Assalamu Alaikum Dosto!
Dark Cloud Cover Pattern
Dark cloud cover pattern forex trading market me badal ki tarah aik strong bearish signal genrate karta hai aur price chart pattern k top par ya bullish trend main banne wala pattern dark cloud cover pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki mumkinna forecast bearish trend reversal ki hoti hai. Ye pattern prices k uptrend main banta hai, jab k iss ka opposite direction main yanni prices k bottom main "Piercing Line Pattern" banta hai, jo bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern ki pehli candle aik bullish trend k mutabiq white candle hoti hai, jo prices k mazeed upward jane ki alamat hoti hai, lekin dosre din ki candle aik to bearish hoyi hai, dosri wo pehli candle se above gap main open ho kar pehli candle k real body k darmeyan se nechay close hoti hai.
Candles Formation
Dark cloud cover pattern ka shumar bhi two days pattern main hota hai, jo k prices k top par bearish trend reversal k leye predict kia jata hai. Pattern ki pehli candle bullish jab k dosri bearish hoti hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Dark Cloud Cover Candlestick Pattern ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices main bullish trend ki mazboti ki alamat hoti hai, ye candle color main white ya green hoti hai, jo normal trend k mutabiq banti hai.
2. Second Candle: Dark cloud cover pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candlese above gap main ya same uss k closing point par open ho kar bullish candle k darmeyan se nachay close hoti hai. Ye candle aik bearish candle hoti hai, jiss ka color black ya red hota hai.
Explanation
Dark cloud cover pattern two days candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle normal bullish trend ki akasi karti hai ye candle bullish trend ki koi bhi real body wali candle ho sakti hai. Pattern ki dosri candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss ka open pehli candle k top par gap main hota hai, lekin same price par open hona bhi acceptable hai. Ye candle bearish trend ki koi bhi strong real body wali honi chaheye jo k close bullish candle k midpoint se nechay honi chaheye. Lekin ye dekhna zarori hai k bullish candle k open price se pehle close ho jaye.
Trading

Dark cloud cover pattern main dosri bullish candle se prices ki kamzori ka andaza ho jata hai, jiss se analyst market main confirmation candle k baad sell ki entry karte hen. Ye pattern agar bohut ziada high price area main hon to uss waqat iss ki taqat main izzafa hota hai, jiss prices bohut teezi k sath nechay jati hai. Pattern k baad teesri bearish candle ka bullish candle k nechay close hona zarori hai, jo k market main trader k leye entry point candle hoti hai. Pattern par Stop Loss ka istemal bohut ziada aham hai, jo k pattern ka sab se top position ya dosri bearish candle k opening point se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим