Assalamu Alaikum Dosto!
Advance Block Candlestick Pattern
Advance block candlestick pattern price chart k top par banne k bad market inverse movement shoro karta hai, aur ye pattern teen bullish candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jab k middle wali candlestick pehli candle se size main choti lekin long upper shadow wali hoti hai. Pattern ki last candle aik shooting star ya Spinning top candle se melti julti candle hoti hai, jiss k upper side par lamba saya hota hai. Price chart par aapko hirani hogi k jab aap bearish stalled pattern ko bhi same issi pattern se melta julta dekhengay, lekin bearish stalled pattern ki last candle aik small bullish marubozu candle hoti hai.
Candles Formation
Advance block candlestick pattern prices k top main assets k resistance level par banta hai, jahan se prices ne bearish trend reversal main tabdeel hona hota hai. Ye pattern teen lagatar bullish candles ka aik majmoa hai, jiss main teeno candles higher high par close hoti hai, jin ki tafseel darjazel hai;
1. First Candle: Advance block candlestick patteren ki pehli candle aik bullish candles hoti hai, jo k real body main strong candle banti hai, aur ye candle prices k uptrend ki tasalsul ki alamat hoti hai. Pattern ki pehli candle aik bagher upper aur lower shadow ki hoti hai, jiss ka open price close price se ooper hota hai.
2. Second Candle: Advance block candlestick patteren ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body ya uss k close price k baad open hoti hai, jo k upper par close hoti hai. Iss ka candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, jab k upper side par aik lamba shadow hota hai.
3. Third Candle: Advance block candlestick patteren ki teesri candle bhi same pechli do candles ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body ya uss k close price par open ho kar upper par close hoti hai. Ye candle ziada tar pechli dono candles se size main kam hoti hai, jab k upper side par aik lamba shadow hota hai, jo k umoman real body se size main ziada hota hai.
Explanation
Advance block candlestick pattern price chart par banne wale un pattern main shamil hen, k jiss main shamil tamam candles same pattern k hone k bawajood bhi ye trend reversal ka kaam karti hai. Pattern price chart par bullish trend ya high price area main banta hai, jo k matloba timeframe main ye position prices k leye resistance zone sabi hota hai. Pattern teen bullish candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k higher side par strongness show karti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle se real body main kam hoti hai, lekin long upper shadow k sath pehli candle k upper par close hoti hai. Pattern ki last candle Spinning top ya shooting star candle se melti julti candle hoti hai, jiss ki small real body k upper side par aik lamba shadow banta hai.
Trading
Advance block candlestick pattern par trading bhi dosri bearish trend reversal ki tarah ki jati hai, lekin market main entry se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, q k pattern ki teeno candles bullish hoti hai. Confirmation candle real body main bearish honi chaheye, jo k teesri bullish candle k below close honi chaheye. Lekin agar pattern k baad bullish candle banti hai, to ye trend continuation pattern ka kaam karegi. Jiss par sell ki entry ki bajaye buy ki entry ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k sab se upper side par ya last shooting star candle k upper prices se two pips above set karen.