Parabolic SAR in Forex Trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Parabolic SAR in Forex Trading
    Introduction:

    Aslamulikum umeed karta hu sab thek ho gaye main ny dekha hai agr hum iss business main mehnaat karye toh humein kamyab honey sy koi nahi rok sakta mehnat karne se hum iss main bhot se cheza seekh sakta hain joh hum ksy dosra sy nahi seekh sakta iss liya humein iss business main enter honay k liya humain iss k barye main acha sy soch samj lana chaiye k yeh kaisa han or working kaisa ho rhye hain or hum iss main agr struggle karye toh humein kya kiya benefits wagra mil sakta hain.


    Parabolic SAR:


    Yeh bahut sidha aur asaan indicator hn.ISs main trend kaha se start ho raha hai or kaha khatam ho raha hai dono dekahi data han.






    Iss main Yaad rakna wali baat ye hai k Yeh trend Indicators Sirf Trend Market Main Better nahtanoj data han.Side Market main Galat Signals Data han.Iss Indicator main dot zahir hota han.Dot prices k necha ho toh trend Uper ko ho ga or dot prices k uper ho toh trend necha ko hoga.Trend main enter honay k liye 3rd dot ka wait karna better hota han thky trend main tabdeeli ki confirmation ho jaye.or dot dosri janib shit ho jaye toh trade close kar deni chahiye.

    Hum parabolic SAR indicators kah use kar k bhot he achi achi traders laa sakta hain short time period main humain inn ko acha sy samajhna chahiye agr hum iss per particles karye toh achi trades laa sakta hain iss k saat baki indicators kah use kar k humain iss main mazeed acha sy mehnat karni chaiye joh humeri trades ko mazeed profitable bana sakye mehnaat karna sy he insan agye bar sakta hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Parabolic SAR in Forex Trading

    Parabolic SAR Indicator


    Parabolic SAR (Stop And Reversal) indicator ka shumar lagging indicators main hota hai, jiss main qeematon ki movements me rado-badal ki nishan-dahi ko charts par nuqaat (dots) ya points bananata howa karta hai. Ye indicator main candlestick chart par zahir hota hai, yanni dosre indicators jaise RSI ya MACD indicator ki tarah apne leye alehda window open nahi karta hai. Jab bhi qeematen nechay ki taraf jati hai to parabolic SAR indicator ki dots ki movement bhi nechay ki taraf ho jati hai. Qeematon ka up-ward jane pe parabolic SAR k dots bhi upward move karte hen. Chonkeh market me qeematen ya to upward jati hai aur ya downward, to ye indicator bhi usi k leye hi banaya geya hai, k qeematon k upward ya downward movement ki nishan-dahi kare. Sideways market me is indicator ka istemal kam ho jata hai, ya traders us waqat parabolic SAR pe trading se muhtat rehte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (919).png
Views:	43
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12420971

    Trading on Parabolic SAR Indicator


    Parabolic SAR indicator bhi dosre indicators ki tarah price chart action ka istemal karta hai, yanni market main prices k up down hone par information deta hai. Parabolic SAR indicator pe trading karna ya traders ko is indicator ka samajhna bohut zyada asaan hai. Ye indicator baqi sab indicator ki nisbat entry, exit trailing stop waghera k leye sab se simple indicator hai.

    Buy Entry: jab bhi chart pe qeematen parabolic SAR indicator se above ho, yani indicator k dots price ya candles k lower side pe ho to ye bullish trend ki alamaat hoti hai, is waja se humen is position pe buy ki entry karni chaheye.

    Sell Entry : Jab bhi qeematen parabolic SAR se below trade kar rahi ho, yani indicator k dots price k abaove ho to humen is point me sell ki entry karni chaheye.

    Stop Loss: Parabolic SAR indicator me hum stop loss ya as a trailing stop loss k option k tawar par bhi istemal kar sakte hen, jab bhi qeematen trend me agey move kar rahi ho, to indicator me stop loss ko bhi us k mutabiq shift karte jayen.

    Exit Trade: Parabolic SAR indicator market k trend k mutabiq dots ki sorat me move karta hai. Jab bhi aik trend reversal hota hai, to us point pe indicator bhi apne dots chart k mutabiq shift karta hai, lekin yahan pe ye point note karna chaheye, k agar ye dots opposite trend me teen se ziada hone lagay to market se exit kar jayen, lekin short fake reversal signal se bachne k leye kam az kam teen dots tak ka intezar zaror karen.

    Click image for larger version

Name:	images (920).png
Views:	7
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12420972

    اب آن لائن

    Working...
    X