Assalamu Alaikum Dosto!
Support Levels
Financial market main price chart par prices k leye do levels bohut ziada aham hote hen, jin main aik support level hai jab k dosra resistance level hai. Prices hamesha in do levels k darmeyan upa nd down hote rehte hen. Price charts main support levels wo levels hote hen, jahan par prices mazeed nechay jane se rukh jate hen. Support levels aik mazbot nechay satah hoti hai, jiss ko prices k leye thorna itna ziada asan nahi hota hai. Support levels par hamesha financial markets k supply kam hoti hai q k iss k baad prices ka demand ziada hona shoro ho jata hai. Demand par prices uoward side par resistance levels ki taraf jane ki koshash main hote hen.
Over-bought zone
Overbought zone support level k opposite direction main banta hai, jahan par prices k leye demand ziada hona shoro ho jata hai, aur indicator iss level ko trend reversal pattern k tawar par dekhte hen. Overbought zone main prices aik makhsos had tak bullish jati hai, jiss par trader iss area main mazeed trading k leye muhtat hona shoro ho jate hen. Traders bare breakout k intezar main hote hen, jiss ya to prices nechay ana shoro ho jayegi, aur ya bullish move karna shoro karegi.
Explaination Support and Overbought Zone
Over-bought zone support zone k opposite direction main main banta hai, aur ye level umoman resistance level tasawar kia jata hai. Over-sold zone ko support level kaha jata hai, jo k prices k downward side par banta hai, jiss prices mumkina par bullish trend main reversal hona shoro karti hai. Aggar hum indicator se iss ki example dekhen to RSI indicator main over-bought zone 70 ka ya 80 ka area hota hai, ye traders ki apni marzi par munhasir hota hai, jab k oversold zone jo k support zone bhi hota hai, wo 20 ya 30 ka area hota hai.
![Click image for larger version
Name: images (295).png
Views: 1
Size: 30.4 کلوبائٹ
ID: 12536496](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12536496&d=1655022061)
Trading
Over-bought zone support zone k opposite direction main main banta hai, aur ye level umoman resistance level tasawar kia jata hai. Over-sold zone ko support level kaha jata hai, jo k prices k downward side par banta hai, jiss prices mumkina par bullish trend main reversal hona shoro karti hai. Aggar hum indicator se iss ki example dekhen to RSI indicator main over-bought zone 70 ka ya 80 ka area hota hai, ye traders ki apni marzi par munhasir hota hai, jab k oversold zone jo k support zone bhi hota hai, wo 20 ya 30 ka area hota hai.
Trading
Support zone par hamesha assets ki demand ziada hoti hai, jiss par market main buy se entry ki ja sakti hai. Ye position indicator main bullish trend reversal ka sabab banti hai, aur indicator is ko oversold area batate hen. Overbought ya resistance zone hamesha sell ki entry hoti hai, jahan par prices rebound hona hoti hai. Ye area supply k lye top position ban jati hai, jab keh yahan par demand sab se kam hoti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим