Assalamu Alaikum Dosto!
Inverted Hammer Candle
Inverted hammer candle main prices aik small real body k sath upper side par aik long shadow banati hai. Ye candle buyers k bearish trend k dowran prices ko waqti tawar par bullish le jane ki koshash hoti hai, lekin ziada selling pressure aur bearish trend hone ki waja se aisa mumkin nahi hota hai. Lekin bearish trend main banne wali inverted hammer candle prices k trend reversal ka sabab banti hai. Inverted hammer candle main real body shadow k muqabele main bohut kam hota hai, yanni shadow real body ka dugna ya uss se bhi ziada ho sakta hai. Hammer candle main prices ka open aur close same nahi hona chaheye, q k aisa hone par ye candle aik Gravestone doji candle ban sakti hai.
Candles Formation
Inverted hammer candle aik single pattern candle hai, iss waja se ye candle dono color ya pattern main ho sakti hai. Ye candle prices k bearish trend main banne par market k bullish trend reversal ka sabab banti hai. Candle ki tafseel darjazeel hai:
Inverted Hammer Candle: Inverted hammer candle low prices ya bearish trend main bnata hai, lekin bullish trend reversal honne ki waja se ye candle aik bullish candle shumar ki jati hai. Ye candle aik small real body main hoti hai, jiss k upper side par aik long shadow hota hai, jo k real body ka taqreeban dugna banta hai.
Explanation
Inverted hammer candle jo k bearish trend main banne wale Hammer candle ki ulat shap main hoti hai, aik bearish trend reversal candle hai. Ye candle small real body main aik upper long shadow k sath banti hai. Candle ka shadow real body ka dugna ya uss se ziada hota hai. Ye candle bullish trend main banne wali shooting star candle se jaisi dekhti hai. Candle ki bearish trend main lower prices main banna bohut ziada aham hai, jab k iss candle ka color khas qisam ka hona aham nahi hai. Candle k upper side par wese role k mutabiq to koi shadow nahi banna chaheye, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi ye pattern k mutabiq hota hai.
Trading

Inverted hammer candle bearish trend main buyers ki taraf se aarzi koshash hoti hai, jiss main wo prices ko bullish push karte hen, lekin market main still selling dabao ki waja se prices wapis apne aghaz wali position k pass a kar close ho jati hai. Jiss se candle k small real body k sath upper side par aik long wick ya shadow ban jata hai. Ye shadow aik bullish trend ya buy signal ki alamat hoti hai. Trend confirmation ya market main entry karne se pehle aik white candle ya technical indicators ka over-sold zone main hona zarori hai, jiss se prices k low hone ka ishara melta hai. Stop Loss candle k sab se lower side se two pips below set karen, jo mumkina support level sabit ho sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим