walay mukhtalif charts ko dekhnay ka intikhab kar satke hain. Aik long term trader weekly ya monthly chart par qeemat ka pata lagane ki koshash karta hai, jab keh aik short term ka trader 60 minute ya 5 minute ke chart ka istemaal karta hai.
Charts ko tarteeb daine aur inn charts par visual price numaindagi ke bohat se tareeqay hen. Chart ki sab se aam aqsam candlestick, bar charts aur line charts hain. Iss se qata nazar ke price k trader kis qisam ki visual numaindagi ka istemaal karte hain, candlestick, bar chart aur line chart shanakht karne ke liye rasta talaash karne mein madad karte hen:
- K aya market trend main trade kar raha hai.
- Market k top ya bottom main trend reversal hone wala hai.
- Market k consolidation ya istehkam ka time-peroid.
Candlestick Charts
Candlesticks charts price ki aik visual numaindagi ka istemaal karte hai, jo do ahem hisson, body aur wick mein taqseem hotay hen. Ye hissey aik aisay andaaz mein melte hen, jo aik candle ki terhan nazar atay hain, jiss ki waja se iss chart ka naam candlestick chart rakha gaya hai.
Wick, body ke oopar aur neechay aik patli lakeer se zahir hota hai, jo aik timeframe ke douran trade ki gayi sab se ziyada aur sab se kam qeematon ko dekhata hai. Candle ki body, moti aur darmiyana hissa, aik timeframe ke douran open aur close honay wali qeematon ko zahir karta hai.
Agar aik candle main open price close se kam hota hai, to candle ka color aam tor par green ya white hoga, lekin ye trader ke software k color ki aqsaam par munhasir hai. Agar close price open price se kam hoti hai, to candle ka bar aam tor par red ya black ho jaye ga, lekin ye bhi trader k software aur uss main maojod color k intekhab par munhasir hai.
Sab se pehlay candle ki real body ka size khareed-o-farokht ki shiddat ki nishan-dahi karti hai. Candle ki real body jitni lambi hogi, iss candlestick ke waqat ke douran itni hi ziyada price barhay gi. Candle k short real body ka matlab yeh hai, keh open aur close honay wali qeematein bohat millti jalti hen, jiss ka matlab yeh hai keh muntakhib karda timeframe main price ziada taaqat main nahi hai.
Dosra, real ke nisbat shadow ya wick ka size bhi ahem hai. Small ya baghair shadow wali candles ka matlab hai, k close price timeframe k dowran ziada mazbot hai, agar ye green hai, to iss ka matlab hai, k buyers market ko apne control main leye howe hen aur agar ye red hai, to market ka control sellers k pass hai.
Agar candle k shadow ya wick ki lambay main ziada ho to prices ka aik bara range hota hai, jiss ka matlab hai k market buyers buyers aur sellers walay dono ke control mein hai.
Candles traders ko yeh bhi dikha sakti hen, keh real body k close honay par kon control mein hai. Agar candle ke nichale hissay ke qareeb aik chhota si real body hai, to is ka matlab hai ke timeframe ke aakhir mein sellers ne buyers se control hasil kar liya hai, jo real body ke open hissay mein mazboot they.
Lekin agar aik timeframe main small real body top par banti hai, aur nechle hissey main candle ka aik lamba shadow ya wick hai, to iss ka matlab hai, k matloba timeframe main buyers ne sellers se control hasil kar leye hai, jo aghaz main market par hawee they.
Bar Chart
Bar chart, ya OHLC chart, kaafi had tak candlestick chart se hososeyat mein melta julta hai, lekin is mein kuch visual differences hen. Candlesticks chart ki terhan, bar chart har waqat ke liye data ke chaar hessey faraham karta hai : open, high, low aur close.
Open price bar k bayen taraf aik choti horizontal line se zahir hoti hai, jab k close price horizontal line se dayen taraf hoti hai. Timeframe ka High aur low price bar ki vertical line se zahir hoti hen. Aik bar mein trader dekh satka hai, keh price kahan se shoro hui, price kahan khatam hui aur qeemat ki trading ki had kia thi. Aik trader ke tor par, aap ko timeframe par mabni approach ya trade par mabni approach ka istemaal karte hue yeh set karna hoga, keh aap ke chart par kitni bar koi nai candlestick ya baar zahir hota hai.
Misaal ke tor par, agar koi trader 5 minute ke chart par bars ka aik silsila muntakhib karta hai, jahan open aur high pichlle bar ki high se oopar hen, to woh is nateejay par pahonch satka hai, ke market ka trend upward ya bullish hai.
Line Chart
Line chart basic price ko dekhnay ka aik aur tareeqa hai, lekin candlestick ya bar ke bar-aks, jo trader ko qeematon ke behtar nakaat ki analysis karne ki ijazat deta hai, aik line chart long term trend ko dekhnay ka aik behtar tareeqa faraham karta hai.
Aik line chart is baat ki numaindagi karta hai ke qeemat maazi mein kahan rahi hai aur aik makhsoos peroid k dowran band honay wali price ko zahir karti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим