Flag candle sticks pattern in Forex !
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Flag candle sticks pattern in Forex !
    Assalam-U-Alaikum !

    Dosto umeed karta hun aap khairiyat se Honge aur apni posting target pura karne ke bad aap bhi apni trading kar rahy hon Gaye Dua karta hun ki aap apni trade se acche se Accha profit Hasil Karen Apne knowledge ko experience ko improve Karte Rahen aaj ki post Mein flag chart pattern hai aur is topic per Aaj Ham discussion kar hain aur aap ko Samjhane ki koshish bhi karta hun ki yah flag Jat Patra market trading chart Mein Kab banta hai aur kaise banta hai aur is se Ham Kis Tarah fayda Utha sakte hain iske Aur Is Tarah Ham isase benefits Hasil kar sakte hain aur apni trade ko profitable banaa sakte hain yah Kasur se use per Banta Hai Jab market ki position yah highest point per jaati aur Wapas aati hai to use time flag chart pattern banta hai.



    Flag Candlestick Chart in Forex :

    dosto flag chart pattern ko market me short term trend k tasalsul k tawar par jana jata hai, jo market ki qeematon ko thora sa waqfa karne k baad pechle trend k tasalsul ko agay barhata hai. Flag pattern tasalsul (continuation) patterns me sab se qabele-aitemad (reliable) pattern hai. Flag pattern us waqat bante hen jab market me tez (fast) movement k bad qeematen sideways chalna shoro karti hai. Flag pattern usi trah dobara aik tez movement shoro karta hai, jis tarah se pehle tha, yani pechle wale trend ka tasalsul barqarar karwata hai. flag pattern aam tawar par hujam k lehaz se ya to bohut zyada bullish ya bearish agay barhte hen, jo taqreeban 1 se 5 candles tak jari rehta hai, aur bare time frame me ye weeks par bhi muheet ho sakte hen. Ye candles aam tawar par trend ki rukawat (pauses) aur market me traders ki adam-tawajah k asarat ko zahir karte hen. Jis k baad qeematen market me apne pechle trend k hisab se agay chalna shoro karti hai.



    Click image for larger version

Name:	images (5).jpeg
Views:	22
Size:	16.7 کلوبائٹ
ID:	12561028


    Types Of Flag Candlestick Pattern:

    dosto aam tor par flag bante waqat volume kam ho jate helain ya sukar jate hen aur breakout par barh (increase) ho jate hen. Flag pattern 2 types k hote hain.

    1). Bullish Flag Candlestick Pattern :



    2). Bearish Flag Candlestick Pattern :



    Bullish Flag Candlestick Pattern in Forex :

    dosto bullish flag pattern us waqat banti hai jab market me pehle se trend bullish ho aur us k bad kuch choti bearish candle bullish bhi ho sakti hai lekin qeematen sideways rehti hai. Ye candles mustateel shakal me aik flag jaisi dekhaye deti hai. Lekin bad me market up side pe bullish movement shoro karti hai. traders k liye opportunity: bullish flag pattern ban.ne k bad traders k leye opportunity hoti hai k wo market me buy ki entry lain. q k yahan se market teezi k sath bullish jayegi. Agar confirmation k liye agli candle ka intezar karen to us sorat me agli candle bullish lazmi ban.ni chahiye.



    Click image for larger version

Name:	images (8).jpeg
Views:	5
Size:	25.6 کلوبائٹ
ID:	12561029

    Bearish Flag Candlestick Pattern in Forex :


    Dosto bearish flag pattern bullish flag k bar-aks neachay side pe banti hai, aur is k trend ka tasalsul bhi bullish se mukhtalif hota hai. Bearish flag pattern aik bearish trend k bad aise tarteeb hota hai k pehle bearish trend me bullish candle ban jati hai, pher market me chand choti body wali candle banti hai, jis se market sideways movement pe a jata hai. Lekin baad me agar candle beariah ban jati hai to ye market main downtrend ka signal hota hai. traders k leye opportunity traders k leye moqa hota hai k wo market me sell ki entry karen. Q k yahan se market bohut tezi k sath downward jayegi. Trend confirmation k liye agar agli candle ka intezar karen to bhi thek hai, q k us se trend aur bhi strong ho jayega.

    Click image for larger version

Name:	images (5).png
Views:	20
Size:	16.5 کلوبائٹ
ID:	12561030

اب آن لائن

Working...
X