Candle Stick
Candlesticks ka istemal sab se pehle japan me hota tha, jab k Western me financial analysis k leye baar pattern ka istemal kia jata tha. Baar bhi candle stick k tarah aik makhsos time period k dowran qeematon k bare me information dete hen, lekin jo information candlestick se melti hen, wo baar pattern me nahi hai. Japanese Candlesticks ka istemal western me sab se pehle "Steve Nison" ne kia.
Candlesticks aik makhsos time period k dowran qeematon ka open, close, high aur low positions batate hen. Candlestick k timeframes mukhtalif ho sakte hen, jo k one minute se shoro ho kar one month tak hote hen.
Candlestick k Aham Nukaat
- Agar aik candle ki close price open price se upper ho to ye bullish candle hoti hai, jis ko aam tawar par white color se zahir kia jata hai.
- Agar aik candlestick ki open price close price se ziada ho to us sorat me ye bearish candle hogi, jis ko aam tawar par black color se show kia jata hai.
- Candle stick k White aur black area ko real body kaha jata hai.
- Candle stick ki sab se patli (thin) area ko candle ka wick ya shadow kaha jata hai.
- Candlestick k top shadow ko high price kaha jata hai.
- Candlestick k lower shadow ko low price kaha jata hai.
Agar aik candle ki real body bari hogi to us ko long candle kaha jata hai, jab small body wali candle ko short candle kaha jata hai.
Candle Stick ki Aqsaam
Wese to candlesticks ki timeframe aur qeematon k mutabiq bohut sare shape bante hen, lekin aam tawar par aik candle ki teen aham aqsaam hoti hen;
- Bullish Candle
- Bearish Candle
- Doji Candle
1. Bullish Candle
Jab bhi aik candle ki open price se closing price ziada hongi to ye candle aik bullish candle bane gi aur is candle ka color white (ziada tar istemal hone wala) ya green ban jata hai.
2. Bearish Candle
Jab bhi candle stick me qeematen high open aur low close ho, to is candle ko black (ziada istemal hone wala) ya red color se bhar deya jata hai, aur is candle ko bearish candle kaha jata hai.
3. Doji Candle
Doji candle me real body nahi hoti hai, yani candle ki opening aur closing prices same hoti hai. Candle ka kisi aik side pe ya dono side pe aik saya bhi ban sakta hai lekin real body bulkul nahi hoti.