Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Engulfing Candlestick Pattern
Bullish engulfing candlestick pattern price chart pattern par banne wala aik bullish trend reversal pattern hai, jo uss waqat market main banta hai, jab buyers market par control hasil karne ki koshash karte hen. Price action main candles timeframes k mutabiq kisi assets ki high aur kam value ko zahir karti hai, aur jab bhi ye value intehaye kam ya ziada ho jati hen, to uss waqat trend reversal hone ka indication melta hai. Ye indication aksar price chart par mukhtalif candles se mel kar banta hai, jo k aik ya aik se ziada candles par mushtamil hota hai. Bullish engulfing candlestick pattern do din k mukhtalif formate k candles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jiss me pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai.
Candles Formation
Bullish engulfing candlestick pattern main shamil dono candles mukhtalif formate yanni color main aik dosre se different hoti hai. Ye pattern prices k bottom ya bearish trend k baad banne par bullish trend reversal ka kaam karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k price chart par maojoda trend yanni bearish trend ki akasi karti hai. Ye candle normal bearish real body main hoti hai, jiss ka open close se ziada hota hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
2. Second Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se lower gap main open ho kar ussi k above close hoti hai. Dosri candle aik long real body wali candle hoti hai, jiss ki real body main pehli candle sama jati hai. Ye candle bullish real body main upper aur lower shadow samet hoti hai, jiss main close price open price se high hota hai.
Explanation
Bullish engulfing candlestick pattern k leye zarori hai, k prices chart par bearish ya lower area main trade kar rahi ho. Ye pattern prices k bottom main bearish trend ka khatema karke bullish trend reversal ka sabab banti hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, niss main candle ka close price open price se kam hota hai. Pattern ki dosri candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo pehli candle se lower gap main open ho kar ussi k above gap main close hoti hai. Dosri candle lazmi pehli candle se bottom gap main open honi chaheye aur pehli candle ko mukamal cover karte howe ussi k top par close honi chaheye.
Trading
Bullish engulfing candlestick pattern par trading k leye zarorri hai, k prices long timeframes main downtrend main ho. Ye pattern buyers k leye market main khareedari ki opportunity deti hai, jo k aik confirmation candle k baad mumkin hota hai. Pattern k baad confirmation candle bullish real body main honi chaheye, jo k dosri candle k top par close bhi honi chaheye. Lekin agar ye candle bearish banti hai to uss waqat pattern par trading se parhez karen. Pattern ki confirmation indicator se bhi ki ja sakti hai, jo k CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower position ya dosri candle k support point se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим