Falling Three Candle Methods (Bearish)
Aslam u alaikum,
dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members Falling three candle method qeematon ki mandi (bearish) trend k tasalsul (continuation) ka aik ishara hai. Ye pattern panch (5) candles sticks par mushtamil hoti hai, pehle aik bari bearish candle us k bad choti small candles aur akher me pher aik bari bearish candle. Ye mojoda trend k tasalsul me arzi (temporary) tawar par waqfay hota hai jab qeematen bohut ziada downside pe cha chuki howi hoti hai. Market teen candles k baad wapis apne pehle trend pe teezi k sath movement shoro karta hai. Darmeyan wale candles lazmi nahi hai k teen hi hongay, ye us se ziada bhi ho sakte hen. Jitna ziada bare timeframe me ye pattern banta hai utna hi ziada ye reliable hota hai.
Falling Three Candle Methods banne k osol
- Pattern banne se pehle trend bearish hona chaheye
- Pattern me pehle aik lambi bari candle stick banegi
- 2nd,3rd aur 4th candle choti bullish ho sakti hai lekin zaroei nahi hai. Ye market ki aarzi tawar par rukhne ki alamat hai. Ye teen candles body me pehle candles se kam aur opening wa closing point us se k opening wa closing point se kam hona chaheye
- 5th candle lazmi bearish aur body me pehle teeno se bari aur pehle candle k closing point k bad close hona chaheye
Falling Three Candles Methods pe Trading
Ye aik mazbot bearish continuation trend ki alamat hai, is waja se traders ko is moqa se zaror faida utana chaheye. Ye pattern ziada tar longer timeframe me bante hen, jahan pe long term trading k leye ye aik behtareen opportunity hoti hai. Traders 5th candle banne k bad market me entry kar sakte hen, lekinagar wo 6th candle k confirmation karna chaheye to ye pattern me mazeed behatri la sakti hai. Strong sell area hai aur stop loss ko 3rd aur 4th candle k uper side pe set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим