Long legged doji. Candle stick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Long legged doji. Candle stick pattern
    AOA
    INTRODUCTION
    Friends kya haal hain aapke ummid karta hun aap khairiyat se ho Gaye Jahan Rahe khush rahe aur mehfooz rahe hain aur apne business per focus rakhen agar aap forex trading mein kam karte hain to aapko is market ka knowledge hasil karna chahie kyunki agar bagair knowledge ke aap jitna bhi Bara capital account banaa len to vah bhi 1 din wash out Hoga isliye loss se bachne ke liye aapko is market ko samajhna hai sikhana hai aur phrer trading karni hai isiliye jyada se jyada aapke pass experience ho market mein apne business ka start karen aaj jis topic per main aapse baat karna chahta hun vah Hai long legged doji candle stick pattern Hy ye bhe doji candle stick ki family se talluk rakhti hai aur kam o bash inke Kam aik sy hote Hain jab Ham trading chart per ine pattern ko banta hua dekhte Hain To hamen andaza hota hai ki humne kya karna hai aur pettern per kaise Ham trade Karke apne trade ko profit table banaa sakte hain to chalte Hain Apne topic ki taraf long legged doji candistic pattern ummid karta hun kya aapko yah topic Pasand bhi aaega aur aapke knowledge aur experience mein improvement bhi ho gaye
    LONG LEGGED DUJI CANDLE STICK PATTERN
    Long legged doji candle market main us waqt bante Hy jab candle ka open our close aik he position per ho or up down pe aik Bara shadow ho candle ka open or close bilkul darmiyan main hona chahy albata super or nechay Bara shadow ho ya wick hoes ki lambi shadow ki waja sy es ko high wave long legged ko bhe kaha jata hy dosary doji candle ki trah long legged ko bhe market reversal ya trend continuation ky Tor per samajh jata hy agar ye candle kese bhe bullish trend ya zada price Wala area main banti hai to es trend reversal ya bearish trend ky Tor pesh kia jata Hy lkn agar ye kam price ya mandir Waly area main ban jay to es ko bullish trend ya bearish trend ka END ky Tor per shumar kia jata hai side ways market me es ka koi rule nahe hota hai yahan py ye neutral consider kia jata hai

    IN THE TOP LONG LEGGED DOJI CANDLE
    Zada tar long legged candle bearish trend ka signal deti hai agar es ko zada price Waly area main ye bullish trend ky bad dekha jay ye aik bearish candle tasawar hongi q k lambi up down shadow ki waja sey is my market ki taze volitiety ko mustard kia Hy agar bullish trend ky bad payed jaye to ye up trend k khatme ki nishan dahi karte Hy agar candle ky open or close aik position per nahin hai lkn aik dosere ky kareeb hai to bhe es ko long legged high waye doji kaha jaye ga

    LONG LEGGED CANDLE TRADING IN TOP

    Long legged at top trader ky key aik strong bearish trend ka signal dey skti hai agar candle 3 three long legged candle ky bad banney wali candle ) agar candle 2 ( long legged candle) ky bad close ho jaye to ye market me sell ka signal ho ga candle 4 as a confermation candle kam Kary ga lkn us ky bagger bhe bearish signal ka sequence pora hojata Hy

    IN THE BOTTOM LONG LEGGED CANDLE

    Agar same long legged candle market ke bearish trend ya kam price wale area mein Ban jaaye to yah market ki trend reversal ya bullish trend ka ishara de rahi Hogi long legged kam price area mein banne ke bad market bhi bearish pressure khatam ho jaati Hai aur price bullish jaane ki Koshish karti hai

    TRADING IN BOTTOM WITH LONG LEGGED CANDLE

    Long legged doji at button ka reaction long legged top ky opposite Hoga ismein prices mazeed niche se ruk jaati Hain market mein traders ke liye yah ek strong bullish signal Hoga agar long legged ke bad banne wali candle bullish ho aur vah long legged ke top per band ya close ho jaaye confirmation signal ki jarurat Nahin Hai Lekin agar 4th candle ka wiate kiya jaaye to bhi theek hai STOP LOSS ke liye long legged ka bottom perfect position hai
    Click image for larger version

Name:	5.-Dragonfly-Doji-at-MA-2014-06-23.png
Views:	1
Size:	31.3 کلوبائٹ
ID:	12543732
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Long legged doji. Candle stick pattern

    WHAT IS LONG LEGGED DOJI :





    Long legend doji ak candlestick hote ha is candle ka top or low ma ak long shadow hota ha or in shadows ka middle ma market ke candle ke real body hote ha jo ka bahot he small hote ha is ma opening or closing price same hote ha yani ya pattern market ma vertical line bana kar bany ge or is vertical line ka upper or nitcha ke traf horizontal line ho ge. Ya pattern market ma kese bhi point par ban sakta ha magar ya pattern market ma zada significant kam tab kara ga jab ya pattern market ka above ma or market ka decline ma banay ga. Is long legged Doji ma kuch traders is ke ak doji candle ko dakhta hua trade ko kara ga magar kuch traders asa is ma ak doji ka bad trade ko ni kara ga traders wait kara ga jab is pattern ke doji candle ka bad jo next candle banay ge wo is pattern ka momentum ke conformation kara ga.





    EXPLANATION OF LONG LEGGED DOJI PATTERN :





    Long legend doji jab market ka chart ma banta ha to ya traders ko batata ha ka ap na market ma kes trha sa kam karna ha or market na future ma kon se direction ma jana ha or long legged doji huma batata ha consolidation period ka start hona ka jes ma price market ke price banate ha long legged Doji ko or market ko move karate ha new trend ke traf. Long legend doji candle ma market bahot he significant kam kara ge jab ya long legged doji market ka uptrend ma ya downtrend ma banay ga. Long legend doji huma batat ha jab ya market ma babta ha to is time market ma supply or demand equal hote ha or is time market equilibrium ma hote ha or is candle ka close ka bad market apna ttend ko reversal karte ha or ak new trend ma move karte ha. Jab ya pattern equilibrium ma banay ga to ya show kara ga ka market ke price market ko zad dar tak current direction ma ni rakh saka ge or market na reverse hona ho ga.





    LONG LEGEND DOJI TRADING STRATEGY :





    Ya pattern ak candle sa mil kar banay ga or traders is ko pattern ke ak candle ko market ka chart ma dakhta he is ma trade ko enter karda ga magar ya trade ak perfect trade ni ho ge q ka ya ak doji candle market ka perfect direction ka move ka ni batay ga, is pattern ke conformation ka liya traders ko chaiya ka wo wait kara us pattern ka close hona ka or is pattern ka bad jo next candle ho ge os ka bhi close hona ka jab is pattern ke jo next candle ho ge wo close ho jay ge to traders ko is pattern ka bad next market ke direction ka pata chal jay ga or trader is ma trade ko laga saka ga is ma traders buy ke trade ko lagay ga jab is pattern ka bad jo next candle ho ge wo bullish ke traf hi ge or sell ke trade ko is pattern ma tab lagay ga jab next candle is pattern ka bad bearish ke trade ko enter kara ga.





    EXAMPLE OF LONG LEGGED DOJI PATTERN :





    Jasa ka ap above chart ma dakh sakta ha ka is ma ak long legged doji candle banae ha or ya candle market ka chart ka midd ma bane ha or jes time ya candle banae ha market ma buying pressure or selling pressure same tha or is ma market ke next movement ko find karna zaroori tha q ka ya doni market ke next movement ka ni bata rahe the is liya jab ya pattern bana ha to traders na is pattern ke next candle ka close hona tak wait kiya ha or jab ya next candle close hoi ha to ya candle market ma sell ke traf bane ha jes sa market ke conformation ho gai ha ka is pattern ka bad market na bearish ke traf jana ha to is chart ko dakhta hua traders is ma sell ke trade ko enter kara ga or in trade ka stop loss is pattern ka upper shadow par place kara ga. Or is chart ma jo next long legged doji bane ha wo samw phalae doji ke trha he bane ha market ke movement ke direction change ha.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Long legged doji. Candle stick pattern

      Long-legged Doji Candle

      Doji candles prices par dore real body wali candles se alaga bhi dekhti hai aur iss k banne ka phenamena bhi bohut mukhtalif hota hai. Normal small timeframes main ye candles bohut ziada banti hai jiss ki koi khas value nahi hoti hai, lekin long timeframes jaise daily weekly ya yearly timeframe main ye candles bohut ziada value rakhti hai. Doji candles main aksar qeematen market main pora din kisi aik side par trade karne k baad akher main apni position par wapis a kar close ho jati hai. Lekin aik doji candle aisi bhi hai jiss k open qeemat k dono sides par pora din prices trade karne k baad wapis a kar apni sabeqa position par band ho jati hai, jiss ko Long-legged doji candle kaha jata hai. Candlesticks chahay single hon ya tadad main ziada hon, innki information ziada reliable hoti hai, jiss ko analyst ziada pasand karte hen. Long-legged doji candle bhi aik single candle hoti hai, jo k umoman aik neutral candle tasawar ki jati hai. Ye candle bagher real body main hoti hai, jiss ka upper aur lower sides par long equal length k shadows hota hai.

      Click image for larger version

Name:	images (160).png
Views:	1
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12407678

      Candle ki Pehchan k Rules
      1. Long-legged doji candle aik bagher real body wali candle hoti hai, iss waja se qeematon main ye candle neutral shmar hoti hai.
      2. Candle k upper aur lower sides par aik long shadow hota hai, jo shadow upper side par hota hai, taqreeban same length ka shadow lower side par bhi hota hai.
      3. Candle k open aur close price same point par hote hen, jab k long timeframes main agar aik dosre k bohut ziada qareeb bhi hone to bhi ye Long-legged doji candle shumar ki jati hai.
      4. Candle par matloba timeframe k dowran bullish aur bearish pressure aik jaisa hota hai, jiss se upper aur lower sides par aik bari shadow k baad wapis apni position par band hoti hai.
      5. Long-legged doji candle prices k top par bearish trend reversal jab k prices k bottom par bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai, jab k price chart k center main breakout k intezar main hoti hai.


      Click image for larger version

Name:	images (162).png
Views:	1
Size:	1.3 کلوبائٹ
ID:	12407679

      Candle ki Tafseel


      Long-legged doji candle aik star doji ki trah se hoti hai, lekin upper aur lower sides par bare shadows ki waja se ye candle uss se mukhtalif dekhti hai. Iss ko candle ko aam tawar par "Rickshaw man candle" bhi kaha jata hai. Ye candle qeematon main uss waqat banti hai, jab bhi matloba timeframes k dowran prices par pehle up ya down side se bohut ziada dabao a jata hai aur uss k baad ulat semat se same pressure parta hai, to uss sorat main ye candle form hoti hai. Candle agar prices k darmeyan main hon to iss ko neutral candle tasar kia jata hai. Jab bhi stock ki prices par selected timeframe k mutabiq pehle aik side se ziada pressure par jata hai aur baad main dosri taraf se same pressure parta hai, to uss sorat main ye candle banti hai, lekin buyers aur sellers ki market main equal pressure ki waja se candle ki dono taraf shadow ban same ban jata hai. Long-legged doji candle dekhne main same small doji star candle jaise hoti hai, lekin iss k upper aur lower sides ka shadow length main ziada hota hai, jiss se dono candles k darmeyan bohut wazih faraq a jata hai.

      Click image for larger version

Name:	images (161).png
Views:	2
Size:	6.6 کلوبائٹ
ID:	12407680

      Candle par Trading

      Long-legged doji candle par trading se pehle iss ka aik long timeframes main hona zarori hai, q k short timeframes main ye candle bohut ziada bante hen, jiss ki koi value nahi hai. Dosr aiss candle k leye resistance ya support level par hona bhi aham hai. Ye candle resistance level par black candle ya bearish trend reversal candle ban jati hai, jiss par sell ki trades lag sakte hen. Jab k support level par buy ki entry ki ja sakti hai, q k ye bullish ya white candle ban jati hai, jiss par buy ki entry ki ja sakti hai. Long-legged doji candlestick single candle pattern honne ki waja se traders k leye wazih signal nahi deta hai, aur khas kar sideways market main to ye invalid ya neutral candle hoti hai. Ye candle prices k top ya bottom main main thori bohut moasar ho sakti hai, lekin uss k leye bhi confirmation ka hona zarori hai.

      Click image for larger version

Name:	images (163).png
Views:	1
Size:	16.1 کلوبائٹ
ID:	12407681

      اب آن لائن

      Working...
      X