Bullish Harami Cross Pattern Kia Hai?
Price chart par jab prices sellers k bohut ziada pressure ki waja se bearish jati hai, to wahan par aksar iss ko reversal honne k imkanat hote hen, jiss main aksar kuch aise pattern hote hen, jo do candles par mushtamil hote hen. Bullish harami cross pattern prices k bottom par ya bearish trend main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik doji candle hoti hai, jo k pehli candle k andar banti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k andar high aur low price dono hoti hai. Ye candle prices ko aik to bearish jane se rokti hai aur dosra ye candle aik doji hone ki waja se trend reversal ka kaam karti hai.Bullish harami cross candlestick pattern prices k bottom par do mukhtalif candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish aur dosri doji candle hoti hai. Bullish harami cross candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo prices k bottom par ya bearish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik long real body wali candle hoti hai. Ye candle aik black ya red color ki candle hoti hai. Bullish Harami Cross Candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai. Ye candle real body k bagher hoti hai, jiss ka open aur close same position par hota hai. Dosri doji candle bager real body ki waja se colorless hoti hai.
Bullish Harami Cross Kaam Kese Karta Hai?
Bullish Harami cross candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se prices ko mazeed bottom jane se rokti hai. Ye pattern same to same dekhne main aik "Homing Pigeon Candlestick Pattern" ki tarah hota hai, lekin dosri candle k doji candle banne se uss se mukhtalif hoti hai. Bullish harami cross pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same point ya price par hota hai. Dosre candle k open aur close same point par hona chaheye, warna same point par na hone ki waja se ye pattern "Bullish Harami Pattern" main badal sakti hai.
Bullish Harami Cross Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?
Bullish harami cross candlestick pattern trend reversal ka pattern hai, jiss se market main buy ki entry karte hen. Pattern k bottom par buyers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bullish ya white candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho. Agar pattern k baad bearish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par entry nahi karni chaheye. Stop loss pattern k sab se bottom position ya pehli candle k close point se two pips below select karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим