Appearence and Working features of Alligator Indicator
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Appearence and Working features of Alligator Indicator
    Dear friends, forex ma achay trader bnnay kay liay is kay tools aur indicators ko properly use karna sekhna chaiay, in indicators main say aik alligator indicator ha jis ko Bill William na develop kia, ye aik trend following indicator ha jo smooth moving average kay technical anaylisis kay liay use hota ha,

    Appearence of Alligator Indicator:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221220_0711_07_8970.jpg
Views:	1
Size:	30.1 کلوبائٹ
ID:	12576651

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221220_0711_08_0851.jpg
Views:	1
Size:	24.3 کلوبائٹ
ID:	12576652

    Yeh indicator three moving averages ko use karta ha jo five, eight ya 13 periods par set hotay hain, yeh mukhtalif time frames ki surat ma hoti hain jis ko balance line kaha jata hay, balance line say hum market ki situation ka andaza lagatay hain, Yeh three moving averages alligator kay jaw, teeth and lips kehlatay hain, ye indicator trading signals kay liay convergence aur divergence ka relationship banata hay, alligator indicator ka main idea yeh hota hay kay market main trend ki ghair mojudgi yani period of side ways moment aik sleeping alligator ki tarah hoti hain jo jagnay par breakout kar daita ha,

    Working of alligator indicator:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221220_0711_08_2412.jpg
Views:	1
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12576654

    ye indicator traders ko long time tak trade position main rehnay kay liay support daita ha aur is period main benefits hasil karnay kay liay indications daita ha, alligator indicator hmain achi calculations faraham karta ha jis kay mutabik trade kar kay hm benifits hasil kar saktay hain, indicator kay moving averages aik dusray kay sath combine ho kay working kartay hain, jaisay Jaw 13 bars say start ho kar 8 bar ki moving average say aur teeth yani 8 bars ki moving average say start ho kar 5 bars say aur lips yani 5 bars say start ho kar 3 bars say mil kar calculation aur signals create kartay hain, ye indicator impulse aur corrective wave ki information bhi daita ha, hum is kay sath dusray indicators ka use kar kay trade ma entry aur exit kay liay acha time select kar saktay hain

    Trade procedure in this indicator:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221220_0711_08_3453.jpg
Views:	1
Size:	18.4 کلوبائٹ
ID:	12576655

    forex main indicators kay results kay liye opening, closing point kay sath trends aur trading ranges ko bhi nazar main rakhna hota hay, jab kay is indicators ko ham indicator window main set kar saktay hain, jo three lines yani blue, red and green per mabni hota hay, ye tool us waqt achay results daita haily jab yeh momentum indicator say combine ho jata hay, indicator ki teeno lines apas ma mix ho jati hai to cross ban jata hay aisa us waqt hota hai jab market ki condition choppy ho,

اب آن لائن

Working...
X