Bullish on nick pattern performance parts,,,
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish on nick pattern performance parts,,,
    Aslam O Alikum


    Introduction


    I hope all friends fine main ummid karta hun aap AP sab dost khairiyat se honge aur apna Kam samajhdari ke sath complete kar rahe honge,,

    How to bullish on nick pattern


    Bullish on-neck candlestick pattern two days candlestick par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jo k prices k uptrend ya bullish trend main banta hai. Pattern ki khas baat ye hai k ye pattern dekhne main same "Bearish Meeting Line Candlestick Pattern" jaisa hi hai, aur dekhne main bhi same lagta hai, lekin bullish on-neck pattern main dosri black ya red yanni bullish candle pehli bullish candle k closing price ko cross nahi karti hai. Pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main white ya bullish candle hoti hai, jab k dosri candle bhi real body wali hoti hai, lekin ye candle aik to bearish hoti hai, dosri candle pehli candle ki nisbat small ho sakti hai. Pattern market main bears ki nakam koshash ko dekhati hai, jiss se wo market main control hasil karne ki koshash main hote hen, lekin kam supply aur high demand ki waja se aisa mumkin nahi hota hai.


    Candlestick information,


    Bullish on-neck candlestick pattern same format main banta hai, jiss tarah se "Bullish thrusting line pattern" hota hai, lekin faraq sirf dosree candle ka small size main banna aur dosra ye candle pehli candle k closing price se below close nahi hoti hai, pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    1. First Candle Bullish on-neck pattern main banne wali pehli candle aik strong aur long real body wali white ya black yanni bullish candle hoti hai. Ye candle bullish trend ki continuation ko zahir karti hai, jo k pehle se hi prices main maojood hota hai. Candle ka close price open price se ooper hota hai.

    2. Second Candle: Bullish on-neck pattern ki dosri candle black ya red yanni bearish candle bannti hai, jo k size main pehli candle se taqreeban small hoti hai, lekin aisa zarori nahi hai. Ye candle pehli candle se above gap main open hoti hai, jab k close pehli candle k real body se pehle high price ya closing price k qareeb band hoti hai. Dosri candle ka close price pehli candle k close price ya real body main dakhel nahi honi chaheye.

    Exompletion,,


    Bullish on-neck candlestick pattern aik bullish trend continuation pattern hai, jo k do candles se mel kar banta hai,. Pattern ki dosri candle aik bearish real body k hone k bawajod bhi ye pattern trend reversal main nakam rehti hai, q k dosri bearish candle ka close point pehli candle k closing price se above hota hai. Ye trend continuation pattern hai, jo k prices k top ya bullish trend main banta hai. Ye pattern trend reversal pattern jaise "Piercing line pattern" ya "Bullish meeting line pattern" k muqabele main ziada kamyab rehta hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali hoti hai, jo k bullish trend ki alamat hoti hai. Jab k dosri candle size main pehle candle se umoman kam hoti hai, jiss ka open price pehli candle se above gap main hota hai aur closing price pehli candle k closing price se thora sa ooper hota hai.

    Trading in bullish on nick pattern




    Bullish on-neck pattern main dosri bearish candle pehli bullish candle k closing price ko cross nahi karta hai, iss waja se ye candle ziada mazbot ya moasar nahi hoti hai. Bearish candle pehli candle se above gap open hoti hai, lekin selling pressure ki kami ki waja se pehli candle ki real body main dakhil nahi hoti hai. Market main ya to buying pressure ziada hota hai, aur ya selling pressure kam honne ki waja se qeematen ziada taqat se bearish nahi jati. Pattern par trading se pehle confirmation candle ya indicator ka honna zarori hai, jo k aik teesri bullish candle ho sakti hai. Ye pattern newly bullish breakout trend par ziada kamyab rehta hai. Teesri candle k baad market main buy ki entry ki ja sakti hai. Jab k Stop Loss pattern ki pehli candle k bottom ya open price se two pips below par set hoga ,,,

اب آن لائن

Working...
X