Long Lower Shadow Candlestick Pattern
Long lower shadow candle qeematon k bottom par bearish trend ki tabdeel ka zarya banti hai, jiss se qeematen upward charna shoro ho jati hai. Long lower shadow candle price chart par single candle family se taluq rakhti hai, jis me candle ka aik small real body hoti hai aur iss me candle ka open aur close aik dosre k qareeb hote hen. Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya banta hai, jab k upper side par shadow nahi banta hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Long lower shadow candle aik single candle pattern hai, jo prices k bottom ya bearish trend main banti hai, jo k bullish trend reversal ka kaam karti hai.
- Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis me open aur close point aik dosre k qareeb hote hen.
- Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
- Candle k upper side par small si wick k elawa koi shadow nahi honi chaheye.
- Ye candle normal prices me neutral hoti hai.
Pattern ki Tafseel
Long lower shadow candle aik single candle pattern hai, jo k qeematon low area ya bearish trend main ban kar bullish trend reversal k kaam karti hai. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis k lower side par aik lamba saya hota hai, jo k prices k leye support level sabit hota hai. Long lower shadow candle me qeematen lower side par aik lamba shadow bannane k baad aik dosre k qareeb close hote hen, jiss main aik small real body banti hai, jab k candle ka saya real body ka dugna hota hai.
Pattern par Trading ka Amal
Long lower shadow candle ko technical analysis k tawar par istemal karne k leye prices ka pehle bottom trend me hona aham hai. Ye single candle pattern hai, is waja se trend confirmation k leye aik white candle ka hona zarori hai, jis par market me buy ki entry ki ja sakti hai. Candle ka low shadow strong support level hota hai, jis par stop loss bhi lagaya ja sakta hai. Candle k baad sell market me entry ki ja sakti hai.