Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Engulfing Candlestick Pattern
Bullish engulfing candlestick pattern market main achanak demand main izzaey ki waja se wajood main ata hai, jiss jo k two days candles par mushtamil hota hai. Two days candlestick patterns un single day candlestick pattern se aik qadam oopar hen, lekin paicheedgi mein sirf aik qadam bherne se kaafi had tak izafi maloomat aur indications mil sakti hai. Two days candlestick pattern price charts par kasrat se namodaar hote hen, aur agar aik trader lazmi hikmat e amli mein candlestick patterns se faida uthana chahtay hain, to sab se pehle patterns ki shanakht aur trading karne ka tareeqa janna hoga. Bearish engulfing candlestick pattern issi bunyad par aik achah signal dene wala pattern hai, jiss ki information trading k dowran analysis main kafi madadgar sabit ho sakte hen.
Candles Formation
Bullish engulfing candlestick pattern prices chart par hamesha low prices area main hi zahor hote hen, q k yahan par assets ki volum ki demand ziada hona shoro ho chuki hoti hai, jiss se prices ka rising yaqeeni hota hai. Bullish engulfing candlestick pattern ki candles ki information darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k market main current bearish trend k mutabiq banti hai. Ye pattern prices k bottom position ya bearish trend ki akasi hoti hai, jo prices ko mazeed bearish jane ka aik signal hota hai.
2. Second Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k baad banti hai. Ye candle market main chal rahe trend ka khatma karti hai, jo k aik real body wali candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par open ho kar ussi k ooper top par close hoti hai.
Explanation
Bullish engulfing candlestick pattern price chart par hamesha bearish trend k baad banta hai, jiss se prices teezi k sath gerna shoro karti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik normal bearish candle hoti hai, jo market k bearish trend ki numayendagi karti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k current market k bearish trend k khatme ka bahis banti hai. Ye candle pehli candle k bottom par gap main open ho kar ussi k top par close hoti hai. Pattern ki dosri candle market main ziada demand ko dekhati hai, jiss se bulls market par mukamal control hasil karke prices ko ooper ki taraf push karti hai.
Trading
Bullish engulfing candlestick pattern aik strong qisam ka bullish signal deta hai, jo market main buy ki entry k leye perfect position par hota hai. Pattern k baad trade entry k leye confirmation candle ka hona zarori hai, jo k aik real body wali bullish candle honi chaheye, aur dosri candle k ooper close honi chaheye. Lekin agar ye candle bearish banti hai, to iss se market main entry nahi karni chaheye. Pattern ki confirmation RSI, CCI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern ka Stop Loss , pattern k sab se bottom position ya dosri candle k sab se low ya open price se two pips below set hoga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим