Assalamu Alaikum Dosto!
Evening Doji-Star Candlestick Pattern
Evening doji-star candlestick pattern aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo teen candles par mushtamil hotta hai. Evening doji-star candlestick pattern main pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss ka baad aik doji candle hoti hai, jiss k baad aik long real body main bearish candle banti hai. Ye pattern dekhne main same bulkul "Bearish abandoned baby candlestick pattern" aur "Evening Star candlestick pattern" jaisa hi hai, lekin bullish aur bearish candle k darmeyan main banne wali candle aik doji candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main above banti hai, aur dosre candlestick ka high doji candle k low ko touch karti hai.
Candles Formation
Evening doji-star candlestick pattern main shamil teeno candles aik dosre se mukhtalif color aur formate main banti hai, ye candle apas main gap banati hai, jiss se market bearish trend se bearish trend main badal jata hai. Evening doji-star candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Evening doji-star candlestick pattern main shamil pehli candle bullish trend wali hoti hai, jiss ka colour white ya green hotta hai, ye candle normal real body ki candle hoti hai. Jis ka close price open price se ziada hota hai.
2. Doji-Star Candle: Evening doji-star candlestick pattern ki dosree candle aik doji candle hoti hai, jo k bagher real body main hoti hai. Ye candle pehli bullish candle se above gap main banti hai, jo k ziada tar aik doji star candle hoti hai.
3. Third Candle: Evening doji-star candlestick pattern ki teesri aur last candle aik real body long size ki bearish candle hoti hai, jo k dosree candle se below banti hai. Ye candle size main taqreeban pehli bullish candle k barabar ya uss k size k 50% se ziada bari ho sakti hai.
Explanation
Evening doji-star candlestick pattern trading k dowran strong bearish trend reversal ka signal deta hai, agar ye pattern high prices ya uptrend main banta hai. Pattern teen mukhtalif qisam k candles par mushtamil hota hai, jo k bullish trend k baad paya jata hai. Ye pattern dekhne main bulkul " Bearish Abandoned Baby candlestick pattern" ya "Evening Star candlestick pattern" jaisa hota hai, lekin darmeyan main doji candle ka pehle candle se gap main banne ki waja se ye unn pattern se mukhtalif ho jata hai. Pattern ki pehli candle bullish hoti hai, jo k bullish trend ki alamat hoti hai, jab k baad main aik doji star candle banti hai, jis ka open aur close bullish candle se above gap main hota hai. Last par aik bearish candle hoti hai, jo k bullish candle k parallel aur doji candle se below main banti hai. Ye candle prices k trend reversal main aham kiradar ada karti hai.
Trading
Evening doji-star candlestick pattern market main bullish trend main banne ki waja se strong bearish trend reversal ka signal deta hai, jo k trader k leye market main sell ki entry ki opportunity peda karti hai. Pattern k leye zarori hai k prices high price ya uptrend main ho. Pattern par market main entry karnne se pehle trend confirmation candle ya kisi reliable indicator ka istemal zarror karen. Aggar teesri candle k baad aik aur bearish candle banti hai to ye area market main buy ki entry ka signal deta hai. Stop Loss pattern k sab se highest position ya doji candle k high price se aik do point above par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим