Assalamu Alaikum Dosto!
Hammer Candle
Hammer candle single candle family ki ek qisam hai, jis main candle ki shap ek hathore ki tarah bantti hai. Jab bhi prices ek matlobba timeframe me trading k dowran apne open point se bearish janne k baad wapis apne open position par ya us k qareeb band ho jaye to ye ek Hammer candle banati hai. Yanni Hammer candle main prices ka open aur close position to aik dosre k qareeb hotta hai, lekin low side par aik lamba saya hotta hai, aur ya ye bhi dekhne main melta hai, k is candle ka upper side par wick hotta hi nahi hai. Hammer candle main prices pore din tak sellers k hath main rehtti hai, lekin pher bhi ye close apne aghaz k position k qareeb hotte hen.
Candles Formation
Hammer candle aam tawar par aik neutral hi tasawar ki jatti hai. Lekin low price ya bearish trend main ye candle bullish trend reversal ki waja se bullish tasawar ki jati hai, candle ki formate darjazzel tarah se hoti hai;
Hammer Candle: Hammer candle k open aur close aik dosre k qareeb hota hai, lekin candle k lower side par aik long shadow ya wick hotti hai. Ye wick prices k bearish trend ki kamzori aur bullish trend reversal ka ishara hotta hai. Candle ki small body k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, nis se prices k upward par mazboti ki akasi hoti haiaur ye position prices k leye aik strong support level ka kaam karti hai.
Explanation
Hammer candle main prices bullish aur bearish dono tarah se ban sakti hai, yani open aur close qareeb hone se candle ki real body ki khas value nahi hoti hai. Lekin ye candle is waja se bullish tasawar ki jatti hai, q k bearish trend ya low prices ko mazzeed nechay janne se mustarad kia jata hai. Hammer candle ki psychology kuch iss garah se hoti hai k bearish trend k dowran sellers prices ko nechay ki taraf push karte hen, lekin ussi dowran buyers bhi market main active ho jate hen, jiss se prices wapis candle k open price k qareeb a kar close hoti hai. Hammer candlestick market me current trend k khatme ka aik strong signal deta hai, jis se hum prices k next movement ka asani k sath prediction kar sakte hen.
Trading
Hammer candle single formate ki Umbarella family ki candle hotti hai, jo k short timeframes main to bohut ziadda bantti hai, lekin long timeframes main kam hi dekhaye detti hai. Short timeframe main is candle ki koi ahmeyat nahi hai. Long bearish trend main banne par ye candle bullish trend reversal candle tasawar ki jatti hai. Traders k leye zarorri hai, k aik to Hammer candle ka timeframe H4 se kam na ho, dosra ye downtrend ya bohut low price area main banni chaheye. Candle par buy ki entry hogi lekin trend confirmation k leye aik bullish candle ki zarrorat hogi. Stop Loss Hammer candle k low prices yani wick k sab se last price pe set hoga, ya uss se thora sa nechay set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим