Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Thrusting Line Candlestick Pattern
Bearish thrusting line candlestick pattern aik bearish trend continuation pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bearish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se low area ya bearish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Low price area main ye zarori nahi hai, k har dafa yahan se bullish trend reversal hi hoga, issi position par bearish thrusting line pattern ban kar prices ko same bearish trend main continue karwa deti hai.
Candles Formation
Bearish thrusting line candlestick pattern prices k downtrend ya lower par low demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish thrusting line candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices ko downtrend ya bearish trend ki akasi karti hai. Ye candle bearish trend ko mazeed nechay ki taraf push karti hai, aur market main low demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.
2. Second Candle: Bearish thrusting line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par gap main open hoti hai, jab k close ussi candle k real body k midpoint se thora sa nechay hoti hai. Pattern ki bullish candle trend reversal karne ki nakam koshash karti hai, jiss se prices same trend ko follow karna shoro karti hai. Dosri ka close price lazmi pehli candle k open close aur midpoint k darmeyan hona chaheye.
Explanation
Bearish thrusting line candlestick pattern prices main bearish trend k dowran ban kar prices ko mazeed nechay ki janib push karti hai. Ye pattern prices k bearish trend k dowran aik waqfa peda karti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo k prices k bearish ya down trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, aur iss candle ka open price pehli candle se gap main hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k prices ko nechay jane se rokhne ki koshash karti hai, jo low demand ki waja se nakam ho jati hai. Pattern ki dosri candle ka open pehli candle k close se bottom par gap main hota hai, jab k close pehli candle k real body main darmeyan se thora sa nechay hota hai.
Trading
Bearish thrusting line candlestick pattern prices k bottom main continuation pattern ka hone ki waja se aik bearish trend signal genrate karta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bearish candle honi chaheye, aur dosri candle k bottom par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value darmeyan se nechay zone main honi chaheye. Pattern k baad bullish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se higher ya pehli candle k open price se two pips above par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим