Railway Track Candlestick Pattern
Railway track candlestick pattern do candles ka aik trend reversal pattern hai, jo k prices k peak top ya peak bottom par banta hai. Raily track pattern me shamil dono candles same length k hote hen, lekin hote opposite direction me ya opposite pattern k hote hen. Railway track pattern aggar prices k top par banta to ye aik bearish trend reversal pattern hoga lekin agar same ye pattern prices k bottom me banta hai to ye bullish trend reversal pattern shumar hota hai.
Pattern k Pehchan k Rules
- Railway track pattern aik trend reversal pattern hai, is waja se ye pattern ya to prices k top par banta hai aur ya ye prices k bottom par hota hai.
- pattern jab prices k top par banta hai to ye bearish trend reversal pattern hota hai.
- Pattern jab prices k bottom me banta hai to bullish trend reversal pattern hota hai.
- Pattern k top par banne wale pattern ki 1st candle black aur 2nd candle white hoti hai.
- Pattern prices k bottom me banne par 1st candle black jab k 2nd candle white hoti hai.
- Pattern ki 1st aur 2nd candles length me aik dosre k barabar hoti hai.
Pattern ki Tafseel
Railway track pattern qeematon k top ya bottom me banta hai jo k trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern do candles ka pattern hota hai, jis me dono candles ki formate aur direction aik dosre se opposite me hota hai. Pattern ka top prices par bann epar ye bearish trend reversal ka kaam karta hai jab k prices k bottom me banne par ye pattern bullish trend reversal ka trend change karta hai. Bearish trend reversal me 1st candle white aur dosri black hoti hai jab k bullish trend reversal me pehli candle black aur dosri white hoti hai.
Pattern par Trading
Railway track candlestick pattern k baad qeematen reversal hoti hai, jis se pattern se pehle trend k opposite direction me trading karni hoti hai. Agar ye pattern prices k top par banta hai to us waqat sell ki entry lagani chaheye jab k prices k bottom par banne par is par buy ki entry hogi. Pattern k leye confirmation candles ka hona zarori hai, jo k bullish trend reversal k leye white candle aur bearish trend reversal k leye black candle ka hona zarori hai. Pattern par trade open karte waqat stop loss ka zaror istemal karen, jab k pattern k position ka khas khayal hona chaheye.