Bullish Harami Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Harami Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Candlestick Pattern


    Bullish Harami candlestick pattern main dosre din ki candle previous din ki candle k real body main open ho kar ussi k same real body main close hoti hai. Bullish harami candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik small real body wali bullish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bullish candle pehli din ki bearish candle k andar engulf hoti hai, yanni bearish candle bearish candle k high aur low k inside main open aur close hoti hai. Pattern ki bullish candle bearish candle se size main kam hoti hai, jo k market main current bearish trend ka khatema karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (144).jpeg
Views:	29
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12577050

    Candles Formation


    Bullish harami candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k andar banti hai, jiss se pehli candle dosri candle ko engulf karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (234).png
Views:	1
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12577051

    1. First Candle: Bullish harami candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bearish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se ooper hota hai. Bearish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish harami candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k muqabele main small real body main hoti hai, jo pehli candle k bottom se se above open ho kar ussi k top se nechay close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle ki real body k andar banni chaheye.

    Explanation

    Bullish harami candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi sellers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main ban kar market ka trend bullish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se size main kam honi chaheye. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main sellers ki prices k bottom main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat buyers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k bottom main banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (233).png
Views:	40
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12577049

    Trading

    Bullish harami candlestick pattern trading k leye aik strong bullish signal deta hai, jiss se buyers market main entry karte hen. Pattern ki k baad aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k top par close honi chaheye. Lekin bearish candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya dosri candle k open price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (232).png
Views:	24
Size:	12.3 کلوبائٹ
ID:	12577048

اب آن لائن

Working...
X