how to use with trade dark cloud patren??

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    how to use with trade dark cloud patren??
    assalium o alekum

    dear forex
    member umed krti hun ap sb kharyt s hun gy or mahnat s apna work complete kry hn gy jesa k ap janty hai k hmy weekly bounce hasil krny k ly daily three post share krni hoti jitni achi post share kry gy itna hi acha bounce hasil kr skty hai chlty h aj k topic ki trf


    how to trade with dark cloud pattern


    tajir mazeed riwayati rujhan saaz baazaaron jaisay gbp / usd ya eur / usd ko tijarat karne ki taraf dekh satke hain, lekin mukhtalif marketon mein dark cloud cover takneeki tajzia ko bhi shaamil kar satke hain .




    1 zail mein forex mein dark cloud cover patteren ki aik misaal hai, khaas tor par, gbp / usd forex pear. mazeed maloomat ke liye chart se rujoo karen .

    2 yeh dark cloud cover check list mumkina tijarat ka tajzia karne ke liye istemaal ki ja sakti hai :

    3 onche onche aur onche necho ka wujood hamein oopri rujhan ke sath paish karta hai .

    4 chart par, koi yeh mushahida kar sakta hai ke market ne mazeed agay barhna shuru kar diya tha kyunkay oopar ki taaza tareen harkat ibtidayi tor par aik taraf chali gayi thi aur jab oopar ki taraf barhta tha, to yeh itni taiz harkat nahi thi jaisa ke pehlay dekha gaya tha. mazeed bar-aan, rsi ziyada khareeday hue ilaqay mein muntaqil ho gaya jis se tijarat ko ziyada yaqeen haasil ho gaya .

    Click image for larger version

Name:	dark-cloud-cover_body_how_to_trade_using_dark_cloud_cover_pattern_gbpusd.png
Views:	6
Size:	19.7 کلوبائٹ
ID:	12529125

    surkh mom batii ka farq pichli sabz mom batii se thora sa oopar hai. forex market mein mom batii ziyada tar isi satah par khulay gi jis satah par guzashta band thi .

    surkh bearish candle blush candle ke mid way point se neechay ki taraf barhti hai aur band hoti hai, yeh zahir karti hai ke reechh is satah par belon se ziyada wazan mein hain .

    Entry

    musalsal farokht ki tasdeeq ( neechay ki taraf dabao ) bilkul agli candle aur is ke baad anay wali mom btyon mein nazar aati hai. nichli oonchai aur nichli satah phir is baat ka saboot faraham karti hai ke market kamyabi ke sath palat gayi thi, aur neechay ka rujhan qaim sun-hwa tha .

    Click image for larger version

Name:	dark-cloud-cover_body_zoomedindarkcloudcoverGBPUSD.png
Views:	87
Size:	7.1 کلوبائٹ
ID:	12529123


    dark cloud cover patteren forex misaal

    indraaj ki satah, ahdaaf aur stops ko aasani se shanakht kya ja sakta hai jab neechay diye gaye chart par aik nazar dalain. dark cloud cover patteren ban'nay ke baad, indraaj agli mom batii ke khulay hissay mein rakha ja sakta hai .


    Click image for larger version

Name:	dark-cloud-cover_body_Trading_using_dark_cloud_cover_gbpusd.png
Views:	16
Size:	16.5 کلوبائٹ
ID:	12529124


    stop

    stop ko haliya jhulay ke oopar rakha ja sakta hai aur ibtidayi hadaf ki satah kaleedi sthon ya himayat / muzahmat ke haliya ilaqon par set ki ja sakti hai. yeh baat qabil ghhor hai ke chunkay tijarat mumkina tor par neechay ki tosee ka nuqta aaghaz hai, tajir mutadid hadaf ki sthin muqarrar kar satke hain .

    taawun aur muzahmat ke sath tijarat ke baray mein mazeed jaanen .

    Raning markets

    isi terhan ki hikmat e amli aik range market mein laago ki ja sakti hai jahan qeemat support aur muzahmat ke darmiyan' bounce' hoti hai. zail ki misaal gbp / usd mein istehkaam ki muddat ko zahir karti hai jab yeh wazeh tor par kisi bhi simt mein rujhan nahi kar raha tha. muzahmat ke qareeb zahir honay wala dark cloud cover patteren aik mukhtasir signal faraham karta hai aur agar kaafi raftaar ho to yeh break out trade mein badal sakta hai - jaisa ke is misaal mein sun-hwa hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: how to use with trade dark cloud patren??

    Dark Cloud Cover Pattern Kia Hai?

    Dark cloud cover pattern main aik bearish candle bullish trend ki akhari candle par upper side se attack karke market main bullish trend ka khatma karti hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k qeematon ko upward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open pehli candle s3 above gap main hoti hai, lekin close pehli candle k midpoint ya darmeyan se nachay hai. Ye position taqreeban ka 50% below banta hai. Dark cloud cover pattern ka opposite side ya bottom price par Piercing line pattern banta hai, jo k bullish trend reversal pattern hai. Dark cloud cover pattern main prices bullish trend k khatme par aik strong bearish attack hoti hai. Jiss se bullish trend bearish main badal jata hai. Dark Cloud Cover Candlestick Pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle price k uptrend ko show kar rahi hoti hai, jo k white ya green color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai. Dark Cloud cloud cover pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k top par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body main hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k bullish trend ka khatma karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (50).png
Views:	71
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12404765

    Dark Cloud Cover Pattern Kaam Kese Karta Hai?


    Dark cloud cover pattern two days candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jo k "Belt-Hold Line Pattern" se mushabehat rakhta hai. Ye pattern prices k top par ban kar same bearish trend reversal pattern ki tarah prices k bearish trend k khatme ka bahis banta hai. Pattern ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss ko aik bearish candle follow karti hai. Bearish candle bullish candle k top par gap main open ho kar ussi k real body k darmeyan se nechay close hoti hai. Second candle ki closing point oehli candle k opening point se nechay nahi hona chaheye. Ye candle bearish meet line pattern ka bhi hum shakal hai.

    Click image for larger version

Name:	images (49).png
Views:	7
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12404764

    Dark Cloud Cover Pattern Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


    Dark cloud cover pattern sellers ki achanak market main pressure ki waja se banti hai, jiss main market main buyers ki dabao ka khatma karke prices k top ko bearish trend main badal deti hai. Dark cloud cover pattern par trading se pehle aik confirmation black candle ka hona zarori hai, jo k dosri candle k baad real body main honi chaheye, jiss par sellers market main sell ki entry kar sakte hen. Aggar pattern k baad white candle banti hai to pattern ki reliability khatam ho jati hai. Stop loss k leye pattern ka sab se top position muntakhib karen, jo k dosri candle ka lower banega, se two pips above select karen.

    Click image for larger version

Name:	images (48).png
Views:	19
Size:	5.9 کلوبائٹ
ID:	12404763
    • #3 Collapse

      Re: how to use with trade dark cloud patren??

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Dark Cloud Cover Candlestick Pattern


      Dark cloud cover candlestick pattern se traders is se sell trade ki inverse direction me movement ka ishara lete hen. Ye pattren bohut hi ziada bante hen aur is ko sahi mano me samajhne ki bohut hi ziada zarorat hai. Dark cloud cover pattern hamen strongly ishara deti hai k ab se trend uptrend k leye inverse hoga. Aam tawar par ye pattren do dino k darmeyane hese me ziada bante hen jab market ki movement normal up down ho rahi hoti hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, bullish candle aik normal real body wali white candle hoti hai. Bullish candle k baad aik bearish candle prices k top par gap main open ho kar ussi k midpoint se nechay close hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (18).jpeg
Views:	11
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12404767

      Candles Formation


      Dark cloud cover pattern pehli din ki candle aik bullish candle hoti hai, lekin dosre din ki candle bearish candle k close prices par hone ki bajaye top gap main open ho kar ussi k real body main close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai:

      Click image for larger version

Name:	images (3) (30).png
Views:	3
Size:	7.1 کلوبائٹ
ID:	12404768

      1. First Candle: dark cloud cover candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle white ya green color ki candle hoti hai.

      2. Second Candle: Dark cloud cover Candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k top par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k darmeyan se nechay hoti hai. Bearish candle black ya red color main hoti hai, jo k prices ko mazeed bullish jane se rokti hai.

      Explanation

      Dark cloud cover candlestick pattern prices main aksar do dino k darmeyan main banta hai, jiss se market ki downtrend jane ka ishara melta hai. Pattern ki pehli candle k baad dosri candle ussi k closing price par open hone ki bajaye top gap main open ho kar same close price par close hoti hai. Normal ye pattern ziada tadad main bante hen, lekin top prices ya bullish trend main banne par ye prices ko bearish trend reversal main badale par majbor karti hai. Pattern ki pehli candle bullish aur dosri bearish candle hoti hai, jiss ki lazmi real body honi chaheye, jab k dono candles shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern main dono candles aik dosre k opposite direction main open hote, jab k dosri candle pehli candle k midpoint se below aur open price se above close hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (17).jpeg
Views:	15
Size:	6.9 کلوبائٹ
ID:	12404769

      Trading

      Dark cloud cover candlestick pattern prices main traders k leye bearish trend ki indication deta hai, jiss par sell ki entry ki jati hai. Pattern k baad aik confirmation candle ka hona zarori hai. Ye candle real body main bearish honi chaheye, jo k dosri candle k bottom main ban jati hai. Pattern k baad bullish candle banne se pattern trading invalid ho jayega, jab k CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main honi chaheye. Pattern ziada reliable na hone ki waja se stop loss ka istemal zarrori hai. Pattern ka Stop Loss dosri candle k top ya open price se two pips above set karen.

      Click image for larger version

Name:	images (48).png
Views:	19
Size:	5.9 کلوبائٹ
ID:	12404766
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: how to use with trade dark cloud patren??

        Dark Cloud Cover Pattern


        Dark cloud cover pattern do candles se mel kar banta hai, jiss me pehli candle aik white candle hoti hai, jab k dosri candle aik black candle hoti hai. Pattern qeematon k top par ya bullish trend main ban kar trend reversal ka kaam karta hai. Jab bhi qeematen high bullish trend main hot ye pattern trend ko bearish me badal kar market ki movement downward kar deta hai.

        Click image for larger version

Name:	images (3) (29).png
Views:	12
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12404771

        Pattern ki Pehchan k Rules

        1. Dark cloud cover pattern aik bearish trend reversal pattern hai, iss waja se qeematon ka pehle se bullish trend ya high qeematon wale zone me hona zarori hai.
        2. Pattern do candles se mel kar banta hai, jis ki 1st candle aik bullish candle hoti hai.
        3. Pattern ki 2nd candle aik bearish candle hoti hai.
        4. Pattern ki 2nd candle pehli candle k top par gap me khul kar real body k midpoint se nechay band hoti hai.
        5. Pattern ki dono candles ka real body me hona zarori hai, jab k candles k upper aur lower sides par shadow ya saya ho sakta hai.


        Click image for larger version

Name:	images (3) (28).png
Views:	2
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12404772

        Pattern ki Tafseel


        Dark cloud cover pattern market k chart par banne k baad qeematen gerna shoro karti hai, jiss kse seller market main active ho jate hen, q k is position par demand kam aur supply ziada hoti hai. Ye pattern high prices ya bullish trend me banta hai, jis ki 1st candle aik white candle hoti hai, jab k 2nd candle aik black candle hoti hai. Pattern ki black candle top par gap me open ho kar white candle k real body k darmeyan se nechay close hoti hai.

        Click image for larger version

Name:	images (50).png
Views:	71
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12404773

        Pattern par Trading ka Amal


        Dark cloud cover pattern market me selling taqat ka muzahira hota hai, jis k baad qeematen teezi k sath nechay gerna shoro karti hai. Pattern par sell ki entry aik 3rd black candle k baad hoti hai, jo k real body me banne k bad 2nd candle k nechay close hoti hai. Lekin jab bhi white candle bane ya black candle aisa bane k wo 2nd black candle k top par close ho jaye to us par market me entry nahi karni chaheye.

        Click image for larger version

Name:	images (49).png
Views:	7
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12404770

        اب آن لائن

        Working...
        X