Detail of head and shoulder candlestick pattern
ہمارے کمیونٹی کے 15 سال!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detail of head and shoulder candlestick pattern
    Aslam o alaikum. Dear members umeed karti hun k ap sab kheriat sey houn gey and forex par achi learning hasil kar rahy houn gey. Aj mein ap sab k sath aik boht he important topic discuss karun gi jis ki information ap sab k pas lazmi honi chaiye. Yeh pattern boht he famous and important pattern hai.


    What is head and shoulder ?


    Dear forex members , head and shoulder candlestick pattern ko jab use karty hein tou us time wo market mein is chart pattern mein majood price ko confirm karny k liye sport and resistance lines ka istemal karty hein. In lines ki jariye sey he wo market ki price aur us k signal ko confirm kar lety hein . Market mein yeh boht he powerful chart pattern hoty hein . Is ki two types hoti hein . Head and shoulder pattern aur dusri reverse head and shoulder pattern. In dono ki aik dusry sey opposite working hoti hai.

    Head and shoulder pattern trading chart mein banny wala aik boht he important aur useful pattern hai. Head and shoulder pattern market ki movement k hisab sey ban raha hota hai aur different candlestick sey ban raha hota hai jis par ham apni trade kar sakty hein.


    Explanation of head and shoulders ;


    Dear forex members jaisa k ap sab janty hein k yeh aik boht he useful pattern hai. Jab third head create ho jata hai tou is sey traders ko idea mil jata hai k market ki next movement downtrend ho sakti hai.
    Head and shoulder chart pattern mein market ki price k andar supply and demand ka apas mein hardly jang chal rahi hoti hai is waja sey kbi market mein supply zada hoti hai tou kbi market mein demand zada hoti hai. Is sey market mein head and shoulder pattern banta hai. In the end yeh war supply zada hony ki waja sey jeet jati hai jis sey demand kam ho kar market ki bearish movement start ho jati hai .


    Keypoints of head and shoulder ;


    Dear members head and shoulder pattern ko find karny k liye chart ko dekhna parta hai aur us mein candles ko dekh kar yeh idea ho jata hai k is market ka pattern kia hai . Isi tarah agar hum market mein koi trade lagana chahty hein tou isis sey hamen market mein khatra nazar ata hai aur us k end hony k baad he apni trade ko active kar lena chaiye.
    Forex trading mein trader currency pair aur commodity ki movement ko samjhny k liye price chart ko read karna parta hai. Is sey price chart pattern mein changes momentum aur price k trend mein change ko accuracy k sath identify karta hai . Chart pattern currency pairs aur commodities k price chart mein market price ki movement ko track karny k liye use hony wala most important technical tool hai.
    Isi liye forex trading mein traders kisi bhi currency pairs ya commodity ko buy sell karny k liye candlestick pattern par depend karta hai.

اب آن لائن

Working...
X