what is Bearish belt hold candlestick pattern:
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    what is Bearish belt hold candlestick pattern:
    Asslam O Alikum;



    Forex trading mein agar successful hona hai to different patterns aur candlesticks ko understand karna bahut ziada important hai, inhi patterns mein sa aik hai, bearish belt hold candlestick pattern, esko define kartay hain:Aik aisa pattern jo keh upward trend mein form hota hai esko bearish belt hold candlestick patterns kehtay hain, eski specification kuch es tarah hain:
    1. Bullish trades ka stretch ko follow kartay huay , aik bearish ya black candlestick formation hoti hai.
    2. Opening price jo keh din ka liay high ban jati hai, previous day ki close sa higher hoti hai.
    3. Stock price throughout day decline karti hai, jiski waja sa long black candlestick formation hoti hai, jiska lower shadow short hota hai air upper shadow nahin hota.
    Esko aik picture sa show kia ja sakta hai.



    Click image for larger version

Name:	25496B19-B0C3-4F15-B123-0DF7BF2D7465.jpeg
Views:	1
Size:	40.3 کلوبائٹ
ID:	12531826


    Es picture mein , peak point per highest price ko opening price show kia gya hai, aur es black bodied candlestick mein closing price ko day ki lowest price show kia gya hai.

    Important:

    Bearish belt hold ko bahut ziada reliable consider nahin kiya jata q keh iski occurrence frequently hoti hai, aur mostly yeh preceding future share prices mein incorrect consider hota hai.

    Explanation:

    Bearish belt hold aik aisa signal hai jo keh , investor sentiment mein bullish sa bearish ki taraf reverse signals provide karta hai, yeh reliable bhi nahin hota q keh yeh bahut ziada occur hota hai, future mein share prices ko predict karnay ka liay bhi yeh incorrect hota hai. Jesa keh dosray candlestick charting pattern mein , two days sa ziada ki trading ko consider kia jata hai , jab trends ki prediction ko dekha jata hai. Yeh acha pattern hai per eski non reliable nature ki wja sa ziada use nahin kia jata.
    Bearish belt easily spot hotay hain lekin esko confirm karna chahie, jo keh periods ko looking karnay sa understand hota hai jo keh beyond day period extended hotay hain. Previous day ki candlestick clear uptrend mein honi chahiay, jis sa confirm hota hai keh sentiment change ho chuki hai. Signals ki validity ko affirm karnay ka liay , candlestick ko long hona chahiay, next session ki candlestick bhi bearish honi chahiay.
    Jab aap market mein is candlestick pattern ko properly recognise kar lete hain to iske bad aapko market mein according to rules and regulation iski interpretation karna hoti hai.
    1.Sabse pahle aapane according to time frames apna target select karna hota hai kyunki jitna minimum time frame hoga iska target itna hi minimum ho sakta hai .
    2.Apko market mein hamesha jyada se jyada advantages hasil karne ke liye time frames per focus karna hota hai.
    3.Jab aap market mein jyada se jyada advantages hasil karne ke liye is candlestric pattern ki identification kar lete hain to uske bad aapko seling confirmation ke bad entry Lena hoti hai aur apne targets ko achieve karna hota hai.
    Esko mazeed aik picture sa dekhtay hain.



    Click image for larger version

Name:	F3C34125-B1C3-47EF-9AB6-6DCDDBE6BB7D.png
Views:	9
Size:	30.2 کلوبائٹ
ID:	12531827



    Es picture mein market ka uptrend mein simple way mein pattern ki formation ko dikhaya gya hai. Pattern ki formation bahut ziada simple hai es sa marked candlestick ko dekh ka market mein bahut ziada faida hasil kia ja sakta hai, yeh pattern repeat ho raha hai, is picture mein bhi 2 br esko show kia gya hai. Es picture sa apko achay sa understanding mil gai hogi.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: what is Bearish belt hold candlestick pattern:

    Description.

    Dear friends belt hold candle stick pattern ko minor trend reversal b samjha jata ha, ye bullish aur bearish trend reversal ko indicate karta ha, jo pattern ki nature aur trend ki direction par depend karta ha, ye single candlestick par mushtamil pattern hota ha jo marubozu candlestick k similar hota ha, jis ki large real body hoti ha aur upper ya lower shadow nahi hotay, jo bullish ya bearish trend ki strength ko zahir karta ha.

    Click image for larger version

Name:	bearish-belt-hold-at-resistance-1.png
Views:	3
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12395809

    Creation of Bearish belt hold candlestick pattern

    Dear friends bearish candle top high open banati hay.in donu candles mein lower and upper shadow nahi hota aur the bearish belt hold pattern ziada reliable nahi samjha jata aur uski wajah yeh hai k yeh trading chart main frequently banta rehta hay is liye ka result ziada accurate aur reliable nahi hota.bearish belt hold candlestick pattern aisa pattern hayjo up trend k baad banta hay is mein two candles hoti hai pehli candle bullish hoti hay aur dosri candle bearish hoti hai jaisa k aap ooper di gayi tasveer mein dekh saktay hain.bulliah candle ki closing price bullish k high price se thora neechy close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	BearishBeltHold-5c3bb239c9e77c000199b2b9.png
Views:	9
Size:	30.2 کلوبائٹ
ID:	12395810

    Trading at bearish belt hold candlesticks pattern.

    Dear friends bearish belt hold candlesticks pattern banane ke bad is main sell ki trade mumkin hay laikin is say hamain tab he effective trading ho sakti hay jab ham fundamental analysis and risk management karain aur is bearish candle kay top per stop loss lagayan ta keh agar ye false candlestick bany bhi to ham is main selling trade karte huye trap na ho sakain. Mazeed ye keh hamain is kay sath kisi indicator ka use karna chahiye ta keh hamain trend ki reversal ki confirmation ho saky han aur bearish belt hold pattern se hum down trend mein Sell ki trade lgaa kar acha profit bana sakte hain bear stand reversal pattern hai jo ki up Trend ke baad banta hai pattern Ek police trend Mein use Waqt Banta Hai Jab market Mein Ek opening marubozu candle pichhali bullish candle ke upar gap mein open hokar aur real body banane ke bad Pahli police candle ke real mein Darmiyan se niche close Ho Jaati Hai pattern ke mutabik seller market mein jyada active ho jata hai jo Sab Ka police stand ko Muskurahat Karte Hain pattern ki dusri candle ka open side per Koi Shadow Nahin Hona chahie.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: what is Bearish belt hold candlestick pattern:

      Bearish belt hold candlestick pattern:

      Belthold candle bullish b ho sakti ha aur bearish b, bearishbelthold ma aik dark candle hoti ha jo uptrend ko show karay gi, is ma opening pichlay din ki closing sa high hogi, isko ziada reliable nhi smjha ja sakta, prices ki kami ki waja sa aik long black candle bnti ha jiska lower shadow bht thora hota ha aur upper shadow nhi hota, in candlesticks ki lambai aik mumkin potential change ka ishara daiti ha, jb bullish aur bearishbelthold tb behtar reliable ho sakti hain jb ye market ki hadood k kareeb zahir hoti hain, jo trend line, support and resistance ya moving average sa zahir hota ha, beld hold us waqt ziada aham hoti hain jb ye dusri candle sticks k pattern ka hisa bnti hain jin ma dark cloud pattern ya engulfing pattern shamil hain, lihaza hmain forex sa related apni knowledge aur information ko enhance aur updated kartay rehna chaoay ta k hm different patterns aur indicators ko easily samajh sakain jis sa hmain market ya trend ki moment ka andaza ho sakay aur hm thek trades open kar paen, agr hmari learning behtar nhi hon gi to hm sa miatakes hon gi jo loss ka sabab bn jaen gi jis sa hmain forex ma nakami ho gi, is liay mehnat k sath kam karain ta k forex k tools, indicators aur chart patterns k sath sath candlesticks sa trade k liay indication hasil kar sakain

      Click image for larger version

Name:	1.png
Views:	5
Size:	7.2 کلوبائٹ
ID:	12395806

      Bearish belt hold candlestick pattern:

      Jab market Mein prices bahut jyada chal rahi hoti hai use stage per Jaise hi market ka trend reversal banta hai to use time per aap
      bearishbelthold line ko observe kar sakte hain ya Ek Aisi candlestick hoti hai jo aapko market Mein reversal trend ki identification de rahi Hoti Hai is time per aap entry Lekar bahut Achcha profit Hasil kar sakte hain.
      Dear jab aap market Mein belthold line pattern ko carefully study Karte Hain To aap isase bahut jyada profit Hasil kar sakte hain agar aap market Mein successful trader Banna Chahte Hain To aapko market se related important patterns ko carefully samajhkar apni trading per reply karna hoga otherwise aap kabhi bhi trading mein Main successful trader Nahin Ban Sakte.

      Click image for larger version

Name:	2.png
Views:	16
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12395807

      Bearish belt hold candlestick pattern:

      Es
      pattern k lae market ma pehle bullish trend hota hai or jb market new session ma open hoti hai to ye upward ma gap sy open hoti hai or phr marker mazeed up jany ki bajae down ward move kar ati hai. Bearishbelthold ma last candle bear ki banti hai. Jo previous session wali candle k closing point k bhot uper sy open hoti hai or previous session wali candle ki closing point k bhot nechy ah kar close hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	3.png
Views:	34
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12395808

      Bearish belt hold candlestick pattern:

      Belt holt candle stick pattern ko minor reversal pattern k tor par kheal kiya jata hai or ye exactly pattern ki nature par depend kerta hai or ye bullish aur bearish both trends reversal ko show kerta ai ye aik aisa single stick pattern hota hai jo sirf single stick pattern par he depend kerta hai aur is ko marobozu candle stick pattern bhi kaha jata hai is k features ye hoty hain k is ki body large hoti hai aur is ka shadow ya tou bohat kam hota hai ya phir hota he nahi hai shadow k hony ya naa hony se bullish aur bearish acitivity ki strength ka andaza lagay ja sakta hai bullish belthold aur bearishbelthold isi ki types hain bullish belthold aik aisa pattern hota hai jo har time frame mein ben sakta hai lekin ye daily aur weekly basis par zeada reliable samjha jata hai is k liye market mein pehly downtrend hota hai aur phir us k baad aik candle stick aisi ati hai jo totally bullish hoti hai aur ye market k trend ko bearish se bullish mein ly jati hai aur is tarhan k apttern aksar market mien dekhy ja sakty hain lekin in ka faida bohat kam hota hai kuen k ye itny achy results nahi dety aur na he ye aik acha future predict kerty hain

      Click image for larger version

Name:	4.jpg
Views:	5
Size:	8.0 کلوبائٹ
ID:	12395814

      اب آن لائن

      Working...
      X