Bullish Abandoned Baby Pattern Kia Hai?
Bullish abandoned baby pattern main prices buyers ki pressure ki waja se bullish trend reversal main tabdeel hoti hai. Pattern teens candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo prices k downtrend ka ishara deti hai. Pattern ki sosri candle aik doji candle jo ziada tar doji star candle hoti hai, pehli candle se nechay gap main banti hai. Pattern ki teesi candle jo k trend reversal ka bhi kaam karti hai, aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k dosri doji candle se above gap main open ho kar higher par ja kar close hoti hai. Candles k darmeyan banne wale gap ko candles ki real body ya shadow cover bhi nahi karti aur nahi uss ka koi hisa uss main ata hai.
Bullish abandoned baby candlestick pattern ka shumar bhi bullish trend reversal pattern main hota hai, jo k prices k bottoms ya bearish trend k baad banta hai. Bullish abandoned baby candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jiss real body shadow ki nisbat ziada hoti hai. Bullish abandoned baby candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss ka koi color nahi hota hai. Ye candle prices ko waqti tawar par mazeed nechay jane se rok leti hai. Ye candle pehli bearish candle se nechay gap main banti hai. Jo k bearish aur bullish dono hososeyat rakhti hai, lekin iss ko bullish candle hi tasawar kia jata hai. Bullish abandoned baby candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle banti hai, jo k sabeqa trend ka khatema karke new bullish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle strong bullish candle hoti hai, jiss ka upper ya lower side par small wick ho sakti hai, lekin ye doji candle se upper side par gap main banna chaheye.
Bearish Abandoned Baby Pattern Kaam Kese Karta Hai?
Bullish abandoned baby candlestick pattern k pattern same to same dekhne main "Morning Doji-Star Candlestick Pattern" jaisa hi hai, lekin iss pattern main doji candle dono candles se nechay gap main banti hai. Bullish abandoned baby candlestick pattern low prices main bullish trend reversal ka sabab banti hai, jo k teen candles par mushtamil pattern hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k bad aik doji candle nechay gap main banti hai aur last par aik bullish candle hoti hai jo k doji candle se above gap main banti hai. Doji candle aur dosre candles k darmeyan lazmi gap ka wazih hona zarori hai, jiss main candles ka shadow bhi nahi ana chaheye.
Bearish Abandoned Baby Pattern Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?
Bullish abandoned baby candlestick pattern lower ya bearish trend k baad market main buyers k leye market main buy signals ki opportunity muhaya karta hai. Ye pattern low prices area main abnne ki waja se prices ko upward push karta hai. Bullish abandoned baby candlestick pattern par entry se pehle pattern k baad aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k teesri bullish candle k baad aik real body ki candle honi chaheye. Pattern par trading k dawran stop loss ka istemal zaror hona chaheye. Stop loss pattern k sab se lowest position ya doji candle k lower se two pips nechay position karwaden.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим