Price Chart
Trading charts ya price charts market k mutaqbil (future) k technical analysis k leye zarori hote hen, q k ye market ki pori structure zahir kar rahi hoti hai. Ye market me aam dekhaye dene wali value hoti hai jis ko indicators ka istemal karne k bad apne matloba nataej hasil keye jate hen. Traders apne leye mukhtalif chrts aur mukhtalif timeframe k hisab se tarteeb de sakta hai. Long term traders apne leye daily, weekly ya monthly timeframe ka intekhab karte hen, jab k short term traders 5 minutes se le kar one hours tak ki chart pattern select karta hai. Charts ko tarteeb dene k kaye tareeqay hen jis me sab se ziaada Candlestick chart, Bar chart aur line chart ko qeematon k leye istemal kia jata hai.
Candlestick Charts
Candlestick chart aik qeemat ko do hison me taqseem karta hai, jis me aik hisa ko "body" aur dosre hese ko "wick" kaha jata hai, body aur wick k melane se ye shakal aik candle ki shakal banati hai, is chart ko is waja se candlestick chart ka naam deya gaya hai. Candlesticks ki body aur us k uper aur nechay aik line jese wick candle ki waqat k sath ziada se ziada aur kam se kam qeemat batati hai. Candle ki body yani candle ka mota hisa timeframe k hisab se open aur close position ko zahir karta hai.
Candlestick k color trader khud badal sakta hai lekin aam tawar par agar candle ka rang (color) agar surkh (red/black) hai, to is ka matlab hai k close position open position se kam hai. Isi tarah agar candle ka rang sabaz (green/white) hai, to is sorat me close position ki value open position se ziada hogi.
Candlestick ki body se traders do tarah ki results lete hen, aik sab se pehle candlestick ka size khareed-wa-ferokht ki shedat ko zahir karti hai. Candlestick ki body jitni lambi hogi us doran qeematon ki muntaqeeli ziada howi hogi. Choti body wali candle bata rahi hoti hai k opening aur closing qeematen aik jese ya aik dosre k bohut qareeb hai.
Dosre tareeqay me candle ki wick jo body related hoti bohut zyada aham hen. Choti wick wali candle ka matlab hota hai k market me muntakhib karda timeframe me khareedari ya ferokht ka dabao ziada tha, is waja se candle ki wick choti hoti hai. Lekin lambi wick wali candle k asarat is se mukhtalif hote hen, lambi wick wali candle zahir karti hai k khareedari ya ferokht ka amal kuch waqat k leye to zyada tha lekin pore timeframe pe nahi tha.
Candlestick Timeframe
Candlestick k leye timeframe ka hona bohut zarori hai. Har trader (long term and short term traders) apne leye aik makhsos timeframe ka intekhab karte hen, jis pe unhon ne market ki analysis karni hoti hai. Candlestick ki timeframe 1 minute se le kar 1 month tak hoti hai, jis me har aik trader apne trading strategy k hisab se timeframe select karta hai. Aam tawar par short term traders aur day traders 1 hours se kam ka time frame select karte hen jab k long term traders ziada timeframe ka intkhab karte hen. Candlestick ka timeframe jitna ziada hota hai signal ki reliability bhi us hisab se achi hoti hai. Technical analysis bhi ziada time frame wali candles pe perfect hoti hai.
Bar Chart
Bar chart bhi candlestick timeframe se melta julta hai lekin is ki shape aur candlestick ki shape me faraq hota hai. Baar chart ko OHLC baar (open-high-low-close) bhi kaha jata hai. Baar chart bhi candlestick ki tarah chaar qisam ka data deta hai, open, close high aur low.
Baar chart me open price aik choti si horizontal line se zahir hoti hai jo k baar k left size pe ban jati hai. Jab k closing price baar k right size pe aik horizontal line se banti hai. Baar ka oper wala hisa (opening aur closing line se above) qeematon ki sab se high position aur baar ka nechay (opening aur closing line se) wala hisa qeematon ki sab se kam position ko zahir karti hai.
Baar ko bhi candlestick ki tarah apni taraf se color deya ja sakta hai, lekin aam tawar par agar baar sabaz (green) hai to is ka matlab hai k qeematen oper gaye hen, lekin agar baar ka rang surakh (red) hai to ye qeematon ki nechay position batati hai. Baar ki timeframe bhi candlestick ki tarah mukhtalif hoti hai jis ko apni marzi se select kia ja sakta hai.
Line Chart
Line chart pehle do wale chart se bulkul mukhtalif hota hai. Line chart me sirf market ki closing price (qeematen) ko show kia jata hai. Line chart bhi mukhtalif time frame ka hota hai lekin is me sirf aik line hi show hoti hai, jis me humen sirf market ki qeematon ki last closing position zahir ho rahi hoti hai. Bahar hal long term trading k leye line chart ka istemal kia ja sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим