Assalamu Alaikum Dosto!
Trailing Stop Loss
Trailing stop loss aik khas qisam ka stop loss order hota hai, jiss main traders k risk ko manage karte howe profit ko mehfoz banaya jata hai. Ye strategy kisi stock par trades k open karne k sath uss se aik khas percentage k hisab se exit karne k leyw set kia jata hai.
Trailing stop loss profit ki sorat main stock prices k sath sath move karta rehta hai, lekin agar kisi point par stock profit side par movement rook leta hai, ya stock pehle se hi loss main move karna shoro karta hai, to uss sorat main trailing stop loss ruk jata hai. Jab tak k ya to wo loss main hit na ho jaye aur ya market dobara profit main move na karna shoro kar den.
Trailing Stop Loss (Order) Example:
Agar aap koi XYZ stock ko $100 par buy karte hen aur trailing srop loss ko 5% par det karte hen, to jab bhi agar in case trade loss main jata hai, to market k 5% loss main jane k par aap ka order khud bakhud 5% k loss par close ho jayega.
Ab agar aap ki trade ko profit main move karte hen, to uss sorat main trailing stop loss apni position ki bajaye trades k profit k sath sath 5% k difference k sath move karta rahega. Jaisa agar matloba trade proft main $200 par chala jata hai to trailing stop loss 5% k hisab se $190 par automatically set ho jayega.
Trailing Stop Loss ka Tareeqay kar
- Trailing stop loss ko aam tawar do tareeqo se set kia ja sakta hai, aik hai automatically, jiss main brokers apne software par apne traders ko ye sahulat muhaya karte hen, aur jiss k set karne se trailing stop loss khud bakhud trades k profit k sath shift hota rehta hai, jab k loss ki sorat main ye apni jagah par rehta hai, jiss se ziada loss nahi hota. Mt4 platform main trailing stop loss ka option nahi hai, jiss se traders mustafeed hon, ye ya to brokers ko call karke ya agar broker k apps main maojodd ho to iss ka istemal kia ja sakta hai.
- Dosra tareeqa manually hai, jiss main trader baar baar apne trades ki nigrani karte rehte hen, jab bhi trader ka trade profit main move karta ahi, to uss k sath wo apne stop loss ko ussi munasibat se khud shift karta hai, jab k loss ki sorat main wo apne stop loss ko tabdeel nahi karta hai. Mt4 platform main sirf issi tareeqay se hi trailing stop loss ka istemal kia ja sakta hai.
Limitation Of Trailing Stop Loss
Trailing stop loss aik bohut hi behtareen sahulat hai aur ye trading ko profit main hi close karta hai, jab k loss ki sorat main ziada loss se mehfozz banata hai, lekin iss ki bhi kuch limitations hen jiss ka janna bohut zarori hai;
Trailing stop loss ko short term ki trading ya retracement ki waja se istemal nahi ka skata hai, prices kabhi bhi same aik hi trend main musalsal move nahi karti hai, bulke ye retracement k hisab se higher high aur lower low k mutabiq upward ya downward move karti rehti hai, lekin trailing stop loss ki sahi position ya ziada short percentage par set honne se ye jaldi hit ho sakta hai, jiss se trading ka faida nahi rehta ya bohut kam muangfa melta hai.
Trailing stop loss aik automatically tareeqay kar k mutabiq set hota hai, yanni selection trader khud se karta hai, lekin iss ki further movement trades k sath khud ba khud hoti rehti hai. Jab bhi app trailing stop loss set karen to uss ki position aur trades se percentage ko sahi position par lagayen takeh ziada jaldi ye hit na ho.
Trading
Trailing stop loss har sorat main aik trader k leye ziada behtar hai, aggar traders iss k leye sahi position ka intekhab karta hai. Trailing stop loss ko apne trading risk reward ya trading plan k mutabiq set karen. Yanni jiss atarh se aam stop loss ki position set ki jati hai uss k mutabiq trailing stop loss ka bhi intekhab karen.
Jiss stock par bhi trade open karne ka irrada ho to uss stock ki pehle se retracement position ka sahi tareeqay se mutalea karen, k retracement stocks k kitne percent par hota hai, aur dosra uss stock ki reversal ko bhi dekh len, trailing stop loss iss position par hamesha faida dega.