Aslam O Alikum
Introduction
I hope all friends fine main ummid karta hun aap AP sab dost khairiyat se honge aur apna Kam samajhdari ke sath complete kar rahe honge ,,
What is Homing Pigeon Candlestick Pattern
Homing pigeon candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil dono candles bearish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se low area ya bearish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main sellers prices ko aik khas level tak nechay push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main homing pigeon pattern bhi shamil hai.
Candles inFormation ,,
Homing pigeon candlestick pattern prices k downtrend ya lower par high demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles same pattern ki yanni bearish hoti hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Homing pigeon candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices ko downtrend ya bearish trend ki akasi karti hai. Ye candle bearish trend ko mazeed nechay ki taraf push karti hai, aur market main high supply ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.
2. Second Candle: Homing pigeon candlestick pattern ki dosri candle bhi aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se size main kam hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka high aur low pehli candle k open aur close k darmeyan main hoti hai. Ye candle bearish trend k khatme ka bahis banti hai.
Explanation ,,
Homing pigeon candlestick pattern prices main bearish trend k dowran ban kar prices ko mazeed nechay jane se rok leti hai. Ye candle aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k bearish ya downward trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle bhi same bearish candle hoti hai, lekin ye candle pehli candle ki nisbat real body main kam bhi hoti hai aur dosra ye candle pehli candle ki real body ki inside main banti hai, jiss se prices ka mazeed down-fall ruk jata hai. Ye pattern dekhne main same to same bullish harami jaisa kagta hai, lekin dosri candle ka bearish banne se pattern main tabdeeli waqea ho jati hai.
Trading ,,,
Homing pigeon candlestick pattern prices k bottom main banne ki waja se aik bullish signal genrate karta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern pat trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bullish candle honi chaheye, aur dosri bearish candle k top par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value oversold zone main honi chaheye. Pattern k baad bearish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se lower ya pehli candle k close price se two pips below set karen.