Trade confirmation through Bearish Harami Candlestick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trade confirmation through Bearish Harami Candlestick pattern
    Dear friend, candlestick patterns aur charts ki help sa forex main trade kay liay kafi information milti hay, ye aik easy aur simple method samjha jata hay, candles kay pattern ko thek tarah spot karnay sa traders ko kafi faida hasil hota hay, in different patterns main sa aik bearish harami candlestick pattern bhi hota hay,

    Details of Bearish Harami candlestick pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221201_1414_59_9190.jpg
Views:	1
Size:	13.1 کلوبائٹ
ID:	12572708

    Bearish Harami aik bearish trend reversal pattern hai, aur low prices area main bhi bannta ha, ye uptrend kay top par appear hota hay, is main two candles hoti hain jin main sa pehli candle bullish hoti hay, jis ki large real body hoti hay, pattern ki second candle small bearish hoti hay jo first candle ki real body kay darmian kay kareeb close hoti hay, ye candle changing momentum kay sign kay tor par gap down ho kay first candle kay middle kay kareeb sa open hui hoti hay,

    How to spot and confirm this pattern:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221201_1415_00_0161.jpg
Views:	1
Size:	7.0 کلوبائٹ
ID:	12572709

    pattern ko identify karnay kay liay hmain kuch conditions confirm karni hoti hain, jin main sa pehli condition ye hoti hay kay market main uptrend exist kar raha ho, us kay baad traders ko stochastic oscillator, bearish moving average crossover indicators aur bearish candles formation sa momentum kay slow aur reverse honay kay signals daikhnay chaian, bearish harami aik strong trend reversal pattern ka kam karta hai, aur prices kay top trend ya bullish trend main banne pe yeh trend ko bearish trend me convert kar deta ha,

    Confirmation and trading tactics in this pattern:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221201_1415_00_1042.jpg
Views:	1
Size:	10.1 کلوبائٹ
ID:	12572710

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20221201_1415_00_1853.jpg
Views:	1
Size:	16.4 کلوبائٹ
ID:	12572711

    Pattern main ye cheez confirm karni chaiay kay small bearish candle ki real body bullish candle kay 25% sa ziada na ho aur ye candle first candle ki body main contain ho, bearish harami pattern agar long timeframe main bearish trend k baad paya jaye to ye market main sell entry kay leye aik acha moqa faraham karta ha, traders ko us waqt short position kay liay entry karni chaiay jab prices pattern ki second candle sa below break karay, ye position catch karnay kay liay is candle kay below stop limit order place karna hota hay, support aur resistance areas ko profit target set karnay kay liay use kia ja sakta ha
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trade confirmation through Bearish Harami Candlestick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Harami Candlestick Pattern


    Bearish Harami candlestick pattern main dosre din ki candle previous din ki candle k real body main open ho kar ussi k same real body main close hoti hai. Bearish harami candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik small real body wali bearish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bearish candle pehli din ki bullish candle k andar engulf hoti hai, yanni bearish candle bullish candle k high aur low k inside main open aur close hoti hai. Pattern ki bearish candle bullish candle se size main kam hoti hai, jo k market main current bullish trend ka khatema karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-01-18T195830.081.png
Views:	19
Size:	8.2 کلوبائٹ
ID:	12442007

    Candles Formation


    Bearish harami candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bearish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k andar banti hai, jiss se pehli candle dosri candle ko engulf karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-01-18T195808.335.png
Views:	8
Size:	4.9 کلوبائٹ
ID:	12442008

    1. First Candle: Bearish harami candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bullish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se ooper hota hai. Bullish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish harami candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k muqabele main small real body main hoti hai, jo pehli candle k top se nechay open ho kar ussi k bottom se ooper close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle ki real body k andar banni chaheye.

    Explanation

    Bearish harami candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi buyers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k top par ya bullish trend main ban kar market ka trend bearish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se size main kam honi chaheye. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main buyers ki prices k top main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat sellers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k top main banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-01-18T195747.503.png
Views:	1
Size:	2.9 کلوبائٹ
ID:	12442006

    Trading

    Bearish harami candlestick pattern trading k leye aik strong bearish signal deta hai, jiss se sellers market main entry karte hen. Pattern ki k baad aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k bottom par close honi chaheye. Lekin bullish candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se upper position ya dosri candle k open price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (65).jpeg
Views:	1
Size:	21.6 کلوبائٹ
ID:	12442005

    اب آن لائن

    Working...
    X