Forex Trading me Four Price Doji Candlestick ki wazahat......
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me Four Price Doji Candlestick ki wazahat......
    Foure Price Doji Candle:-

    Aslam u alaikum,

    Dear Forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members Four price candle doji family se taluq rakhne wali ek candle hai, jiss main candle ki na to real body hotti hai aur na hi uss ki koi up down shadow hotta hai. Four price doji candle main prices up dawn harkat karnne ki bajaye matlobba timeframe aik hi position par jammi rehti hai. Short timeframe main ye ziadda banti hai lekin long timeframes main ye kam hi nazzar atti hai.


    Four price doji candle k banne ki psychology kuch is tarrah se hotti hai, k market k buyers aur sellers matlobba stock ya currency jore main koi khas dilchspi nahi lette hen, jiss se uss item ki vlaue main na to izzafa hotta hai, aur na hi wo kam ho rahi hotti hai. Ye candle prices k kisi bhi position par banne par neutral candle ka kirrdar adda kartti hai, lekin high aur low prices main ye market ki up down movement rok letti hai.



    Candle Formation


    Four Price Doji: Four price doji candle main prices k high, low open aur close aik hi point ya position par hotte hen. Four Price Doji Candle traders ki market main adam dilchaspi ki waja se bantti hai, jo aik neutral candle tasawar hotti hai.
    Four Price Doji Candle baqqi doji candles se bohut mukhtalif hai, q k baqqi doji candles main prices kam az kam candle k up down par shadow zarror bannati hai, jab k four price doji candle main aisa nahi hotta hai, ye maths k "Minus (-)" nishan shap ki hotti hai.



    Explaination

    Four price doji candle ek chotti line shap ki doji candle hotti hai, jiss ki na to real body hotti hai, bullke sath sath up down par koi shadow bhi nahi bantta hai, yanni ye candle real body main bhi zerro hotti hai, aur shadow main bhi zerro hotti hai. Yanni kisi matlobba timeframe main jab prices aik hi position par munjamed ho jaye tab ye candle wajood main atti hai.
    Four price doji candle ya to prices k bohut kam timeframe main bantti hai aur ya ye un currencies pairs main bantti hai, jiss par trading bohut kam hotti hai, q k traders ka un currency pairs main trade karne ka koi dilchaspi ka mode nahi hotta hai. Four price candle se market aisi behaviour de rahi hotti hai, jaise market main hollyday ya weekend par close hon. Major currency pairs k short term ki timeframe jaise S5 (five second), M1 (one minute) aur M5 (five minute) ki timeframe main ye candle kaffi taddad main bantte hen, jahan par qeematen kuch waqqat k leye sans le rahi hotti hai. Lekin long timeframe jaise; H4 (four hourly), D1 (daily) aur W1 (weekly) main in ka banna taqrreeban bohut kam hotta hai ya hotta hi nahi hai.



    Trading

    Four Price Doji Candle candle ki real body na honne ki waja se ye candle na to bearish candle count hotti hai aur na hi bullish candle, bulkeh aik neutral candle tasawar hotti hai. Ye candle market k trend k darmeyan main trend continuation ka kaam kartti hai, jab k top trend ya down trend main candle ki behaviour badal jatti hai.
    Four Price Doji Candle aggar top trend par bantti hai to ye aik bearish trend reversal ki indication detti hai, jab k prices k bottom main banne ki waja se candle ki behaviour bullish trend reversal main badal jatta hai. Candle par trading k leye trend confirmation indicator ya price action ki zarrorat hotti hai.
    Aggar four price doji candle prices k top trend par banne k baad chart par aik bearish real body wali candle bantti hai, to ye aik bearish trend reversal ka isharra hogga, yahan par market main sell se entry ki ja saktti hai. Jab k down trend main banne k baad aggar aik bullish candle bantti hai to ye aik bullish trend reversal ka signal hogga. Yahan par market main buy ki entry ki ja sakti hai.
    Four Price Doji Candle ka Stop Loss bearish trend reversal main doji candle k top se two pips above set hogga jab k bullish trend reversal main two pips doji candle k down par set hogga.

    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Trading me Four Price Doji Candlestick ki wazahat......

    umeeed karti hon k satb thek hongy or forex trading main maze k sath kaaam kar rahy hongy forex trading main har person ko regular pratice karna must hota hain jisne learning k sath kaam kiya wahi kamyabi pah skte hain forex main Doji Candlestick main learning ko incress kare forex trading main learning ko bina incress kiye kabi b Doji Candlestick main benefit nhe mil skta hain forex trading ka busniess ek kamyab busniess hain forex trading main learning ko incress karna must hota hain jaab tak learning nhe hoti hain tu benfit b nhe hain learning ko incress kare regular praitce kare forex trading main hard work kare agar hard work k sath kaam hota hain tu Doji Candlestick main benefit mil skte hain jisne learning nhe ki vo big loss kar skte hain forex trading ka busniess ek kamyab busniess hain


    how to trade on Doji Candlestick in forex trading market:


    forex trading main big big loss hote hain agar ek trades k koi b learning nhe hain tu Doji Candlestick main b loss he ho skta hain loss and profit forex trading ka hissa hin Doji Candlestick main learning ko incress kare forex trading main best learning kare hard work k sath kaam kare Doji Candlestick main rules ko achi tara study kare jaab tak learning and rules ko achi tara study nhe kiya jata hain tu big loss k chances hote hain loss and profit forex trading ka hissa hain learning kare forex trading main best learning k sath kaam kare forex trading main pratice kare learning ko incress kare benfit hasil karne k liye forex trading main work karna must hota hainn learning k sath kaam karne wale trades Doji Candlestick main benefit hasil kar skte hain forex trading ka bunsiess ek kamyab bunsiess hain
    • #3 Collapse

      Re: Forex Trading me Four Price Doji Candlestick ki wazahat......

      forex main praitce kare forex trading ki learning ko achi tara samjhy forex ek kamyab busniess hain learning kare pratice kare
      Ji haan is mein humein marketplace market mein Diamond chart pattern mein reversal formation K Badly mein pattern zyada bnta hy. pattern Mein Diamond ke break out intzar Karein or pattern formation pr style ke path shopping for and promoting Karein. Diamond chart pattern fofrex trading main jaaab tak kaaam nhe hota hain tu ek trades kabi bkamyab nhe ho skte hain forex trading k busniess main learning karna must hota hain
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Forex Trading me Four Price Doji Candlestick ki wazahat......

        FOREX TRADING EKKAMYAB BUSNIESS hain forex trading main praitce karna hota hain jisne learning k sath kaam kiya regular praitce ki wahi kamyab ho skte hain learning kare forex trading main hardwork kare forex trading ka asa busniess hain k is main risk hain tu profti b hain agar har traders relax mind k sath kaaam karte hain tu kamyab ho jate hain jin b traders ne hard work kiya tu kamyab ho jate hain forex trading main kabi b lallach na kare lalach kar k sirf loss he hota hain jo loss karte hain vo big loss ki waja say
        Gullalai

        اب آن لائن

        Working...
        X