Deliberation Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Deliberation Candlestick Pattern
    Deliberation Pattern


    Deliberation candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k top ya bullish trend k baad banta hai. Ye pattern teen bullish candles par mushtamil hota hai, lekin akhari small real body candle ki waja se pattern continuation pattern ki jagah bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Deliberation pattern ko "Stalled Pattern" bhi kaha jata hai. Deliberation pattern me shamil teeno candles white real body wali honi chaheye, jis me 1st aur 2nd candle ki real body bare size me honi chaheye. Ye pattern teen bullish ya white candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli, dosri aur teesri teeno candles bullish candles hoti hai. Ye candles lagatar higher high par close hoti hai. Pattern ki pehli aur dosri candles strong bullish candles hoti hai, jab k teesri candle aik small real body wali ya Spinning top bullish candle hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (745).png
Views:	8
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12553666

    Pattern ki Pehchan ka Qayeda:
    1. Deliberation pattern k leye market me pehle se high prices area ya bullish trend ka hona zarori hai, q k ye aik bearish trend reversal pattern hai.
    2. Pattern me teen white candles shamil hongi, aur har aik high-close honi chaheye (candles ki close price lazmi open price se ziada honi chaheye).
    3. Pattern ki 1st aur 2nd candle 3rd white candle ki nisbat aik bari real body wali candles honi chaheye.
    4. Pattern me shamil 3rd candle ki real body small (spinning top candle) honi chaheye, baaz dafa ye candle 2nd candle se uper gap me bandi hai.
    5. Pattern ki 3rd candle prices ko top par mazeed jane se mana karti hai, jahan par prices k leye aik resistance level ban jata hai.


    Click image for larger version

Name:	images (422).jpeg
Views:	4
Size:	3.0 کلوبائٹ
ID:	12553665

    Pattern ki Tafseel:

    Deliberation candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki formation same "Three White Soldier Pattern" ki tarah hoti hai, lekin is ki akhari candle aik small real body wali white hoti hai, jo ziada tar Spinning top ya doji candle bhi ho sakti hai. Pattern me shmail 1st aur 2nd candles aik lambi real body wali white candles hoti hen, jo market me buying pressure dekhati hai. Pattern me shamil teeno white candles high pe close hoti hai. Pattern me banni wali 3rd candle aik small real body wali hoti hai aur aksar ye candle aik Spinning top candle hi hoti hai, jo k 2nd candle k high k sath close ho jati hai. 3rd candle qeematon k buying pressure ko khatam karti hai, jis se market ka agla trend reversal ho jata hai. Pattern ki pehli aur dosri candles ziada tar bagher wick ya shadow ki hoti hai, lekin teesri candle small size main bullish Spinning top candle hoti hai. Deliberation candlestick pattern prices k top par ya bullish trend main banne k baad prices ko teezi k sath downward ki taraf pressurized karti hai. Iss pattern main pehli aur dosri candles teesri candle ki nisbat real body main bari hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (746).png
Views:	15
Size:	9.5 کلوبائٹ
ID:	12553664

    Pattern pe Trading ka Amal:

    Deliberation pattern bhi "Advance Block pattern" ki tarah delibration pattern bhi bullish trend k khatme ka ishara deta hai, jo k 3rd number par banni wali spinning top candle se zahir hota hai. Deliberation pattern agar high price area ya bullish trend k baad banta hai, to yahan se qeematon ka reversal hone k chances bohut ziada barh (increase) jate hen. Deliberation pattern me 3rd candle k baad sell ki entry karni chaheye. Trend confirmation k leye 4rth candle ka intezar karna chaheye, agar wo bearish banne k baad 2nd aur 3rd candle k lower close hoti hai, to is se trend reversal ka amal mukamal hota hai. Pattern k baad confirmation candle ka hona zarori hai, jo k indicator se bhi asani se trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bearish real body main hona chaheye, jab k indicators aur oscillators main value overbought zone main hon to uss waqat ye pattern ziada payedar k sell k signals de sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (744).png
Views:	32
Size:	8.9 کلوبائٹ
ID:	12553663

اب آن لائن

Working...
X