Important information about "Rickshaw Man Candlestick"

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about "Rickshaw Man Candlestick"
    Rickshaw Man Candlestick Kia Hai?

    Rickshaw man candle aik single candle hai jese single bhi trade kia ja sakta hai. Japanese candles ko is wajah se trading ke dauran analysis mein zyada pasand kiya jata hai, kyunki ye candles single candle hone k bawajood bhi aik pattern tashkeel deti hai. Jab bhi ye single candlesticks prices k top ya bottom main paye jaati hai, to uss waqt ye trend reversal ka kaam karti hai. Single candle mein doji candles aur small real body wali candles akele ya dusre candles ke sath prices main leading indicator ka kaam karti hai. Rickshaw man candlestick prices ke top ya bottom mein trend reversal pattern ka kaam karti hai, jab ki yahi candle sideways market mein neutral candle tasawar ki ki jati hai. Rickshaw man candlestick prices k top par akele hi trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle bagher real body bhi aik strong position rakhti hai, jiss ki technical analysis main bohut ziada ahmeyat hai. Rickshaw man candle bagher real body k hone ki waja se ye candle colorless hoti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal jab k prices k top par bearish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle aik line si real body rakhti hai, jiss k upper aur lower sides par aik lamba shadow ya saya hota hai.

    Click image for larger version

Name:	download (9).png
Views:	10
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12530918

    Rickshaw Man Candlestick Kaam Kese Karta Hai?


    Rickshaw man candle k banne ki pechahay ki psychology ka inhisar traders par hoti hai, jab bhi buyers ya sellers prices ko kisi khas semat main move karne k baad wapis dosri semat main same pressure se push karte hen. Lekin kahani yahan khatam nahi hoti, bulke din k ikhtetam tak prices wapis apne aghaz wali position par a kar close ho jati hai. Iss soratehal main jo candle banti hai, wo Rickshaw man candle hoti hai. Ye candle bagher real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close same point par hota hai, jab k upper aur lower sides par long shadows hote hen. Shadow lenght main taqreeban same hote hen, jo buyers aur sellers ki barabari ko dekhati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (226).png
Views:	23
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12530919

    Rickshaw Man Candlestick Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


    Rickshaw man candlestick prices k top par ya bottom main ziada behtar tawar par kaam karti hai. Normal ye candle neutral tasawar ki jati hai, q k na to iss ki real body hoti aur na hi iss main shadow ka kisi aik side par size ziada hota hai. Bearish market main bullish trend reversal k leye buy ki entry ki ja sakti hai, jab k bullish trend main bearish trend reversal k leye sell ki entry k trades open keye ja sakte hen. Candle par trading se pehle long timeframe ka hona zarori hota hai, jab k trend reversal k leye confirmation candle ki bhi zarorat hoti hai. Indicator aur stochastic oscillator par trading k dowran support aur resistance levels ya overbought aur over-sold zone hona chaheye. Stop loss candle k low ya high prices se two pips below ya above set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (227).png
Views:	12
Size:	6.8 کلوبائٹ
ID:	12530917
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important information about &quot;Rickshaw Man Candlestick&quot;

    Rickshaw Man Candlestick Pattern


    Rickshaw man candle prices k top aur bottom dono main ban sakti hai. Sideways markets main ye candle aik neutral candle hoti hai, jo k prices k ziada tar maojoda trend main continuation ka sabab banti hai. Single candles pattern jiss main buyers aur sellers ka market main control aksar barabar rehta hai, aik neutral candles tasawar ki jati hai. Rickshaw man candle bhi market main buyers aur sellers ki yaksan hone par wajood main ati hai. Rickshaw man candle ki ooper aur nechay aik lamba shadow ya wick hota hai, jiss ka darmeyan main aik line si real body hoti hai, jiss main prices ka open aur close same hota hai. Ye aik neutral candle shumar hoti hai, jo k aik strong trend k dowran trend reversal ka signal de sakyi hai. Rickshaw man candle k ooper aur nechay shadow aik to size main equal hona chaheye aur dosra ya length main lamba hona chaheye, q k short hone par ye doji star candle ban sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (630).jpeg
Views:	12
Size:	3.4 کلوبائٹ
ID:	12424729

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Rickshaw man candle doji candle ki type hai, jis ko aam tawar par "Long-legged Doji" bhi kaha jata hai.
    2. Candle chonkeh doji candle hai, is waja se opening aur closing price ki position same hi hoti hai, aur real body zero hoti hai.
    3. Candle ki upper aur lower side dono pe same size ka aik bara shadow hota hai, jo market me supply aur demand ki barabary ko zahir karti hai.
    4. Candle ka market k trend par normal sideways market me koi khas asar nahi hota hai, lekin prices k top ya bottom par ye trend reversal ka sabab ban sakti hai.
    5. Candle ki real body na hone ki waja se iss candle ka color bhi nahi hota hai, lekin agar bulkul small si real body ban jaye to pher bhi color ka koi khaas effect nahi hote hen.


    Click image for larger version

Name:	images (1109).png
Views:	23
Size:	3.0 کلوبائٹ
ID:	12424730

    Pattern ki Tafseel


    Rickshaw man candle aik single day doji candle hai, jiss main prices din k aghaz main pehle aik side par move karne k baad apna trend tabdeel karke dosre semat par move karna shoro karte hen, lekin din k ikhtetam par ye prices same point par band ho jati hai. Price chart par buyers aur sellers market main same quat main hote hen, jiss se prices aik timeframe k dowran ooper aur nechay jane ka baad wapis apne aghaz wali position par a jati hai. Ye aik bagher real body ya small real body wali candle hoti hai, jo k trend k mutabiq apni hodohal ko tabdeel karti hai. Ye candle prices k top ya bottom par strong trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1110).png
Views:	23
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12424731

    Pattern par Trading ka Amal


    Rickshaw man candle sideways market main ya newly breakout trend main trend continuation ka kaam karti hai, jab k price k top ya bottom main ye candle aksar trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal aur prices k top par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Candle k baad trend ki confirmation ka candle ka hona zarori hai jo k real body main hona chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation indicator ya oscillator se bhi ki ja sakti hai. Stop loss candle k sab se top ya bottom se trend reversal k mutabiq two pips below ya above set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (631).jpeg
Views:	2
Size:	27.9 کلوبائٹ
ID:	12424732

    اب آن لائن

    Working...
    X