Without Wick Candles
Forex trading me candles ka istemal trading k dowran technical analysis me kia jata hai. Candles ki tarteeb mukhtalif tarah ho sakti hai, jiss main koi long wick candles, bagher real body k candles, aur bagher wicks k real body wali candles hoti hen. Bagher wick ya shdow k candles ko Marubozu candles kaha jata hai. Ye candles chart pattern par bohut ziada khareedari ferokht k diwran banti hai. Bagher wicks k candles k banne ki waja bhi yahi hoti hai, k uss mukhtakhib timeframe me khareedari ya ferokht ka amal bohut ziada hota hai.
Without Wicks Candles ki Aqsaam
Bagher wicks k candles ki do aqsaam hen, jo k uss k real body k color k mutabiq hote hen. Yai ya to ye candles bullish ho sakte hen aur ya bearish, jin ki tafseel darjazeel hai;
Marubozu Bullish Candle
Marubozu bullish candles wo candle hoti hai, jo buyers ki pressure ki waja se banti hai, ye candle upper aur lower side par bagher wicks ya shdow ki hoti hai, jiss se candle ki shakal aik cylander jaise lagti hai, aur color iss candle ka bullish ya white/green hota hai.
Marubozu Bearish Candle
Marubozu bearish candle market me bohut ziada selling pressure ki waja se banti hai, jiss se candles ki color black ha red hoti hai. Ye candle bhi bagher upper aur lower wicks ki waja se aik cylander jaise dekhti hai.
Without Wicks Candles par Trading
Without wicks candles bohut ziada powerful candle hoti hai jo k trend ki mazboti me in ka aik aham role hota hai. Ye candles aggar market k intehaye kam ya ziada area me paye jati hai to ye trading me bara positive signals bhi genrate karti hai. Jaise agar aik bullish Marubozu candle bottom prices me banti hai to iss ka matlab hota hai k ab trend bullish hone wala hai, jis se market me buy ki entry ki ja sakti hai. Issi tarah se bearish Marubozu candle agar prices k top par banti hai to waha par is par sell ki entry ki ja sakti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим