Discussion about Dark cloud cover
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discussion about Dark cloud cover
    Dark Cloud Cover:
    • Aik bearish reversal candlestick pattern jahan aik down candle (typically black ya red) open above close ho up candle sa pehlay (typically white ya green), aur pher close below up candle ka midpoint ho , easko dark cloud cover pattern kehtay hain.
    • Dark Cloud Cover aik candlestick pattern hai jo keh show karta hai aik shift mein momentum downside ki taraf following price rise mein.
    • Pattern aik bearish candle per composed hota hai jo keh open above ho per phir close below midpoint ho prior bullish candle mein.
    • Both candles relatively large honi chaiay, showing strong participation ki traders aur investors.
    • Jab pattern occur ho with small candles yeh typically less significant hota hai.
    • Traders typically dekhtay hain keh candle following bearish candle declining prices show karti ho.
    • Aik further price decline following bearish candle ko confirmation kehtay hai.

    Way:
    Ziada tar trader es pattern ko sirf us surat main effective samajty hain, jab yeh uptrend ya price main overall increase k bad hota hai Jasay price barhti hai, ye pattern downside mein potential move ko indicate karta hai ,agar price action chapti hai, to pattern kam ahmiat ka hamil hai, kyun keh pattern ka bad qeemat chipti rehny ka imkan ziada hai
    Es pattern ko understand karna bahut zaroori hai, Jasa keh yeh aik bearish engulfing pattern hota hai, es main buyers opening mein price ko high pa la ka janay ki koshish kartay hain. Lakin sellers es ko take over kar latay hain, aur qeemat ko tezi sa kam kartay hain .
    Buying sa selling mein yeh change es bat ka ishara karti hai keh price mein kami ka trend anay wala hai.


    Example :
    Traders jo long period sy trade main hain, bearish candle k qareeb ya agly din, bahir nikalny pe ghor kar sakty hain, jab price mazeed gir rhi ho Traders is point p short positions main b enter ho sakty hain Agar short point main enter hona ha to, bearish candle k high p stop loss rakha ja sakta hai Confirmation k din, stop loss ko confirmation sy bilkul uper dala ja sakta hai
    Es chart k mutabiq, dark cloud cover us waqt hota hai, jab third bullish candle k bad aik bearish candle hai, jo unchi khulti hai or last bullish candle k midpoint sa nechy close hoti hai is pattern ny kamyabi k sath downtrend ki prediction ki hai or is session ny is ki confirmation ki hai.
    Advantages:
    • Dear forex members, agar hum is pattern ko samaj lain to :
    • Better decision making kar sakty hain ,
    • aur better strategy k sath, timely trade main enter ho k profit earn kar sakty hain.
    • Is liye is pattern ko lazmi understand krain ta k loss sy bach, aur risk management kar k acha profit earn kr sakain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Discussion about Dark cloud cover

    Dark Cloud Cover Candlestick Pattern


    Introduction:

    Dark cloud cover pattern Piercing line pattern ka opposite pattern hai, jo do (2) candles par mushtamil hota hai. Dark Cloud Cover Candlestick Pattern aik bearish (downward) trend ulat (reversal) pattern hai, jo ziada tar high price area ya bullish trend k baad hota hai. Ye pattern qeematon k bullish rujhan (trend) ko 2nd black k bare real body ki madad se khatam karta hai, jo k pehle white candle darmeyan ya darmeyan (midpoint) se thora sa nechay ja kar close hoti hai. Ye pattern bullish trend ya top of the price main banta hai, jo k two days candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices main bullish trend ki trend ki akasi karti hai, jab k doare din ki candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se above gap main open ho kar ussi k midpoint k nechay close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (139).jpeg
Views:	1
Size:	23.2 کلوبائٹ
ID:	12408799

    Pattern ki Pehchan ka Rules:
    1. Dark cloud cover pattern aik bullish trend reversal pattern hai, is waja se qeematon ka pehle se high price area ya bullish trend me hona chaheye.
    2. Pattern do (two) candles par mushtamil hai, jis me pehle candle aik bari real body wali white candle hoti hai.
    3. Pattern ki 1st white candle market ki current situation yanni bullish trend ki akasi karti hai.
    4. Pattern ki 2nd black candle 1st white candle se above thore se gap me open hoti hen, lekin baad me qeematon pe selling pressure ki waja se candle downward a kar white me dakhil ho kar close ho jati hai.
    5. Pattern me 2nd black candle white candle k real body k midpoint me ya us se thora sa nechay close hoti hai.
    6. Pattern me candles k shadow ka hona ya na hona koi ahmeyat nahi rakhta hai, lekin candles ki real body lazmi honi chaheye, jis se pattern ka amal mukamal hota ho.


    Click image for larger version

Name:	images (233).png
Views:	71
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12408800

    Pattern ki Tafseel:

    Dark cloud cover pattern ka shumar un patterns me hota hai jo k qeematon ko rebound karwati hai. Ye pattern market k high price area ya bullish trend me banta hai, jis se qeematen bearish reversal ho jati hai. Dark cloud cover pattern do mukhalif colour ki candles par mushtamil hota hai, jis me 1st candle aik white real body wali bari candle banti, jo k qeematon k upward side pe teezi dekhati hai. Dosra 2nd black candle ki open position white candle se uper gap me hota hai, jo qeematon pe khareedaron k dabao ko dekhati hai. Lekin market me twist us waqat ban jata hai, jab black candle bullish move karne ki bajaye downward ana shoro karti hai, yanah tak k ye candle white candle k real body k darmeyan ya us se thora sa nechay ja k close ho jati hai. Black candle ki aik bari real body market me qeematon pe bullish pressure ko khatam kar deti hai aur yanan se qeeamton ko aik naye trend k leye tayar karti hai. Pattern do candle par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish trend wali candle hoti hai, jo pehli candle k top par open ho kar ussi k darmeyan se nechay close hoti hai. Ye candle pehli candle k open point se pehle close honi chaheye, warna pattern k bearish engulfing pattern main badalne ka hadsha ho sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (234).png
Views:	14
Size:	9.0 کلوبائٹ
ID:	12408801

    Trading on Pattern

    Dark cloud cover pattern aik strong bearish reversal pattern hai, jo k traders k leye sell ki signal ki opportunity muhaya karta hai. Ye pattern agar market k centre me ban jata hai to is ka asar kam hota hai, lekin pattern ki ahmeyat us waqat ziada hoti hai, jab bhi ye pattern high price area ya bullish trend k baad banta hai. Dark cloud cover pattern me 2nd black candle ki real body aur position bohut ziada aham hai. Is pattern me candles ki wick ki koi ahmeyat nahi hai, lekin ye wick candle ki real body se kam hona chaheye ya candle ki real body k hise ko cover na karen. Dark cloud cover pattern me 3rd confirmation candle ka intezar zarori hai, agar wo candle 1st candle aur 2nd candle k baad close hoti hai, to ye bearish trend ko confirm karne k leye kafi hai. Lekin agar 3rd candle bullish ya doji candle banti hai to ye trend k tasalsul ki alamat hoti hai, is waja se pattern k top position jahan se black candle open hoti hai ye black candle ki high price area pe stop loss ko put karen. Dark cloud cover pattern ki dosri candle k baad market main sellers active ho jate hen, q k ye aik bearish signal de rahi hoti hai. Pattern k baad aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k long real body main pehli candle se nechay close ho jaye. Agar indicator se confirmation karna ho to stochastics oscillator overbought area main hona chaheye. Pattern k baad agar white ya bullish candle banti hai to iss se ye pattern invalid ho jayega.

    Click image for larger version

Name:	images (136).jpeg
Views:	6
Size:	22.7 کلوبائٹ
ID:	12408802
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Discussion about Dark cloud cover

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Dark Cloud Cover Candlestick Pattern


      Dark cloud cover candlestick pattern price chart par banne wala aik two days ka bearish trend reversal pattern hai, jo k high price area ya bullish trend k dowran banta hai. Pattern ki pehli candle bullish jab k dosri candle aik bearish candle hoti hai. Pattern ki dosri bearish candle k open price pehli candle se oopar gap main honi chahiye, lekin ye bohut ziada zarori nahi hai, bulkeh dosri candle pehli candle k close price k qareeb bhi open ho sakti hai. Pattern ki dosri candle ka close price pehli candle k wast point se nechay hona chahiye, lekin iss k close price k ooper aur open price k nechay nahi hona chaheye. Pattern ki dono candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k shadow ka hona ya na hona zarori nahi hai.

      Click image for larger version

Name:	images (137).jpeg
Views:	3
Size:	8.2 کلوبائٹ
ID:	12408814

      Candles Formation


      Dark cloud cover candlestick pattern k leye zarori hai, k prices ka top ya bullish trend ho. Pattern k top prices se reversal k chances ziada hote hen. Dark cloud cover candlestick pattern do mukhalif candles ka hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

      Click image for larger version

Name:	images (138).jpeg
Views:	4
Size:	10.2 کلوبائٹ
ID:	12408815

      1. First Candle: Dark cloud cover candlestick pattern ki pehli candle aik long real body main bullish candle banti hai. Ye candle prices k top par ya high prices area main buyers ki dilchaspi dekhati hai, jo prices ko upper side par push karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k beal body k sath hoti hai.

      2. Second Candle: Dark cloud cover candlestick pattern ki dosri candle bearish trend wali candle hoti hai, jo k prices k direction ko badal deti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss ka open pehli candle k top par gap main hota hai, jab k close ussi candle k real body k centre se nechay hota hai.

      Explanation

      Dark cloud cover candlestick pattern two days candles ka trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle aik normal bullish candle hoti hai, jo prices main bullish trend aur buying pressure zahir karti hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jab k pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k top gap main open ho kar pehli candle k darmeyan se nechay close hoti hai. Ye candle market main selling control ko zahir karti hai, jo prices k sabeqa trend k khatemay par banta hai. Ye pattern dekhne aur candles ki formation same bearish belt-hold line candlestick pattern ki tarah hota hai, aur dono same bearish trend reversal k leye istemal hote hen, lekin dosri candle ki thori si tabdeeli ki waja se dono aik dosre se mukhtalef bante hen.

      Click image for larger version

Name:	images (236).png
Views:	2
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12408816

      Trading

      Dark cloud cover candlestick pattern prices k top par banne ki waja se market main sellers ziada active ho jate hen. Pattern ki dosri candle prices ko bullish trend k leye resistance zone banati hai, jiss k baad prices teezi k sath downfall karti hai. Pattern par trade enter karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jiss ka open price apne close price k ooper hona chaheye aur dosri candle k lower par close honi chaheye. Lekin agar confirmation candle ki jagah agar bullish candle banti hai, to ye pattern invalid ho kayega, jiss par trade entry nahi karni chaheye. Indicators par value lazmi overbought zone main honi chaheye, jiss ki confirmation lazmi hai. Stop Loss pattern k sab se top position jo k dosri candle ka high price banta hai, se two pips above set karen.

      Click image for larger version

Name:	images (232).png
Views:	98
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12408813

      اب آن لائن

      Working...
      X