Forex Trading me Half trade close procedure

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me Half trade close procedure
    Closing A Trade



    Forex trading me jab bhi aik trader trades open karta hai to us ko us waqat tak apne trades se munafa hasil nahi ho sakta jab tak wo apne open trades ko close nahi karta. Forex trading me hum us waqat trade ko close karte hen, jab humen lagta hai k market me mazeed rehna hamare profit me kami ya hamare loss me izafay ka bahis ban sakta hai. Forex trading market me trades k closing teen tareeqon se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	images (854).jpeg
Views:	1
Size:	30.2 کلوبائٹ
ID:	12519240

    T.P aur S.L pe trades ka close hona


    Jab bhi trades k sath T.P (take profit) aur S.L (stop loss) ki position set ki jati hai to trades jab bhi munafay ki sorat me T.P aur loss ki sorat me S.L ko hit karta hai, to hamare trades khud bakhud close ho jate hen. Technical analysis hi hamare T.P aur S.L ki position set karta hai aur humen is positions pe lazmi market se exit karna hota hai.

    Khud se Trades close karna


    Baaz awqat traders trades k sath T.P aur S.L to laga dete hen, lekin pher bhi wo trades ko apne ahdaf se pehle close kar dete hen. Aisa aksar us waqat hota hai, jab traders ko lagta hai k market ki situation badal chuki aur market me mazeed rehna hamare trades ko loss ho sakta hai, is waja se wo apne open trades ko close karta hai.

    Half Trades (Partial close) Close karna



    Forex trading me ziada tar traders market se exit hone k leye pehle do tareeqay istemal karten hen, lekin market ka half trade ka tareeqa professional traders hi ziada tar istemal karte hen. Is ko partial close procedure bhi kaha jata hai. Half trade close k procedure me traders apne open position me se kuch trades (jitne us k marzi ho) close karta hai aur kuch trades ko running me chorta hai (half trade close me hum lot size me changing kar sakte hen). Aksar traders ye us waqat karte hen jab un k trades ka hadaf mukamal ho chuka ho ya wo apne hadaf k qareeb hon. Trader ko jab bhi market me mazeed apne trend k tasalsul ki news mel jati hait to wo apne trades aur sarmaye ko mehfoz banane k leye trades ka kuch hisa close karta hai.

    Half trades (Partial close) close procedure


    Half trade close ka tareeqa ye hai, k apne trading plateforme mt4 ya mt5 me apne running trade ( jis ka half trade close katna ho) k oper click karen, pher trade close wale icon pe click karen to agli page pe trade close (trade close wiyh profit ya trade close wiyh loss) pe click se pehle uper running lot show ho rahi hogi, jitne lot kam karne wo left side me -1 ya -0.1 pe click karne se kam ho jayegi. Pher nechay close trade pe click karen. Isi tareeqay se hamare trades ka half lot ya jitna humen chaheye wo hisa close ho jayega.

اب آن لائن

Working...
X