Currency Correlation par guftgu....
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Currency Correlation par guftgu....
    Market mein Jab ham trading karte Hain to hamen market ke advance se lekar basic se lekar advance tak dekhna padta hai tab hi ham market ka andaza laga sakte hain ki market mein humne kis Tarah se analysis Karne hain aur kaise kamyab hona hai kyunki market mein kam karna kafi mushkil Hai isliye hamen market ke analysis karte Hain hamen chahie ki ham apni mehnat ke sath market ko samjhe aur ismein kam karne ki koshish karen.
    Market mein Jab ham currency pay trading kar rahe hote hain to market mein bahut si currency hai aur bahut se pyar Hai aur kuchh pair aise Hain jinki aapas mein ko relation hai aur is relation ko samajhne ke liye hamen mehnat karni padati hai to dusre pair per ham Nahin kaise trading Karni Hoti Hai ham dusre din kar sakte hain.

    Definition of correlation:

    Forex trading mein correlation ka matlab yah hota Hai ki do currency ki measurement ko relation kahate Hain simply ham yah kah sakte hain ki Jab ek currency pair moment kar raha hota hai to uska dusre currency per Kitna effect hota Hai aisa example agar market mein ek pair off trend mein movement kar raha hai to dusra PED kya aap friend mein movement kar raha hai aur ISI Tarah se aur agar ek pair aap friend mein movement karta hai to dusra kaun sa ped hai jo down train mein moment kar raha hai Is Tarah se currency ke pair mein aapas mein correlation hoti hai aur isko samajhna hamare liye bahut jaruri hai kyunki bahut se trader aise Hain Jo ek hi time main bahut se pair pay trading kar rahe hote hain to use time hamen yah pata chalta Hai ki kis pair mein dusre pair ke opposite movement karni hai aur kis pair mein dusre pair ki direction mein moment karni hai. Currencies ke pair Ka aapas mein talluk aur mikedar ko dekhna bahut jaruri hai ki kaun sa ped kitni movement karta Hai to dusra pair uske sath kitni movement karta hai aur kaun sa pair Uske opposite kitni movement karta hai ine sab chijon ko dekhne ke liye ham market mein currencies share ki correlation ko dekhte hain.

    Correlation Coefficient:

    Market mein ham currency repair ki correlation ki range ko dekhte hue ham aapas mein inki correlation ko comput karte Hain kyunki Jab ham inki correlation ko dekh Lete Hain to tab hamen samajh aati Hai ki ek pair dusre ki positive direction mein Kitna movement karta hai aur negative direction mein kitni munh mein karta hai relation ki measurement ham -1 se le ker +1 tak krte hain.
    Jab ek pair 100% dusre pair ki positive direction mein movement kar raha hota Hai to ham isko positive direction correlation kahate Hain aur jab ek pair dusre pair ki 100% negative moment mein kar raha hota Hai to ham isko negative aur relation kahate Hain aur jab correction ki range zero Hoti Hai to tab vah pyar EK dusre se independent hote hain aur unka aapas mein koi talluk Nahin hota Hai Is Tarah se ham market mein kisi bhi currency share ki aapas mein correlation ko dekhte hain.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-05-01T142705.782.jpeg
Views:	9
Size:	51.7 کلوبائٹ
ID:	12527314


    Conclusion:

    Currency spare ki is correlation ko dekhna hamare liye bahut jaruri hota hai kyunki isase hamen kafi bade benefits mil jaate Hain sabse bada benefit yah hai ki Jab ham ek hi time mein bahut si currency per trading kar rahe hote Hain to hamen is baat ka andaza ho jata hai ki agar ek pair positive direction mein movement kar raha hai to कौन-कौन se pair mein positive direction mein movement karna hai aur Is Tarah se hamen yah bhi andaza ho jata hai ki kaun sa pair ek dusre ke opposite movement karte Hain to fir ham usi hisab se apni trades ko Manish karte Hain aur market se tab hi ham property table trading kar sakte hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Currency Correlation par guftgu....

    Currency Correlation


    Mukhtalif currency joro ka apas me taluq (correlation) hota hai. Currency jore ki aik taraf k qeemat currency jore k dosre taraf ki qeemat par asar-andaz hoti hai. Correlation se murad hai, k do (two) mukhtalif jore waqat k sath sath kis tarah aik jaise (similar) ya mukhtalif (des-similar) chalte hen.
    Correlation ko aam tawar par 1.00 aur 0.00 k darmeyan napa (measure kia) jata hai. 1.00 hone ka matlab hai k dono (two) currency jore apas me correlated hen. Jis ka matlab hai k jab aik currency jora uper jayega to dosra bhi uper jayega. Is k bar-aks 0.00 par dono currency joron ki movement aik dosre se mukhtalif hoti hai, jis ko non-correlation bhi kaha jata hai. Non-correlation me agar aik currency jora uper jata hai to dosra nechay ki taraf movement karta hai.
    Kuch currency jore qudrati (naturally) correlated hote hen, aur isbki pehchan bohut asani se ho jati hen, jaisa k; EUR/CHF aur GBP/CHF etc. Correlation joro ki movement bohut smoth tareeqay se hoti hai,lekin waqat k sath sath us me dramaye tabdeeli ronuma hoti rehti hai.
    Correlation ki madad se market ki analysis karna aur trading decision leya ja sakta hai. Q k agar aik currency jore ki analysis dosre currency jore k analysis se mutabiqat (similarity) rakhti hai. Misal k tawar par agar hum EUR/CHF ki analysis ko GBP/CHF pe aplly karen to is se hamara bohut sara waqat bach jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (561).jpeg
Views:	12
Size:	22.4 کلوبائٹ
ID:	12421310

    Correlation coefficient formula


    Click image for larger version

Name:	images (988).png
Views:	11
Size:	7.1 کلوبائٹ
ID:	12421313

    Positive Currency Correlation


    Jab do (two) currency joron (pairs) k darmeyan correlation 1.00 ho, to is ka matlab hai k ye positive Correlation hai. Positive correlation me dono currency jore bayak waqat (same time) me uper (up) ya nechay (down) jayengay, jesay; EUR/USD aur GBP/USD.

    Click image for larger version

Name:	images (987).png
Views:	9
Size:	17.1 کلوبائٹ
ID:	12421311

    Negative Currency Correlation


    Agar do mukhtalif currency joron ka apas me value 0.00 ya us k qareeb ho, to is ka matlab hen k currency jore non-correlated hen, jab bhi aik currency pair agar upward move karega to dosra downward jayega. Non-correlated currency pairs me EUR/USD aur USD/JPY shamil hai.

    Click image for larger version

Name:	images (986).png
Views:	11
Size:	17.0 کلوبائٹ
ID:	12421312

    Commodity-Currency aur Commodity-Commodity Correlation


    Forex trading market me na sirf currency jore apas me correlated ya non-correlated nahi hote, bulke cuch commodities bhi currency pair k sath correlation ya non-correlation ka taluq rakhte hen. Misal k tawar par jab gold upward jata hai to USD donward move karta hai, isi tarah jab Gold upward jata hai to AUD bhi upward jata hai. Crude oil ka direct inhisar CAD pe hota hai, crude oil k upward ya downward movement se CAD ki movement bhi upward ya downward hoti hai.
    Commodities ka bhi apas me correlation hota hai, jis tarah se currencies ka correlation hota hai. Misal k tawar par agar gold ki qeematen upward jati hai, to us k sath sath Copper, Silver aur dosre metals ki bhi price bullish move kar jati hai. Is k elawa Oil ki price bullish ya bearish jane se gas aur dosre energy products k bhi prices up ya down jate hen.
    Cryptocurrency ki bhi correlation hoti hai, jab bhi Bitcoin upward jata hai, to us k sath sath dosre Crypto currencies bhi bullish jati hen.

    Click image for larger version

Name:	images (562).jpeg
Views:	1
Size:	49.3 کلوبائٹ
ID:	12421314

    اب آن لائن

    Working...
    X