Assalamu Alaikum Dosto!
Tweezers Top Candlestick Pattern
Tweezers top candlestick pattern prices main aik qisam ka double top candlestick pattern hai, jiss main muntakhib karda timeframe main two candles (black aur white) same bullish point ko touch karke wapis downward reversal ho jati hai. Ye candlestick pattern prices k top ya high bullish trend main banta hai, jiss main do candles same high point ko touch karne k baad bearish reversal ho jati hai. Pattern ki candles main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad banne wali candle bhi aik bullish banti hai, jiss ka high price same pehli candle k high se match karta hai. Pattern ki pehli aur dosri candles ka high same point par hota hai, jo k bearish trend reversal ka sabab bante hen.
Candles Formation
Tweezers top candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil dono candles do mukhalif colour ki hone k bawajood same high banati hai, pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Tweezers top candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k uptrend ya high prices area ko zahir karti hai. Ye candle aik white ya green real body main hoti hai, bullish trend ki akhari candle hoti hai.
2. Second Candle: Tweezers top candlestick pattern ki dosri candle bhi aik real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka upper price same pehli candle se match karta hai, lekin ye candle black ya red color main banti hai.
Explanation
Tweezers top candlestick pattern prices main buyers ki adam dilchaspi ki waja se prices chart par banta hai, jiss main pehli aur dosri candles same high point se downward side par back ho jati hai. Tweezers top candlestick pattern aur matching high candlestick pattern dekhne main same hen, lekin iss pattern main dono candles ka closing point same hona zarori bhi nahi hai, aur na hi ye dono candles same bullish candles hoti hai. Iss k elawa Tweezers top candlestick pattern k candles k upper sides par wick ya shadow bhi ho sakta hai, jiss se same point match karne se ya aik ka high dosre k shadow k sath same high match karne par bhi ye pattern complete hota hai. Ye pattern prices k upper sides par double high pattern banata hai, jiss se prices k reversal honne k ziada chances hote hen.
Trading

Tweezers top candlestick pattern prices k upper sides par aik long timeframes ka pattern hai, jiss main candles k upper sides ki high prices same point par hoti hai. Yanni pehli candle k high prices ya real body k upper point aur dosre candle ki upper price same high point par hota hai. Ye candles shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin dono candles ka high side same hona chaheye. Pattern par trading se pehle confirmation bearish candle ka hona zarori hai, jo k aik real body k sath low price par close honi chaheye. Aggar pattern ki confirmation indicators jaise Stochastics oscillator ya CCI oscillator se karna ho to inn ka overbought area hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position jo k dono candles ka high banta hai, se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим