Bearish Three Line Strike Pattern......
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Three Line Strike Pattern......
    Aslam u alaikum,

    Dear forex orex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members Bullish three line strike pattern four candles par mushtamil aik beariah trend reversal pattern hai, jiss main pattern k pahle teen cansles to bullish bantte hen, lekin fourth day candle k strike yanni bullish candle banne ki wajja se ye aik bearish trend reversal pattern main tabdeel ho jatta hai. Ye pattern prices k top trend ya high price area main payya jatta hai, jahan se ye market main sell ki entry ka signal detta hai. Pattern ki pehleen teen candle small real body main hotte hen, jiss market lazzy ya buyers ki dilchaspi kam ho jatti hai. Aur last candle ki wajja se pora trend reversal ho jatta hai.





    Candles Formation


    Bullish three line strike pattern appne naam k bar-akass kaam kartta hai, yanni ye aik bearish trend reversal ka kaam kartta hai. Pattern chaar candlestick par muheet hotta hai, jiss main pehlee teen candles green ya white hotte hen, jab k last candle aik bullish ya green hotti hai, jiss ki formation darjazzel hai;



    1. First Candle: Bullish three line strike pattern main pehlee candle aik small real body main white ya green candle hotti hai. Pattern k iss candle se prices main kammi ana shoro hotti hai.

    2. Second Candle: Bullish three line strike pattern ki dosree candle small real body main bantti hai, jiss ka color bhi same pehlee candle ki tarah white ya green hotta hai, jo k bullish pattern ko mazzeed kamzzor banna detti hai.

    3. Third Candle: Bullish three line strike pattern ki third candle bhi same pehle aur dosree candles ki tarrah white or green main hotti hai, lekin ye bhi same bohut small real body main bantti hai, jiss pattern k reversal honne k chances barh jatte hen.

    4. Fourth Candle:[/SIZE] Bullish three line strike candlestick pattern ki last aur forth candle aik long real body aur strong candle bannti hai, ye candle color main black ya red hotti hai, jo k mumkina tawar par prices k reversal ki waja bantti hai. Ye candle teeno candle k lower par close hotti hai.

    Explaination

    Bullish three line strike pattern high price area ya top trend main honne ki wajja se bearish trend reversal pattern ka sabbab bantti hai. Ye pattern chaar candlestick par muheet hotta hai, jiss main pehlee teen candles real body main small bantte hen, jiss open aur close same price par nahi hotta hai. Ye teeno candle color main white ya green bantte hen. Small candles honne ki waja se ye yahan par buyers ki dilchaspi market main kam hiwe hotti hai, jiss se market new trend ya bearish trend main reversal ho jatta hai. Pattern ki last candle aik strong bearish candle hotti hai, jo color main black ya red hotti hai, jo k market main sellers ki wapasee ki aik strong signal hotta hai.



    Trading

    Bullish tree line strike pattern bohut high price ya top trend main bohut reliable ho saktta hai, q k pattern ki pehllee teen candles small bullish bantti hai, ye candle hotti to ziadda tar real body main hai lekin ye market main bullish trend ki kamzzorri aur buyers ki adam-dilchaspi battati hai. Jaiss ka baad market main sellers power main a jatte hen, aur market ko apnne control main le lette hen.
    Bullish three line strike pattern par trading se pehle market ki mumkinna position koblazzmi note karen, q k ye pattern top trend ya high prices ka bagher nakkam bhi ho saktta hai. Pattern k trade entry se pehle trend confirmation zarrori hai, jo k fifth candle ya bearish candle k baad aik black candle honni chaheye. Trend confirmation price action ya dosre indicators se bhi mumkin hai. Stop Loss Pattern k sab se top position, jo ziadda tar teesree candle ka close price aur bearish candle ka open open price bannta hai, se aik ya do point top par set karen.

    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha

اب آن لائن

Working...
X