Function and use of mt4/mt5
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Function and use of mt4/mt5
    AssalamuAlaikum!* Dear members i hope ap sab kehriyat sy hon gay, dear Metatrader 4 aik trading platform hai jo kay ap ko broker kay zariey forex market main trade kar sakty hain. Metatrader 4 zaida tar forex trading kay liey use hota hai. Lekin Metatrader 4 main aap indices, cryptocurrencis aur commodities bhe trader kar sakhty hain. Dear agr ap market main kamyabi Hasil karna chahty hain to aapko Hamesha experience k satg kam karna hota hai aur apni learning ko perfect banana hota hai. Tab hi ap kamyabi hasil kar sakte hain. Dear aj main ap sy bhot important information share karna chahti hun jis ko ap samjh kar market main achi working kar sakhty hain.

    FUNCTIONS:

    Dear Metatrader 4 main different functions hain jin ko ap use kar ky apni trading ko asan bana sakty hain. Or en Functions ko use kar ky ap apny profit ko maximise kar sakty hain. En Functions ko properly use karny ky liey ap ko pata hona chahey ky kis function ke kia khasoosiyat hai or us ka advantage kia hai.

    Stop loss/SL:

    Dear Agar ap apni trade ko stop karna chahty hain jab market ap ky against jaati hai to ap order ko modify kar ky stop loss laga sakty hain. Stop loss ko sahi use karny ky liey ap ko achy analysis kar k or account ko manage kar k lagana chahey.



    Take profit/TP:

    Dear Jis tarha ap nuqsan main apny order py stop laga sakty hain esi tarha ap profit main ksi point par ap apni trade close karna chahty hain to ap take profit function use kar ky laga sakty hain.

    ORDERS KI IQSAAM:

    Dear Agar ap foran market main order place karna chahty hain to ap "Instant Execution" kar sakty hain or ap ka order foran lag jaata hai. Es ky elawa agar aap ksi khas point sy order lagana chahty hain to ap "Pending Order" laga sakty hain. Pending order ka matlab hai jab market kesi khas point par jaati hai to ap ka order automatically buy ya sell ka lag jata hai.
    Pending order main mazeed ap different options use kar sakty hain.

    BUY LIMIT
    SELL LIMIT
    BUY STOP
    SELL STOP


    En 4 Pending orders ko ap use kar ky apny profit ko maximum hasil kar sakty hai or apny loss ko kam sy kam kar sakty hain.

    EXPLANATION :

    Dear agr ap market main kamyabi Hasil karna chahte hain to ismein aapko bahut zayda experience ki zarorat hoti hai agr ap different factors par study karty hain to ap bhot zyada advantages available hoty hain es liye ap ko hmesa market Mein ye confirmation honi chahie k ap ny stop loss or take profit kesy set krna hai tab hi ap achi earning kar sakte hain.

اب آن لائن

Working...
X